Friday, August 27, 2010

DIL TERA DIWANE [1962] RAFI, LATA , ASHA BHOSLE





FILM: DIL TERA DIWANE [ 1962] B.R. PANTHALU
CAST: SHAMMI KAPOOR, PADMINI, MALA SINHA,MEHAMOOD, SHUBA KHOTE,
PRAN,MUMTAZ BEGUM, OMPRAKASH,ULHAS, MANMOHAN KRISHNAN


LYRICS: SHAILENDRA & HASRAT JAIPURI
MUSIC: SHANKAR & JAIKISHAN



1. SINGERS: LATA & RAFI

Rafi: mujhe kitna pyaar hai tumse
apne hi dil se poochho tum
jisse dil diya hai woh tum ho
meri zindagi tumhaari hai

Lata: mujhe kitna pyaar hai tumse
apne hi dil se poochho tum
jisse dil diya hai woh tum ho
meri zindagi tumhaari hai

Rafi: chaahat ne teri mujhko kuch iss tarah ghera
din ko hai tere charche raaton ko khwaab tera

Lata: tum ho jahaan hai wahi par rehta hai dil bhi mera
bas ek khayaal tera kya shaam kya savera

Rafi: mujhe kitna pyaar hai tumse
apne hi dil se poochho tum
jisse dil diya hai woh tum ho
meri zindagi tumhaari hai

Lata: yeh duniya kaise badali kuch bhi samajh na aaye
kyon kar hue woh apne kal tak the jo paraaye

Rafi: dil ki lagan ho sacchi phir kyon na rang laaye
mere the tum sadaa se par ab kareeb aaye

Lata: mujhe kitna pyaar hai tumse
apne hi dil se poochho tum
jisse dil diya hai woh tum ho
meri zindagi tumhaari hai

Rafi: meri wafa ko ab to tum aazmaana chhodo
dil ko churaake mere aankhen churana chhodo

Lata: mujh ko banaane apna baatein banana chhodo
main kab na thi tumhaari lekin satana chhodo

Rafi: mujhe kitna pyaar hai tumse
apne hi dil se poochho tum
jisse dil diya hai woh tum ho
meri zindagi tumhaari hai

Both: mujhe kitna pyaar hai tumse
apne hi dil se poochho tum
jisse dil diya hai woh tum ho
meri zindagi tumhaari hai

AUDIO

VIDEO



2. SINGERS: LATA & RAFI

Rafi: bijali giraake aap khud bijali se darr gaye
hum saadgi pe aap ki leellaah mar gaye
haaye haaye haaye

Rafi: dil tera deewana hai sanam (2)
Lata: jaante ho tum kuch na kahenge hum (2)
(Rafi: mohabbat ki kasam haaye
Lata: mohabbat ki kasam) (2)

Rafi: dil tera deewana hai sanam (2)
Lata: jaante ho tum kuch na kahenge hum (2)
(Rafi: mohabbat ki kasam haaye
Lata: mohabbat ki kasam) (2)

Lata: pyaar ke albele yeh humsafar
chal denge le jaayega dil jidhar
Rafi: raah mein kho jaayenge aaj to (2)
haaye manzil kahaan hai hume kya khabar
Lata: kuch chaahat ka asar kuch mausam ka asar
Rafi: dil tera deewana hai sanam (2)
Lata: jaante ho tum kuch na kahenge hum ho (2)
(Rafi: mohabbat ki kasam
Lata: mohabbat ki kasam) (2)

Rafi: teri aankhon mein jo suroor hai
saara issi ka to kusoor hai
Lata: saiya anjaane nazre pyaar ki (2)
nadaan yeh dil mera majhboor hai
Rafi: jeevan mein ek baar khud ho jaata hai pyaar
Lata: dil tera deewana hai sanam (2)
Rafi: jaante ho tum kuch na kahenge hum (2)
Lata: mohabbat ki kasam
Rafi: mohabbat ki kasam

Lata: kya kejee koyi mann bhaa gaya
dil mein hamara woh sama gaya
Rafi: hans ke kissi ne dekha ek baar (2)
haaye dil ki muraade koi paa gaya
Lata: saanso mein meethi aag hothon pe meetha raag
Rafi: dil tera deewana hai sanam (2)
Lata: jaante ho tum kuch na kahenge hum (2)
(Rafi: mohabbat ki kasam
Lata: mohabbat ki kasam) (4)

AUDIO


VIDEO


3. SINGER: MOHD. RAFI

(nazar bachaakar chale gaye woh varna ghaayal kar deta
dil se dil taqra jaata to dil mein agni bhar deta
varna ghaayal kar deta) (2)

(dil ki aag woh bhi dekhte mere pyaar ka jaadu
apne rang mein hum bhi kam na tha kar dete beqaabu) (2)
nazar bachaakar chale gaye woh varna ghaayal kar deta
dil se dil taqra jaata to dil mein agni bhar deta
varna ghaayal kar deta

(gar woh theherte mere saamne dil pe teer chal jaate
woh haseen hai main jawaan hoon saare bhed khul jaate) (2)
nazar bachaakar chale gaye woh varna ghaayal kar deta
dil se dil taqra jaata to dil mein agni bhar deta
varna ghaayal kar deta

(hum se kab talak mooh chhupenge woh apni shaan dikhlaake
ek roz to aa hi jaayenge mere paas sharmaake) (2)
(nazar bachaakar chale gaye woh varna ghaayal kar deta
dil se dil taqra jaata to dil mein agni bhar deta
varna ghaayal kar deta) (2)

AUDIO


VIDEO


4. SINGER: MOHD. RAFI

dhadakane lagata hai mera dil tere naam se
aisa lagata hai ab ham gaye kaam se \-2
dha dha dha dhadakane lagata......

mere dil men jab se toota tere nain ka teer
dil men rahakar ban gaya vo to meri hi tasvir
nind nahin aati hai mujhe aaraam se
dhadakane lagata.........

teri baaten tere kisse rahate hain haradam
mahafil ho ya viraana ho ya koi mausam
darate nahin hain ham ishq ke anjaam se
aisa lagata hai ab ham gaye kaam se \-2
dhadakane lagata......

