Wednesday, April 21, 2010

MOHAMED RAFI WITH USHA KHANNA SONGS





MOVIE: HAWAS [1974] SAWAN KUMAR
CAST: ANIL DHAWAN, NEETHU SINGH, PRADEEP KUMAR, BINDU



LYRICS : SAWAN KUMAR
MUSIC: USHA KHANNA



1. MOHD. RAFI


Teri galiyon mein na rakhenge kadam aaj ke baad
tere milne ko na ayenge sanam aaj ke baad
teri galiyon me

Tu mera milna tu mera milna
samaj lena ik sapna tha
tujko ab mil hi gaya jo tera apna tha
hum ko duniya mein samaj na na sanam aaj ke baad
teri galiyon me na rakhenge kadam

Ghirke ayegi ghataein phirse sawam ki
tum toh bahon mein rahogi apne sajan ki
galey hum ghum ko lagayenge sanam aaj ke baad
teri galiyon mein na rakhenge kadam


Audio


video


2. FILM: DIL DEKE DEKHO [1959] NASIR HUSSAIN
CAST: SHAMMI KAPOOR, ASHA PAREKH, INDIRA, RAJ MEHRA

LYRIC: MAJROOR SULTANPURI
MUSIC: USHA KHANNA

Dil deke dekho
dil deke dekho
dil deke dekho ji
dil lene waalon
dil dena Seekho ji
ho, dil lene waalon
dil dena seekho ji

Dil deke dekho...

Poocho poocho poocho
parwaane se zara
dheere dheere jalne mein
kaise hai maza.

Oh ho ho tum bhi dil deke jal jaane seekho ji
ah ha ha tum bhi dil deke jal jaana seekho ji

(kaise?)

Dil deke dekho...

Samjho samjho samjho
deewane ki zabaan
pyar jo na hota
na hota yeh jahaan

oh ho ho tum bhi dil deke yeh gaana seekho ji
ah ha ha tum bhi dil deke yeh gaana seekho ji

(Kya?)

Dil deke dekho....



Audio


video



3. FILM: SHABNAM [ 1964] ASPI IRANI
CAST: Mahmood, Vijayalakshmi, Helen, Jeevan ...


LYRICS: JAWED ANWAR
MUSIC: USHA KHANNA


" MAINE REKHA HI MOHABAT....

Audio

"YEH THERI SADAGI...

Audio




4. FILM: EK SAPERA EK LUTERA [1965] NARESH KUMAR
CAST: FEROZ KHAN, SHYAM KUMAR, KUM KUM, INDIRA BHANZAL, MUMTAZ BEGUM
LYRICS: ASAD BHOPALI
MUSIC: USHA KHANNA

hum tum se judaa ho ke,
mar jaayenge ro ro ke
mar jaayenge ro ro ke

duniyaa badee zaalim hai,
dil tod ke hasatee hai
ek mauj kinaare se,
milane ko tarasatee hai
kah do naa koyee roke
kah do naa koyee roke
hum tum se judaa ho ke,

sochaa thaa kabhee do dil
milakar naa judaa honge
maaloom na thaa hum yoon,
naakaama-e-wafaa honge
qismat ne diye dhokhe
qismat ne diye dhokhe
hum tum se judaa ho ke,

waade naheen bhoolenge,
qasmein naheen todenge
ye tay hai ke hum dono,
milanaa naheen chhodenge
jo rok sake roke
jo rok sake roke
hum tum se judaa ho ke,
mar jaayenge ro ro ke


Audio



video



5. FILM: LAL BANGLA [ 1966] JUGAL KISHORE

CAST: Sujit Kumar, Jayshree Gadkar, Prithviraj Kapoor, Sheikh Mukhtar,
Shyama, Mohan Choti

LYRICS: " HASEEN WADIYO KE...
MUSIC: USHA KHANNA


Audio


video


6. FILM: AAO PYAAR KARE [`1966] R.K. NAYYAR
CAST: JOY MUKHERJEE, SAIRA BHANU, SANJEEV KUMAR,

LYRICS:
MUSIC: USHA KHANNA

Bahaar-e-husn Teri, Mausam-e-shabaab Tera
kaha Se Dhhundhh Ke Laaye Koyi Jawaab Tera
ye Subah Bhi Tere Rukhsaar Ki Jhalak Hi To Hai
ke Naam Leke Nikalta Hai Aaftaab Tera

jaha Tu Hai Waha Phir Chaandni Ko Kaun Poochhega
tera Dar Ho To Jannat Ki Gali Ko Kaun Poochhega

kali Ko Haath Mein Lekar Bahaaron Ko Na Sharmaana
zamaana Tujhko Dekhega Kali Ko Kaun Poochhega

farishton Ko Pata Dena Na Apni Rahguzaaron Ka
wo Kaafir Ho Gaye To Bandagi Ko Kaun Poochhega

kisiko Muskuraake Khubsoorat Maut Na Dena
qasam Hai Zindagi Ki, Zindagi Ko Kaun Poochhega


Audio


video





SINGER; MOHD. RAFI.

