Friday, April 30, 2010

LOVE MARRIAGE [1959] LATA, MOHD. RAFI




FILM: LOVE MARRIAGE [ 1959] SUBODH MUKHERJEE
CAST: DEV ANAND, MALA SINHA, ABHI BBHATTACHARYA, HELEN, KANCHANMALA...


LYRICS: SHAILENDRA & HASRAT JAIPURI
MUSIC : SHANKARSINGH RAGHUVANSHI , JAIKISHAN DAYABHAI PANKAL



1. SINGER: LATA & MOHD. RAFI

dheere dheere chal, chaand gagan mein
are, dheere dheere chal, chaand gagan mein
kahin Dhal naa jaaye raat, toot naa jaayein sapane
dheere dheere chal, chaand gagan mein

vo kyaa cheez thi, milaake nazar giraa di
huaa vo asar, ke hamane nazar jhukaa di
gun gun goonje raag, aaj pavan mein
dheere dheere chal, chaand gagan mein

do dil mil gaye, diye jal gaye hazaaron
aji, tum mil gaye, to gul khil gaye hazaaron
hongi do do baat aaj milan mei
are, dheere dheere chal, chaand gagan mein

Audio

video



2. SINGER: LATA

Kahe jhoom jhoom raat yeh suhani -2
Piya hole se chhedo dobaara
Wahin kal ki rasili kahani
Kahe jhoom jhoom raat yeh suhani
Piya hole se chhedo dobaara
Wahin kal ki rasili kahani
Kahe jhoom jhoom raat yeh suhani

Sun ke jise dil mera dhadkan -2
Laaj ke sar se aanchal sarka
Raat ne aisa jaadu phera
Aur hi nikla rang saher ka
Kahe jhoom jhoom raat yeh suhani
Piya hole se chhedo dobaara
Wahin kal ki rasili kahani
Kahe jhoom jhoom raat yeh suhani

Masti bhari yeh khamoshi -2
Chup hoon khadi dekho main khoyi si
Dekh rehi hoon main ek sapna
Kuch jaagi si kuchh soyi si
Kahe jhoom jhoom raat yeh suhani
Piya hole se chhedo dobaara
Wahin kal ki rasili kahani
Kahe jhoom jhoom raat yeh suhani

Tan bhi tumhaara man bhi tumhaara -2
Tumse hi baalam jag ujiyaara
Rom rom mera aaj manaye
Chhoote khabi na saath hamaara
Kahe jhoom jhoom raat yeh suhani
Piya hole se chhedo dobaara
Wahin kal ki rasili kahani
Kahe jhoom jhoom raat yeh suhani

Audio



video



3. SINGER: MOHD. RAFI

teen/kanaster peet-peet ke galaah phad kar chillanaa
yaar mere mat buraa maan, ye gaanaa hai na bajaana hai

naach ke badale kamar nachaana, uchhal ke sarkas dikhalaana
bhool hai teri, tu samajha hai duniya paagalakhaana hai
Teen kanastar peeT\-piiT kar......................

udhar se lekar idhar jamaa kar, kab tak kaam chalaaoge
kis ka rahaa zamaana, ik din mahafil se uth jaaoge \-2
nakal kaa dhandhaa chal nahin sakata, ik din to pachhataana hai
yaar mere mat buraa..........................

bhool gayaa tu taanasen ki, taan yahi par goonji thiisur ke jaaduugar baiju ki shaan yahin par goonji thi
mar ke amar hai, sahagal us ka har koi deewaana hai
har koi deewaana hai, mar ke amar hai sahagal us kaa
yaar mere mat buraa...


Audio




4. SINGER: MOHD. RAFI


kahaan jaa rahe the, kahaan aa gaye ham \-2
( kisi ki nigaahon se ) \-2
( takaraa gaye ham ) \-2
kahaan jaa rahe..............................

kho chale saare nishaan, main yahaan dil hai kahaan \-2
soye hain ke jaage, chakaraa gaye ham \-2
kisi ki nigaahon se...........................

ye subah masti bhari, yoon hansee, jaise pari \-2
qismat ko shaayad yaad aa gaye ham \-2
kisi ki nigaahon se...........................

ajanabi apana huaa, sach mera sapana huaa \-2
saare jahaan pe, lo chhaa gaye ham \-2
kisi ki nigaahon se...........................

