Thursday, June 20, 2013

S.D. BURMAN SINGS:



                        




.S.D. BURMAN  SINGS:
Born October 1, 1906
Comilla, Bengal Presidency. British India (now Bangladesh)
Died October 31, 1975 (aged 69)
Bombay, Maharashtra, India
S D Burman was not only an outstanding music director, he had a unique singing voice too which he utilised very fruitfully. He would sing sparingly, but the few songs that he sang all went on to become immortal.

1.   MOVIE:    SUJATHA  [1956]
      LYRICS:    MAJROOH SULTANPURI


Sun Mere Bandhu Re, Sun Mere Mitava
Sun Mere Saathi Re

Hota Tu Peepal, Main Hoti Amar Lata Teri
Tere Gale Maala Ban Ke, Padi Muskaati Re
Sun Mere Saathi Re
Sun Mere Bandhu Re.....

Diyaa Kahe Tu Saagar, Main Hoti Teri Nadiyaa
Lahar Bahar Kar Tu Apane, Piyaa Chaman Jaati Re
Sun Mere Saathi Re
Sun Mere Bandhuu Re....

CLICK / COPY PASTE ON THE BROWSER THE URL BELOW FOR VIDEO

http://www.youtube.com/watch?v=XN-f8acfz9Y

2.    MOVIE:     BANDINI  [1963]    BIMAL ROY
     LYRICS:      SHAILENDRA


 Bandini (1963)
S D Burman sings this boat song, perfectly capturing Nutan's desire of reaching her husband. Even as the viewer hopes against hope that she choses the other man...

O re maajhii o re maajhii o o mere maajhii
Mere saajan hain us paar, main man maar, huun is paar
O mere maajhii, abakii baar, le chal paar, le chal paar
Mere saajan hain us paar

Ho man kii kitaab se tuu, meraa naam hii mitaa denaa
Gun to na thaa koii bhii, avagun mere bhulaa denaa
Mujhako terii bidaa kaa
Mujhako terii bidaa kaa mar ke bhii rahataa intazaar
Mere saajan

Mat khel jal jaaegii, kahatii hai aag mere man kii
Mat khel
Mat khel jal jaaegii, kahatii hai aag mere man kii
Main bandinii piyaa kii chir sanginii huun saajan kii
Meraa khiinchatii hai aanchal
Meraa khiinchatii hai aanchal man miit terii har pukaar
Mere saajan hain us paar
O re maajhii o re maajhii o o mere maajhii
Mere saajan hain us paar



CLICK / COPY PASTE ON THE BROWSER THE URL BELOW FOR VIDEO

http://www.youtube.com/watch?v=TDDRODd2zYU


3.   MOVIE:     GUIDE   [1965]    VIJAY ANAND 
     LYRICS:     SHAILENDRA

   DEV ANAND   &  WAHEEDA REHMAN

Vahaan Kaun Hai Tera, Musaafir, Jaayega Kahaan
Dam Lele Ghadi Bhar, Ye Chhaiyaan, Paayega Kahaan
Vahaan Kaun Hai Tera...........

Beet Gaye Din, Pyaar Ke Pal-Chhin
Sapana Bani Vo Raaten
Bhul Gaye Vo, Tu Bhi Bhula De
Pyaar Ki Vo Mulaaqaaten \- 2
Sab Dur Andhera, Musaafir Jaayega Kahaan 
Vahaan Kaun Hai Tera...........

Koi Bhi Teri, Raaha Na Dekhe
Nain Bichhaaye Na Koi 
Dard Se Tere, Koi Na Tadapa 
Aankh Kisi Ki Na Royi \- 2
Kahe Kis Ko Tu Mera, 
Musaafir Jaayega Kahaan
Vahaan Kaun Hai Tera...........

Kahate Hain Gyaani, Duniya Hai Faani
Paani Pe Likhi Likhaayi
Hai Sab Ki Dekhi, Hai Sab Ki Jaani
Haath Kisi Ke Na Aayi \- 2
Kuchh Tera Na Mera, 
Musaafir Jaayeg Kahaa,
Vahaan Kaun Hai Tera...........