AUDIO

VIDEO


MALA SINHA


5. SINGERS: LATA & MOHD. RAFI

jaane wafa jaane jahaan jaane tamanna kahu
tu hi bata ai ajanabi aakhir tujhe kya kahu haay
main pyaar ki nanhi kali tum chaahe jo naam do
tum kaun ho kya naam hai tum bhi jara kuchh kaho

mera naam pyaar hai maine duniya ko di jindagi - (2)
jinewaale mere naam par -2 rehate hai jinda marke bhi
main pyaar ki nanhi kali tum chaahe jo naam do
tum kaun ho kya naam hai tum bhi jara kuchh kaho
jaane wafa jaane jahaan jaane tamanna kahu
tu hi bata ai ajanabi aakhir tujhe kya kahu haay

mera naam husn hai meri parchhaayi hai chaandani - (2)
uthati hai jo dil ke saaj se -2 main hoon woh pyaar ki raagini
jaane wafa jaane jahaan jaane tamanna kahu
tu hi bata ai ajanabi aakhir tujhe kya kahu haay
main pyaar ki nanhi kali tum chaahe jo naam do
tum kaun ho kya naam hai tum bhi jara kuchh kaho

hum jahaan bhi saath ho hasti hai fasale gul bhi wahi - (2)
tujhako sada meri justaju -2 par tere bin main kuchh nahi
jaane wafa jaane jahaan jaane tamanna kahu
tu hi bata ai ajanabi aakhir tujhe kya kahu haay
main pyaar ki nanhi kali tum chaahe jo naam do
tum kaun ho kya naam hai tum bhi jara kuchh kaho


AUDIO

VIDEO


6. SINGERS: LATA & RAFI

maasum chehara yeh kaatil adaaye, ke bemaut maare gaye hum bichaare
saagar se gehari tumhari nigaahe dubo de na hamako yeh laakar kanaare
saagar se gehari

huwa samna kya ke sau tir khaye, ajab tir the woh najar bhi na aaye-2
kya hum pe gujari tumhe kya bataaye, ke bemaut maare gaye hum bechaare
saagar se gehari tumhari nigaahe dubo de na hamako yeh laakar kanaare
saagar se gehari

(mohabbat ki unchhaayi par aa chuke hum
ke abb raahon ki dhul hai dono aalam) - (2)
magar keh rahi hai yeh dil ki sadaaye, de na hamako yeh laakar kanaare
maasum chehara yeh kaatil adaaye, ke bemaut maare gaye hum bichaare
maasum chehara

diya jakhm tumne bada khubsurat, liya daag hamne bada khubsurat - (2)
salaamat rahein aapki yeh jafaayein ke bemaut maare gaye hum bichaare
saagar se gehari tumhari nigaahe dubo de na hamako yeh laakar kanaare
maasum chehara

AUDIO

VIDEO


7. SINGERS: ASHA BHOSLE & MOHD. RAFI


rikshe pe mere tum aa baithe abb mera hunar dekho
deta hai maje kaise kaise apana yeh safar dekho
rikshe pe tumhaare aa baithi khushiya hai jidhar dekhu
le pohanchi mujhe kis duniya mein, chaahat ki lehar dekho
rikshe pe mere tum aa baithe abb mera hunar dekho
deta hai maje kaise kaise apana yeh safar dekho

(dulaki chalu main sarpat chalu main har chaal hai niraali
nikalu idhar se nikalu udhar se jaise subah ki laali) - (2)
ho ho main dil mein tumhe dekhu apane tum saara shehar dekho
deta hai maje kaise kaise apana yeh safar dekho
ho... rikshe pe tumhaare aa baithi khushiya hai jidhar dekhun
le pohanchi mujhe kis duniya mein, chaahat ki lehar dekho

(saj dhaj ke aaj main tere sath nikali hoon uss nagar ko
roke na koyi toke na koyi yahaan pyaar ki dagar ko) - (2)
he he main mehale do mehale chhod aayi mera bhi jigar dekho
le pohanchi mujhe kis duniya mein, chaahat ki lehar dekho
rikshe pe mere tum aa baithe abb mera hunar dekho
deta hai maje kaise kaise apana yeh safar dekho

(hai tan pe bojh hai mann pe bojh lekin gadha nahi hoon
chehara fakir dil benajir dil ka bura nahi hoon) - (2)
ho ho kya kuchh bana de yeh mujhako tum apani najar dekho
deta hai maje kaise kaise apana yeh safar dekho
ho... rikshe pe tumhaare aa baithi khushiya hai jidhar dekhun
le pohanchi mujhe kis duniya mein, chaahat ki lehar dekho


AUDIO