VIDEO


video

5. SINGER: MOHD. RAFI


SHE ne khela HE se aaj cricket match
SHE ne khela HE se aaj cricket match
ek nazar mein dil bechaara ho gayaa LBW
ek nazar mein dil bechaara ho gayaa LBW
SHE ne khela HE se aaj cricket match
SHE ne khela HE se aaj cricket match
ek nazar mein dil bechaara ho gayaa LBW
ek nazar mein dil bechaara ho gayaa LBW

aaye jo ham field mein tad tad baaji taali
arre mukh par haseenon ke aa gayi phir se laali
san san karti ball se khud ko to bachaahy
par dil batuye mein le gayi ik champe ki taali
par dil batuye mein le gayi ik champe ki taali
dil ke versus dil ka haar gaye ham match
dil ke versus dil ka haar gaye ham match
ek nazar mein dil bechaara ho gayaa LBW
ek nazar mein dil bechaara ho gayaa LBW
SHE ne khela HE se aaj cricket match
ek nazar mein dil bechaara ho gayaa LBW

hamne jab ghumaaya pyaar ka ye balla
arre Lailaaon ke tent me mach gayaa phir to halla
jo bhi gend aayi to chauka hi fatkaaraa
par hosh hamaara le gaya ik sadi ka palla
par hosh hamaara le gaya ik sadi ka palla
un zulfon ke taar ne daale sau sau pench
un zulfon ke taar ne daale sau sau pench
ek nazar mein dil bechaara ho gayaa LBW
ek nazar mein dil bechaara ho gayaa LBW
SHE ne khela HE se aaj cricket match
ek nazar mein dil bechaara ho gayaa LBW

usne phenka leg break to hamne maara chhakka
out karta kaun hamen ham khilaadi pakka
armaano ki tent se badh gaye ham aage
aur unki chaal dekh kar rah gaye hakka bakkaa
aur unki chaal dekh kar rah gaye hakka bakkaa
cricket mein to jeet gaye par haare pyaar ka match
cricket mein to jeet gaye par haare pyaar ka match
ek match mein dil bechaara ho gayaa LBW
ek nazar mein dil bechaara ho gayaa LBW
SHE ne khela HE se aaj cricket match
SHE ne khela HE se aaj cricket match
ek nazar mein dil bechaara ho gayaa LBW
ek nazar mein dil bechaara …ho gayaa LBW

Audio

video


6. " DIL SE DIL TAKRAYE....


AUDIO


video

LAJWANTI [ 1958] ASHA BHOSLE, MANNA DEY, GEETA DUTT






FILM: LAJWANTI [1958] NARENDRA SURI
CAST: BALRAJ SAHNI, NARGIS, PRITHVIRAJ KAPOOR, BABY NAAZ

LYRICS: MAJROOR SULTANPURI
MUSIC: s.D. BURMAN




1. SINGER: ASHA BHOSLE

koee aayaa dhadakan kahatee hain
dheere se palakon kee ye giratee, uthhatee chilaman kahatee hain

hone lagee kisee aahat kee fulakaareeyaa
parawaane banake udee dil kee chingaareeyaa
zoom gayaa, zilamilaataa diyaa

chaand hasaa leke darpan mere saamane
ghabaraa ke main lat ulazee thaam ne
chhed gayee muze chanchal hawaa

aa hee gayaa mithhee mithhee see ulazan liye
kho hee gayaa main to sharamaayee chitawan liye
gore badan se paseenaa bahaa

Audio


video


2. SINGER: ASH BHOSLE

gaa mere man gaa, gaa mere man gaa
too gaa mere man gaa, gaa mere man gaa
yoo hee bitaaye jaa, din jindagee ke

teree tootee huyee beenaa, kahe tuz ko hain jeenaa
jeewan ko nibhaa
chaahe bhar bhar aaye, chaahe dukh barasaaye
tere nainon kee ghataa
too nain mat chhalakaa, gaa mere man gaa

ye hain duniyaan ke mele, tuze firanaa akele
sah sah ke sitam
nafarat kaa diwaanaa, naheen samazaa jamaanaa
teraa dukh teraa gam
khaa thhens aaur muskaa, gaa mere man gaa

har soo hain andheraa, fir kaun hain teraa
jo main kahoo jaraa soon
meree kho gayee paayal mere geet hain ghaayal
meree jakhmee hain dhoon
fir bhee too zoomei jaa, gaa mere man gaa