CLICK / COPY PASTE ON THE BROWSER THE URL BELOW FOR VIDEO

http://www.youtube.com/watch?v=hzqlMuKTtK0

4.     MOVIE:   TALASH  [1968 ]     O.P. RALHAN
      LYRICS:

   RAJENDRA KUMAR  &  SHARMILA TAGORE


o maan maan maan
meri duniya hai maan tere aanchal mein
meri duniya hai maan tere aanchal mein
sheetal chhaaya jo dukh ke jungle mein
meri duniyaa hai maan tere aanchal mein
o meri raahon ke deep
teri do ankhiyaan
teri do ankhiyaan
o o
mujhe geeta ki saugandh
teri jo batiyaan
teri jo batiyaan
yug mein miltaa
yug mein miltaa hai, wo milaa pal mein
meri duniyaa hai maan tere aanchal mein
o maine aansoo bhi piye
par tuu royi naa
par tuu royi naa
o o
meri nindiyaa ke liye
barson soyi naa
barson soyi naa
mamtaa gaati
o mamtaa gaati rahi, gham ki halchal mein
meri duniyaa hai maan tere aanchal mein
maa maa
o kaahe naa dho ke teri
ye charan tere maa
ye charan tere maa
o devtaa pyaalaa liye
dar pe khade maa
dar pe khade maa
amrit sabkaa
amrit sabkaa hai is gangaa jal mein
meri duniya hai maa tere aanchal mein
sheetal chaaya jo dukh ke jungle mein
meri duniyaa hai maan tere aanchal mein

CLICK / COPY PASTE ON THE BROWSER THE URL BELOW FOR VIDEO

https://www.youtube.com/watch?feature=player_embedded&v=HDMw6sOWubU


5.   MOVIE:    ARADHANA   [1969 ]  SHAKKTHI SAMANTHA
  LYRICS:    ANAND BAKSHI


Your despair will give way to hope, some day
Do not weep, come what may
Your devotion will bear fruit
..Do not weep
The humble clay is molded the prayer lamp
The tear stilled in your eyes, is the pearl
That pearl is precious, do not waste it
Do not weep, come what may
Sama jaye iss me toofan
Any storm, you can weather
Have fortitude, your heart is as vast as the seas
How naive of you, to shed those tears
Why moisten your eyes
Do not weep, come what may
If sorrow now casts a shadow
Then there will be the sunshine of joys
Good or bad, in whatever form it comes
This is life
A garland was woven of flowers and thorns
Your despair will give way to hope, some day
Do not weep, come what may
Your devotion will bear fruit

********************************
Banegi asha ek din teri ye nirashaY
Kahe ko roye, chahe jo hoye
Saphal hogi teri aradhana
Kahe ko roye...
Diya toote toh hai mati, jale toh yeh jyoti bane
Bahe aansu toh hai pani, ruke toh yeh moti bane
Yeh moti ankhon ki, poonji hai yeh na khoye
Kahe ko roye...
Sama jaye iss me toofan
Jiya tera sagar saman
Nazar teri kahe nadan, chalak gayi gagai samar
Jane kyon tune yu asuvan se nain bhigoye
Kahe ko roye...
Kaheen pe hai dukh ki chhaya
Kaheen pe hai khushion ka dhoop
Bura bhala jaisa bhi hai
Yahi toh hai bagiya kaa roop
Phoolo se, kanton se, mali ne har piroye
Kahe ko roye...


CLICK / COPY PASTE ON THE BROWSER THE URL BELOW FOR VIDEO

http://www.youtube.com/watch?v=yYF9RIPNHac





Wednesday, June 12, 2013

JAHANARA [ 1964) VINOD KHANNA





MOVIE:      JAHANARA [ 1964]   VINOD KHANNA

CAST:        BHARAT BHUSHAN,     MALA SINHA, SASIKALA, PRITHVI RAJ KAPOOR, ACHALA
                    SACHDEV,  OM PRAKASH,  ARUNA IRANI, MINOO MUMTAZ, FARIDA JALAL....


