Saturday, March 20, 2010

ANADI [ 1958] LATA, MUKESH






FILM: ANADI [1958] Hrishikesh Mukherjee.
CAST: Raj Kapoor, Nutan, Lalita Pawar, Shobha Khote

LYRICS: SHAILENDRA
MUSIC: SHANKAR JAIKISHAN



1. SINGER: LATA & CHORUS

ata : ban ke panchhi gaayen pyaar kaa taraanaa \-2
mil jaaye agar aaj koi saathi mastaana \-2
to jhuume ye dharati aur jhoome aasamaan ho
Chorus : ban ke panchhi......................

Lata : aai haseenon ki toliyaan \-2
Chorus : aa haa haa
Lata : bole. piyaa-milan ki boliyaan
manzil pe aaye koi, nainaa milaaye koi
bhar de ye ulfat ki jholiyaan
Chorus : manzil pe aaye koi, nainaa milaaye koi
bhar de ye ulfat ki jholiyaan

Lata : ban ke panchhi...................
Chorus : ban ke panchhi...................

Lata : kheton pe chhaain javaaniyaan \-2
Chorus : aa haa haa
Lata : patton pe likheen kahaaniyaan
phoolon ki daal jaise rangieen rumaal
koi de-de hamen bhi nishaaniyaan
Chorus : patton pe likheen............
Lata : ban ke panchhi...............
Chorus : phuulon ki daal...............

Lata : ban ke panchhi gaayen pyaar kaa taraanaa \-2
mil jaaye agar aaj koi saathi mastaana \-2
to jhuume ye dharati aur jhoome aasamaan ho
Chorus : ban ke panchhi......................

Audio


video


2. SINGER: LATA & MUKESH

Mukesh:
dil ki nazar se, nazaron ki dil se
ye baat kyaa hai, ye raaz kyaa hai
koi hamen bataa de

dheere se uthakar, hothon pe aayaa
ye geet kaisa, ye raaz kya hai
koi hamen bata de, dil ki nazar se.......

Lata:
(kyon bekhabar, yoon kheenchi si chali jaa rah main,
ye kaunase bandhanon men bandhi jaa rahi main ) \- 2
kuchh kho rahaa hai, kuchh mil rahaa hai
ye baat kya hai, ye raaz kya hai
koi hamen bata de, dil ki nazar se...................

Mukesh:
(ham kho chale, chaand hai ya koi jaadoogar hai
yaa, madabhari, ye tumhaari nazar ka asar hai ) \- 2
sab kuchh hamaara, ab hai tumhaara
ye baat kya hai, ye raaz kya hai
koi hamen bata de, dil ki nazar se.................

Lata:
(aakaash men, ho rahen hain ye kaise ishaare
kyaa, dekhakar, aaj hain itane khush chaand-taare ) \- 2
kyon tum paraaye, dil men samaaye
ye baat kyaa hai, ye raaza kyaa hai
koi hamen bata de, dil ki nazar se.................

Audio

video


3. SINGER: MUKESH


kisi ki muskuraahaon pe ho nisaar
kisi ka dard mil sake to le udhaar
kisi ke vaaste ho tere dil men pyaar
jeena isi ka naam hai
kisi ki..................................

(maana apani jeb se fakeer hain
phir bhi yaaron dil ke ham ameer hain ) \- (2)
mite jo pyaar ke liye vo zindagi
jale bahaar ke liye vo zindagi
kisi ko ho na ho, hamen to aitabaar
jeena isi ka naam hai
kisi ki..................................

(rishta dil se dil ke aitabaar ka
zinda hai hamin se naam pyaar ka ) \- (2)
ke mar ke bhi, kisi ko yaad aayenge
kisi ke aansuon men muskuraayenge
kahega phool har kali se baar baar
jeena isi ka naam hai
kisi ki...

Audio


4. SINGER: MUKESH

sab kuchh sikha hamane, na sikhi hoshiyaari
sach hai duniyaavaalon, ki ham hain anaadi

duniya ne kitana samajhaaya
kaun hai apana, kaun paraaya
phir bhi dil ki chot chhupa kar
hamane aapaka dil bahalaaya
khud pe mar mitane ki, ye zid thi hamaari (2)
sach hai duniyaavaalon ki ham hain anaadi

asali nakali chehre dekhe
dil pe sau sau pahare dekhe
mere dukhate dil se puuchho
kya kya khwaab sunhere dekhe
toota jis taare pe nazar thi hamaari (2)
sach hai duniyaavaalon ki ham hain anaadi

dil kaa chaman ujadte dekha
pyaar ka rang utarte dekha
hamane har jeene vaale ko
dhan daulat pe marate dekha
dil pe marane vaale marenge bhikhaari (2)
sach hai duniyaavaalon ki ham hain anaadi

Audio


video




5. SINGER: LATA

( tera jaana
dil ke aramaanon ka loot jaana ) \-2
koi dekhe \-2
ban ke taqdeeron ka mit jaana
tera jaana...

tera gham teri khushi
meraa gham meri khushi
tujh se hi thi zindagi
hans kar ham ne tha kaha
jeewan bhar ka saath hai
ye kal hi ki baat hai
aa~~a~aa~~

tera jaana
dil ke aramaanon ka loot jaana
koi dekhe \-2
ban ke taqdeeron ka mit jaana
tera jaana...

jab-jab chanda aayega
teri yaad dilaayega
saari raat jagaayega
main ro kar rah jaaungi
dil jab zid par aayega
dil ko kaun manaayega
aa~~a~aa~~
tera jaana
dil ke aramaanon ka loot jaana
koi dekhe \-2
ban ke taqdeeron ka mit jaana
tera jaana...

Audio

video


6. SINGER: LATA & MUKESH

Lata:
(Woh chaand khila woh taare hanse
Yeh raat ajab matwari hai) -2
Samajhne waale samajh gaye hain
Na samjhe

Mukesh:
Na samjhe woh anaadi hain

Lata:
Woh chaand khila woh taare hanse
Yeh raat ajab matwari hai
Samajhne waale samajh gaye hain
Na samjhe, na samjhe woh anaadi hain
Woh chaand khila woh taare hanse
Yeh raat ajab matwari hai

(Chaandi ki chamakti raahein
Woh dekho jhoom jhoom ke bulaayen) -2
Kirnon ne pasaari baahein
Ki armaan naach naach lehraye
(Baaje dil ke aar gaye yeh bahaar
Ubhre hai pyaar jeevan mein) -2
Woh chaand khila woh taare hanse
Yeh raat ajab matwari hai
Samajhne waale samajh gaye hain
Na samjhe, na samjhe woh anaadi hain
Woh chaand khila woh taare hanse
Yeh raat ajab matwari hai

(Kirnon ne chunariya taani
Bahaarein kis pe aaj hain deewani) -2
Chaanda ki chaal mastani
Hai paagal jispe raat ki rani
(Taaron ka jaal, le le dil nikaal
Poochho na haal mere dil ka) -2
Woh chaand khila woh taare hanse
Yeh raat ajab matwari hai
Samajhne waale samajh gaye hain
Na samjhe, na samjhe woh anaadi hain
Woh chaand khila woh taare hanse
Yeh raat ajab matwari hai

Audio


video


bonus: SONG: 1956 RAJ kAPOOR.

video

No comments:

Post a Comment