Audio


video



3. SINGER: ASHA BHOSLE


kuch din pahale ek taal mein kamal kunj ke andar
rahata thaa, ek hans ka joda ek hans ka joda

( roz roz roz bhor hote hi jab khil jaate kamal
door door door moti chugane ko hans ghar se jaata nikal ) -2
sandhya hotee,
sandhya hoti ghar ko aata jhoom jhoom ke
kuch din pahale...

( jab jab jab dhal jaata tha din taare jaate the khil
so jaate hil-mil ke vo donon jaise laharon ke dil ) -2
chanda hansataa,
chanda hansata donon ka mukh choom choom ke
kuch din pahalethreedots

( thi unaki ek nanhi si beti chhoti si hansani
donon ke nayanon ki vo jyoti ghar ki raushani )-2
mamata gaatee, mamata gaati aur muskaati jhoom jhoom ke
kuch din pahale...

kuch din pahale ek taal mein kamal kunj ke andar
kaun thaa?
ek hans ka jodaa, ek hans ka joda

( phir ek din aisa toofaan aaya chali aisi hava
bechaare hansa ud gae re hoke sabase juda )-2
saagar-saagar, saagar-saagar
saagar-saagar rote hain ab ghoom ghoom ke
ghoom ghoom ke

Audio


video


4. SINGER: ASHA BHOSLE


chanda re chanda re
chhupe rahanaa, soye meri mainaa, leke meri nindiya re
chanda re chanda re
chhupe rahanaa, soye meri mainaa, leke meri nindiya re

phool chameli dheere mahako jhonka na lag jaaye
phool chameli dheere mahako jhonka na lag jaaye
naazuk daali kajara vaali sapane mein muskaaye
leke meri nindiya re
chanda re chanda re
chhupe rahanaa, soye meri mainaa, leke meri nindiya re

haath kaheen hai paanv kaheen laage pyaari pyaari
haath kaheen hai paanv kaheen laage pyaari pyaari
mamata gaaye pavan jhulaaye jhoole raaj kumaari
leke meri nindiya re
chanda re chanda re
chhupe rahanaa, soye meri mainaa, leke meri nindiya re

chanda re chanda re
chhupe rahanaa, soye meri mainaa, leke meri nindiya re
chanda re chanda re
chhupe rahanaa, soye meri mainaa, leke meri nindiya re

chaand bataade maan ki mamata chain na kaise paaye
chaand bataade maan ki mamata chain na kaise paaye
sundar mukhada dil ka tukada door hai mujhase haaye
leke meri nindiya re

chanda re chanda re
chhupe rahana soye meri maina leke meri nindiya re
chanda re chanda re
chhupe rahana soye meri maina leke meri nindiya re
leke meri nindiya re
leke meri nindiya re
leke meri nindiya re

video


5. SINGER: GEETA DUTT



Yaa yaa

yaa yaa
aaja chaaye kaare badra
cham cham barse nain kajra re
cham cham barse nain kajra
yaa yaa
aaja chaaye kaare badra
cham cham barse nain kajra re
cham cham barse nain kajra

man ke mere mor jaa re
pukaaroon tujhe morni ban ke main
pukaaroon tujhe morni ban ke main
man ke mere mor jaa re
zara dekh kaise chaloon tan ke main
zara dekh kaise chaloon tan ke main
mohe paagal
mohe paagal banaaye ye hawaayen ye ghataayen
ae piyaa
yaa yaa
aaja chaaye kaare badra
cham cham barse nain kajra re
cham cham barse nain kajra

kaise rahoon main akeli
bhatakti phiroon main teri kaamini
bhatakti phiroon main teri kaamini
kaise rahoon main akeli
daraaye badarwa hanse daamini
daraaye badarwa hanse daamini
mere tan ko
mere tan ko jalaayen ye hawaayen ye ghataayen
ae piyaa
yaa yaa yaa
aaja chaaye kaare badra
cham cham barse nain kajra re
cham cham barse nain kajra
yaa yaa yaa yaa