LYRICS:    RAJENDRA KRISHNA
MUSIC:      MADAN MOHAN


SYNOPSIS:




   SHE was the daughter of that woman in whose sweet memory the Taj was built. . Jahanara was the daughter of that man whose reign was the golden period in the history of Mughal Empire. . The daughter Jahanara was decorated with the title Begum Sahib was by her father - the great Emperor Shahjehan. . Even today she is remembered as Begum Saheb. Right from childhood, Jahanara had a love for poetry. Mirza Changezi was one of the Royal poet. Jahanara had a soft corner for the poet and hummed his poems. And Mirza Changezi too was very much under the hypnotic spell of Jahanara. . Times marched on. Weathers changed. Buds bloomed into flowers. Childhood stepped into youth. Moonlight had just kissed Jahanara when she had to give a word to her dying mother that she will not do anything that might bruise her fathers heart or hurt the great Mughal Empire. Jahanara gave a word to dying mother Karuna - her childhood friend gave a word to Mirza Changezi that she will one day arrange a meeting of Mirza with Begum Sahib. . Times marched on. Revolution put the Mughal Empire on the falling tide. Reigns changed hands. Auragzeb came into power. He became the Emperor of India. . Shahjehan was imprisoned and had to pass the last days of his life in a dark corner of the palace. To Jahanara, the dark corner was like a place of worship. And a day came when the Mighty Mughal, the loving father left his devoted daughter alone to the winds of times. Then the life of Jahanara was like a fallen leaf. . Mirza Changezi reminded Karuna of his promise. There was a clash of two pledges. The promise of Jahanara and the pledge of Karuna - the Rajputs daughter Jahanara had pledged never to meet Mirza. But Karuna had promised him the meeting. How they stood by the words? . Jahanara is the life and love and devotion of Princess Jahanara the devoted daughter of the great Mughal Emperor Shahjehan.



1.  SINGER;   TALAT MOHD.

(Phir Vohi Shaam, Vahi Gham, Vahi Tanahaai Hai
Dil Ko Samajhaane Teri Yaad Chali Aai Hai)-2
Phir Vohi Shaam....

(Phir Tasavvur Tere Pahaluu Men Bithaa Jaaegaa)-2
Phir Gayaa Vaqt Ghadi Bhar Ko Palat Aaegaa
Dil Bahal Jaaegaa Aakhir Ko, To SaudaaI Hai
Phir Vohi Shaam....

(Jaane Ab Tujh Se Mulaaqaat Kabhi Ho Ke Na Ho)-2
Jo Adhuri Rahe Vo Baat Kabhi Ho Ke Na Ho
Meri Manzil Teri Manzil Se Bichhad Aai Hai
Phir Vohi Shaam....

Phir Tere Zulf Ke Rukhasaar Ki Baaten Hongi
Hijr Ki Raat Magar Pyaar Ki Baaten Hongi
Phir Muhabbat Men Tadapane Ki Qasam Khaai Hai
Phir Vohi Shaam...

CLICK / COPY PASTE THE URL BELOW FOR AUDIO &  VIDEO
.
http://www.raaga.com/player4/?id=105560,&mode=100&rand=0.6884962271433324


http://www.youtube.com/watch?v=5knS4_3OHNE


2.  Singer(s) :Mohammad Rafi-Suman Kalyanpur

Rafi:
(Baad Muddat Ke Yah Ghadi Aai
Aap Aae To Zindagi Aai)-2
Ishq Mar Marake Kaamayaab Huaa
(Aaj Ek Zarraa Aafataab Huaa)-2

Suman:
(Shukriyaa Ai Huzuur Aane Kaa)-2
Vaqt Jaagaa Gareeb-Khaane Kaa
Ek Zamaane Ke Baad Id Hui
(Id Se Pahale Meri Deed Hui)-2

Rafi:
Id Kaa Chaand Aaj Dekhaa Hai
Id Kaa Kyon Na Aitabaar Aae
Haath Uthaakar Duaa Yah Karataa Hun
(Id Phir Aisi Baar-Baar Aae)-2

Din Zamaane Kaa Raat Apani Hai
Is Ghadi Qaayanaat Apani Hai
Ishq Par Husn Ki Inaayat Hai
(Mere Pahalu Men Meri Jannat Hai)-2

Suman:
Faasale Vaqt Ne Mita Hii Diye
Dil Tadapate Hue Milaa Hi Diye
Kaash Is Vaqt Maut Aa Jaae
(Zindagaani Pe Aake Chhaa Jaae)-2

Both:
Baad Muddat Ke ...

CLICK / COPY PASTE THE URL BELOW FOR AUDIO &  VIDEO

http://www.raaga.com/player4/?id=231078&mode=100&rand=0.34793266328051686

http://www.youtube.com/watch?v=o2q1gwl7n4w





3.           SINGER:     LATA


(Haal-E-Dil Yun Unhen Sunaayaa Gayaa)-2
(Aankh Hi Ko Zubaan Banaayaa Gayaa)-2

(Zindagi Ki Udaas Raaton Ko)-2
(Aapaki Yaad Se Sajaayaa Gayaa)-2
Haal-E-Dil Yun .......