Dil Ke Aaiine Mein Tasviir Terii Rahatii Hai
main Ye Samajhaa Koii Jannat Kii Parii Rahatii Hai
dil Ke Aaiine Mein ...

sharabatii Aankhein Terii Zindagii Bhar Kaa Nashaa
dil Kii Dhadakan Hai Merii Terii Paayal Kii Sadaa Ai Jaan-e-vafaa
dil Ke Aaiine Mein ...

sochtaa Huun Main Kabhii Kyaa Tujhe Bhii Hai Kabar
ki Terii Ek Nazar Hai Merii Shaam-o-sahar
tuu Bahaaron Kaa Hai Dil Tuu Nazaaron Kaa Jigar Ai Jaan-e-vafaa
dil Ke Aaiine Mein ...

husn-e-maasuum Teraa Kabhii Magaruur Na Ho
apanii Taariif Tujhe Kabhii Manzuur Na Ho
ishq Vaalon Se Jafaa Teraa Dastuur Na Ho Ai Jaan-e-vafaa
dil Ke Aaiine Mein ...



Audio


8. FILM: BANDISH



abhi to raat baaqi hai, ye dhal jaaye to so jaana
ghadi bhar ko dil-e-naadaan sanbhal jaaye to so jaana
abhi to raat baaqi hai, ye dhal jaaye to so jaana

ye jalate honth aur ye nind mein duubi huyi aankhein - 2
mujhe sone nahin detin tumhaari adhakhuli aankhein
zara thaharo, mujhe bhi nind aa jaaye to so jaana
abhi to raat baaqi hai

hasin ho tum tumhein kya gam tumhein to nind pyaari hai - 2
hamaara haal mat puuchho ki ham par raat bhaari hai
hamaare sar qayaamat hai, ye tal jaaye to so jaana
abhi to raat baaqi hai


video



video



9. FILM: NISHAN[ 1965 ] ASPI IRANI
CAST: SANJEEV KUMAR, NAZIMA,HELEN, SHAIKH MUKHTAR, SULOCHANA



LYRICS: JAVED ANWAR
MUSIC: USHA KHANNA

SINGER: MOHD. RAFI


Haaye Tabassum Tera, Haaye Tabassum Tera,
Dhoop Khilgayi Raat Mein,Yaa Bijli Giri Barsaat Mein,
Haaye Tabassum Tera (2)...

Dekhi Teri Angadaayi, Shamma Ki Loa Thartharaayi,
Dekhi Teri Angadaayi,
Uff Yeh Hasin, Maasum Si, Jannat Kaa Jaise Savera,
Haaye Tabassum Tera,
Dhoop Khilgayi Raat Mein,Yaa Bijli Giri Barsaat Mein,
Haaye Tabassum Tera (2)...

Palkon Ki Chilman Utana, Dheere Se Yeh Muskuraana,
Palkon Ki Chilman Utana,
Lab Jo Hile, Zulphon Tale, Chhaya Gulabi Andhera,
Haaye Tabassum Tera,
Dhoop Khilgayi Raat Mein,Yaa Bijli Giri Barsaat Mein,
Haaye Tabassum Tera (2)...

Roko Na Apni Hasin Ko, Jeene Do Vallah Kisi Ko,
Roko Na Apni Hasin Ko,
Teri Hasi, Ruk Jo Gayi, Ruk Jaayega Sans Mera,
Haaye Tabassum Tera,
Dhoop Khilgayi Raat Mein,Yaa Bijli Giri Barsaat Mein,
Haaye Tabassum Tera (2)�



Audio


video



10. FILM: AAP THO AISI NA THE [1980] AMBIRISH SANGAL

CAST: MADAN PURI, OM SHIVPURI, RJ BABBAAR, DULARI, RANJEETA KAUR, TAMANNA

LYRICS: NIDA FAZLI
MUSIC: USHA KHANNA


SINGER: MOHD. RAFI.

Too Is Tarah Se Meree Jindagee Mein Shaamil Hain
Jahaan Bhee Jaaoo Ye Lagataa Hain Teree Mahafil Hain

[
Ye Aasamaan Ye Baadal Ye Raasate Ye Hawaa
Har Yek Cheej Hain Apanee Jagah Thhikaane Se
Kaee Dinon Se Shikaayat Naheen Jamaane Se
Ye Jindagee Hain Safar, Too Safar Kee Manjil Hain

Har Yek Fool Kisee Yaad Saa Mahakataa Hai
Tere Khayaal Se Jaagee Huyee Fijaayen Hain
Ye Sabj Ped Hain, Yaa Pyaar Kee Duwaayen Hain
Too Paas Ho Ke Naheen Fir Bhee Too Mukabil Hain

Har Yek Shay Hain Mohabbat Ke Noor Se Roshan
Ye Roshanee Jo Naa Ho, Jindagee Adhooree Hain
Raah-Ye-Wafaa Mein, Koee Humasafar Jaruree Hain
Ye Raastaa Kahee Tanahaa Kate To Mushkil Hain



Audio


Audio



video



video