Audio



video



6. SINGER: ASH BHOSLE & MANNA DEY



aaa aaa aaa
Chanda mama
aaaa aaaa
aaaa aaaa
aaaa aaaa
aaaa aaaa
chandaa mama mere dwaar aanaa
aana re aana re aana re
leke kirnon ke haar aanaa
aana re aana re aana re
chandaa mama mere dwaar aanaa
aana re aana re aana re
chandaa mama mere dwaar aa aa

tum gagan ke ho pyaare
mamaji mamaji mamaji
ham dharti ke hain taare
mamaji mamaji mamaji
mamaji
aao chandaa taara khelen ham
aao
chandaa taara khelen ham
aao khel ek nyaara khelen ham
aao khel ek nyaara khelen ham
aana aana aana
chandaa mama mere dwaar aanaa
aana re aana re aana re
leke kirnon ke haar aana
aana re aane re aana re
chandaa mama mere dwaar aa aa

ha ha ha ha ha
ye lo bachcho aan mile ham
phool se jaise milti hai shabnam
tum ho hamaare ham hain tumhaare
kaise na milte chaand sitaare
hmm
maaf hamen mamaji karna
tumko padaa hai neeche utarna
ari hihi
mere pyaare pyaare bachchon ye tumne kyaa poochha
jo tumse chhup kar milta hai wo hai sabse oonchaa
tumse hai mitti ka aangan taaron ki phulwaari
tum ho to lagti hai dharti ambar se bhi pyaari
hamko itne pyaar se tum to apne paas bulaate
bolo nanhe munne bachhon ham kaise na aate

aahaa phool se khil gaye ji
aaha ji aaha ji aaha ji
bichhde huye mil gaye ji
aaha ji aaha ji aaha ji
aaha ji
koi geet anokha gaana ji
koi
geet anokha gaana ji
ham sabse mile hain mamaji
ham
sabse mile hain mamaji
aana aana aana
chanda mama mere dwaar aanaa
aana re aana re aana re
leke kirnon ke haar aanaa
aana re aana re aana re
chanda mama mere dwaar aa aa aar

mama ji ek baat bataana
sach sach kahnaa kuchh na chhupaana
hamto tumhe hain roz bulaate
roz tumhaare geet hain gaate
aur kahbhi to tum naa aaye
aaj tumhe ham kaise bhaaye
acchaa accha batlaataa hoon
bilkul sachhi sachhi
thahro peechhe batlaaungaa
pahle do ek pappi

ye to suna hoga tumne bhi mere bhole bhaale
mujh par dore daal rahe hain kab se duniyaa waale
mujhko unse bair nahin hain
shauk se aayen jaayen
unse kahna jang aur nafrat apne saath na laayen
khot kapat chaturaayi aane waalon se le lenaa
thoda thoda unko apna bholaapan de denaa
bholaapan de denaa bachchon
bholaapan de denaa

mamaji nazdeek to aao
ye budhiyaaa hai kaun bataaon
tuk tuk hamko taak rahi hai
baithi charkha kaat rahi hai
haan haan haan haan haan
naanaji taana mat maaro
ye to meri maan hai pyaaron

meri maa bhi mama pyaare
rahti hai ab desh tumhaare
usse tum ek baar milaa do
usko mere paas bulaa do
haan haan munni door nahin ab tujhse teri maata
tujhpar to uski mamta ka saaya hai lahrataa
ek tu hi kya mujhko bhi ab hogi na majboori
bachha maata mama sabki
mit jaayegi doori
samay badalne ki hai deri
phir ham mil jaayenge
accha bachhon der huyi jaate hain phir aayenge
jaate hain phir aayenge
aayenge phir aayenge
aayenge phir aayenge
aana re aana re aana re
chanda mama mere dwaar aana
leke kirnon ke haar aana
chanda mama mere dwaar aana
leke kirnon ke haar aana
chanda mama mere dwaar aana
leke kirnon ke haar aana

Audio


video