(Ishq Ki Vo Bhi Ik Manzil Thi)-2
(Har Qadam Par Fareb Khaayaa Gayaa)-2
Haal-E-Dil Yun .......

(Dil Pe Ek Vah Bhi Haadasaa Guzaraa)-2
(Aaj Tak Dil Se Na Chhupaayaa Gayaa)-2
Haal-E-Dil Yun .......

(Laakh Toofaan Samet Kar Yaa Rab)-2
(Kis Lie Ek Dil Banaayaa Gayaa)-2
Haal-E-Dil Yun ....

CLICK / COPY PASTE THE URL BELOW FOR AUDIO &  VIDEO

http://www.raaga.com/player4/?id=231076&mode=100&rand=0.09422723390161991

http://www.youtube.com/watch?v=WjZh0rTiL9k


4.    SINGER:   TALAT MAHMOOD

main teri nazar ka suroor hoon
tujhe yaad ho ke na yaad ho
tere paas rehke bhi door hoon
tujhe yaad ho ke na yaad ho
main teri nazar ka suroor hoon

(mujhe aankh se to giraa diyaa
kaho dil se bhi kyaa bhulaa diyaa) (2)
teri aashiqi ka guroor hoon
tujhe yaad ho ke na yaad ho
main teri nazar ka suroor hoon

(teri zulf hai mera haath hai
ke tu aaj bhi mere saath hai) (2)
tere dil mein main bhi zaroor hoon
tujhe yaad ho ke na yaad ho
main teri nazar ka suroor hoon


CLICK / COPY PASTE THE URL BELOW FOR AUDIO &  VIDEO

http://www.raaga.com/player4/?id=105561,231081&mode=100&rand=0.22445396333932877
..
http://www.youtube.com/watch?v=jPZv_2uHMdE


5.          SINGER:    LATA



aye sanam aaj ye kasam khaaye
mood ke ab dekhane kaa naam naa le
pyaar kee waadiyon mein kho jaaye

aye sanam aaj ye kasam khaaye
faasale pyaar ke mitaa daale
aaur duniyaan se dooriar ho jaaye

is mohobbat ke siwaa aaur naa kuchh yaad rahe
ishk duniyaan kee tamannaaon se aazaad rahe
teree aakhon ke siwaa jindagee aaur hain kyaa
teree chaahat kaa nashaa, bekhudee aaur hain kyaa

jis taraf jaaye, bahaaron ke salaam aayenge
aasamaanon se ye rangeen payaam aayenge
teraa jalawaa hain jahaa, meree jannat hain wahaa
tere hothhon kee haseen, sau bahaaron kaa samaan

apanaa imaan fakata apanee mohabbat hogee
haraghadee ishk kee yek taajaa kayaamat hogee
dekhakar ranga-ye-wafaa, muskurayegaa khudaa
aaur sochegaa jaraa, ishk kyo paidaa kiyaa

CLICK / COPY PASTE THE URL BELOW FOR AUDIO &  VIDEO

http://www.raaga.com/player4/?id=231075&mode=100&rand=0.13280686596408486

http://www.youtube.com/watch?v=ab3jL2mok0U


6.     SINGER:   RAFI

Kisi Ki Yaad Men Duniya Ko



hmm hmmm hmmm
hmm hmmm hmmm
kisi ki yaad mein duniyaa ko hain bhulaaye huye
kisi ki yaad mein duniyaa ko hain bhulaaye huye
zamaana guzra hai apna khayaal aaye huye
zamaana guzra hai apna khayaal aaye huye
badi ajeeb khushi hai gham-e-muhabbat bhi
badi ajeeb khushi hai gham-e-muhabbat bhi
hansi labon pe magar dil pe chot khaaye huye
kisi ki yaad mein duniyaa ko hain bhulaaye huye
hazaar parde hon pehre hon yaa hon deewaaren
hazaar parde hon pehre hon yaa hon deewaaren
rahenge meri nazar mein to woh samaaye huye
kisi ki yaad mein duniyaa ko hain bhulaaye huye
kisi ke husn ki bas ek kiran hi kaafi hai
kisi ke husn ki bas ek kiran hi kaafi hai
yeh log kyun mere aage hain shamma laaye huye
yeh log kyun mere aage hain shamma laaye huye
kisi ki yaad mein duniyaa ko hain bhulaaye huye
zamaana guzra hai apna khayaal aaye huye

CLICK / COPY PASTE THE URL BELOW FOR AUDIO &  VIDEO


http://www.raaga.com/player4/?id=231077&mode=100&rand=0.9378942248877138

http://www.youtube.com/watch?v=3ZfVAFBoyKQ


7.      SINGER:    LATA


woh chup rahen toh mere dil ke daag jalte hain
jo bat kar le toh bujhate chirag jalte hain
woh chup rahen toh mere dil ke daag jalte hain
kaho bujhe ke jale
ham apanee rah chaleiya tumharee rah chale


kaho bujhe ke jale
bujhe toh aise ke jaise (kisee gharib kaa dil -2)
jale toh aise ke jaise chirag jalte hai
woh chup raahe toh mere dil ke dag jalte hain

yeh khoyee khoyee najar
kabhee toh hogee idhar ya sada rahegee udhar
yeh khoyee khoyee najar
udhar toh ek sulagta huwa hai virana, hai ek virana
magar idhar toh baharo me bagh jalte hain
woh chup rahe toh mere dil ke dag jalte hain

jo ashk pee bhee liye
jo honth see bhee liye toh sitam yeh kispe kiye
jo ashk pee bhee liye
kuchh aaj apanee sunao (kuchh aaj meree suno -2)
khamoshiyo se toh dil aur dimag jalte hain
woh chup rahe toh mere dil ke daag jalte hain
jo bat kar le toh bujhte chirag jalte hain


CLICK / COPY PASTE THE URL BELOW FOR AUDIO &  VIDEO

http://www.raaga.com/player4/?id=231079&mode=100&rand=0.6377246661577374


http://www.youtube.com/watch?v=5eisw_0OWNk



8.    SINGER:   LATA   &   ASHA BHOSLE


main teri nazar ka suroor hoon
tujhe yaad ho ke na yaad ho
tere paas rehke bhi door hoon
tujhe yaad ho ke na yaad ho
teri zulf hai mera haath hai
ke tu aaj bhi mere saath hai
tere dil mein main bhi zaroor hoon
tujhe yaad ho ke na yaad ho
jab jab tumhe bhulaaya
aa aa
tum aur yaad aaye
jab jab tumhe bhulaaya
aaa aaa
tum aur yaad aaye
tum aur yaad aaye
tum aur yaad aaye
jaate nahin hain dil se
ab tak tumhaare saaye
jaate nahin hain dil se
aaa aaa
ab tak tumhare saaye
jab jab tumhe bhulaaya
tum se bichhadke hamne
dil ko bahut sambhaala
dil ko bahut sambhaala
tum se bichhadke hamne
ae ae
dil ko bahut sambhaala
aaa aaa
tum se bichhadke humne
ho
dil ko bahut sambhaala
aa
dil ko bahut sambhaala
gulshan mein ye na behla
aaa aaa
gulshan mein ye na behla
sehra mein bhi sataaye
tum aur yaad aaye
jab jab tumhe bhulaaya
chhaaye rahe nazar mein
ae ae
teri zulf ke andhere
ae ae
chaaye rahe nazar mein
ae ae
chaaye rahe nazar mein
teri zulf ke andhere
teri zulf ke andhere
chhaaye rahe nazar mein
ho o
teri zulf ke andhere
ae
teri zulf ke andhere
kai aaftab chamke
aaa aaa aaa
kai aaftaab chamke
kai chaand jagmagaaye
tum auy yaad aaye
jab jab tumhe bhulaya
marne ki aarzoo mein
hum jee rahen hai aise
hum jee rahen hai aise
marne ki aarzoo mein
ae ae ae
hum jee rahen hai aise
ae ae ae
marne ki aarzoo mein
ho o
hum jee rahen hai aise
ae
hum jee rahen hai aise
jaise ki laash apni
ho o o
jaise ki laash apni
khud hi koi uthhaaye
tum aur yaad aaye
jab jab tumhe bhulaaya
tum aur yaad aaye
jaate nahin hain dil se
ab tak tumhaare saaye
jab jab tumhe bhulaaya

CLICK / COPY PASTE THE URL BELOW FOR AUDIO &  VIDEO

http://www.raaga.com/player4/?id=231080&mode=100&rand=0.8549310171511024


http://www.youtube.com/watch?feature=player_embedded&v=Dy4Ma4q9Ao4


  9.     SINGER:   TALAT MOHD.

Teri Ankh ke ansoo pee jaon
esi meri taqdeer kahan
Terey gham main tuj ko behlaon
esi meri taqdeer kahan

eh kaash jo mil kar rotay
kuch dard tou halkay hotay
bekaar na jatey ansoo
kuch dagh jigar ke dhotay
phir ranj na hota itna
hai tanhai main jitna
ab janey ye rasta gham ka
hai aur bhi lamba kitna

haalaat ki uljhan suljhaon
esi meri taqdeer kahan


CLICK / COPY PASTE THE URL BELOW FOR AUDIO &  VIDEO


http://www.raaga.com/player4/?id=231081&mode=100&rand=0.09179562795907259


http://www.youtube.com/watch?v=JBNQPynLoS8




Thursday, June 6, 2013

UMRAO JAN: ASHA BHOSLE SONGS








MOVIE:    UMRAO JAAN   [1981]

  CAST:      AMITAB BACHHAN, REKHA, FAROOQ SHEIKH, NASRUDEEN SHAH, RAJ BABBAAR, DINA PATHAK, UNI FANWA.....

LYRICS:      SHAHRYAR
MUSIC:       KHAYYAAM


SINGER   ASHA BHOSLE

1.   DIL CHEEZE KYA HAI


 Dil Chiiz Kyaa Hai, Aap Merii Jaan Lijiye
Bas Ek Baar Meraa Kahaa, Maan Liijiye

Is A.Njuman Me.N Aapako Aanaa Hai Baar Baar
Diivaar-O-Dar Ko Gaur Se Pahachaan Liijiye


Maanaa Ke DostoN Ko Nahin Dostii Kaa Naaz
Lekin Ye Kyaa Ke Gair Kaa Ahasaan Liijiye

Kahiye To Aasamaan Ko Zamiin Par Utaar Laaeye
Mushkil NahiiN Hai Kuchh Bhii Agar Thaan Liijiye


FOR VIDEO CLICK/ COPY PASTE THE LINK BELOW

http://www.youtube.com/watch?v=3oFm4MYbb9o

[http://www.youtube.com/watch?v=HKZBD_VC_5o]






2.     In Aankhon Ki Masti




n Aankhon Ki Masti Ke Mastaane Hazaaron Hain
In Aankhon Se Vaabastaa Afasaane Hazaaron Hain
In Aankhon
Ik Tum Hii Nahin Tanhaa, Ulafat Mein Meri Rusavaa
Is Shahar Mein Tum Jaise Diivaane Hazaaron Hain
In Aankhonn
Ik Sirf Ham Hii May Ko Aankhon Se Pilaate Hain
Kahane Ko To Duniyaa Me.N Mayakhaane Hazaaron Hain
In Ankhon
Is Shamm-E-Farozaan Ko Aandhii Se Daraate Ho
Is Shamm-E-Farozaan Ke Paravaane Hazaaron Hain
In Aankhon


FOR VIDEO CLICK/ COPY PASTE THE LINK BELOW

http://www.youtube.com/watch?v=ADKVUwj5uKI


3.     Zindagi Jab Bhi TERII BAZM..


  SINGER:   TALAT AZIZ
 

Zindagi Jab Bhii Terii Bazm Men Laatii Hai Hamen
Ye Zamiin Chaand Se Behatar Nazar Aatii Hai Hamen
Surkh Phulon Se Mahak Uthati Hain Dil Ki Rahen
Din Dhale Yun Teri Avaz Bulati Hai Hamen
Zindagi
Yad Teri Kabhii Dastak Kabhii Saragoshi Se
Raat Ke Pichhale Pahar Roz Jagaati Hai Hamen
Zindagi
Har Mulaqat Ka Anjaam Judai Kyun Hai
Ab To Har Vaqt Yahi Baat Satati Hai Hamen
Zindagi

FOR VIDEO CLICK/ COPY PASTE THE LINK BELOW

http://www.youtube.com/watch?v=x-oJUnEx7xQ


  4.      Yeh Kya Jagah Hai Doston

Yeh Kyaa Jagah Hai Dosto, Yeh Kaun Saa Dayaar Hai
Had-E-Nigah Tak Jaha N Gubar Hi Gubar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston
Yeh Kis Mukaam Par Hayaat, Mujhako Leke Aa Gai
Na Bas Khushi Pe Kaha N, Na Gam Pe Ikhtiyaar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston
Tamam Umr Ka Hisab Ma Ngati Hai Zindagi
Ma Ngati Hai Zindagi
Yeh Mera Dil Kahe To Kya, Yeh Khud Se Sharmasar Hai
Yeh Khud Se Sharmasar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston
Bula Raha Kya Koi Chilamano N Ke Us Taraf
Chilamano N Ke Us Taraf
Mere Liye Bhi Kya Koi Udas Beqarar Hai
Udaas Beqarar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston

Na Jisaki Shakal Hai Koi, Na Jisaka Naam Hai Koi
Ik Aisi Shai Ka Kyo N Hame N Azal Se Intazaar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston

FOR VIDEO CLICK/ COPY PASTE THE LINK BELOW

http://www.youtube.com/watch?v=fgCOzk_G93I


5.   DARD JAB TERI ATA HAI TO GOLA KISEESE KAREN...                  

dard jab teri ata hai to gila kisase karein
hijr jab tuune diya ho to mila kisase karein
aks bikhara hai tera tuut ke aayine ke saath
ho gayi zakm nazar aks chuna kisase karein
main safar mein huun mere saath judaayi teri
hamasafar gam hain to phir kisako juda kisase karein
khil uthe gul ya khule dast-e-hinaayi tere
har taraf tuu hai to phir tera pata kisase karein
tere lab teri nigaahein tere aariz teri zulf
itane zinda hain to is dil ko riha kisase karein

FOR VIDEO CLICK/ COPY PASTE THE LINK BELOW


http://www.youtube.com/watch?v=QwpIii87qTE


6.    : Dil dhadakne ka sabab yaad aya

Dil dhadakne ka sabab yaad aya
dil dhadakne ka sabab yaad aya
dil dhadakne ka sabab yaad aya
woh teri yaad thi, ab yaad aaya

dil dhadakne ka sabab yaad aya

aaj mushkil tha sambhalna ae dost
aaj mushkil tha sambhalna ae dost
tu musibat mai ajab yaad aaya
woh tiri yaad thi, ab yaad aaya
dil dhadhknay ka sabab yaad aaya

din guzara tha badhi mushkil se
din guzara tha badhi mushkil se
phir tera wadah e sham yaad aaya
woh teri yaad thi ab yaad aaya
dil dhadakne ka sabab yaad aya

haal e dil hum bhi sunate lekin
haal e dil hum bhi sunate lekin
jub woh rukhsat huwa tab yaad aaya
woh teri yaad thi ab yaad aaya
dil dhadakne ka sabab yaad aya

beht ker saya e gul may nasir
beht ker saya e gul may nasir
hum bohut ro aye woh jub yaad yaad aaya
woh teri yaad thi ab yaad aaya
dil dhadakne ka sabab yaad aya

woh teri yaad thi, ab yaad aaya
dil dhadakne ka sabab yaad aya

FOR VIDEO CLICK/ COPY PASTE THE LINK BELOW

http://www.youtube.com/watch?v=si9mVa-WcUc

7.   Salona Sa Sajan Hai Aur Main Hoon

salona sa sajan hai aur main hoon
jiya mein ik agan hai aur main hoon
salona sa...........

churaaye chain raato ko jagaaye - 2
piya ka ye chalan hai aur me hoon
salona sa...........

piya ke saamane ghunghat uthha de
badi chanchal pawan hai aur main hoon
salona sa...........

rachegi jab mere haatho mein mehendi
ussi din ki lagan hai aur main hoon
salona sa...........

kabhi raha na kisi se tere fasaaona ko
va jaane koyi se khabar ho gayi zamaane ko

suna hai ghar ki mehfil me tum na jaaoge
kaho toh aaj sajaa lo gharibkhaane ko
kabhi kaha na.............

duwaa bahaar ki maangi toh itne phul khile
kahi jaage na rahi mere aashiyaane ko
kabhi kaha na.............

dabaake kabra mein sab chal diye duwaa na salaam
jaraasi der mein kya ho gaya jamaane ko
na jaane kasi.........



http://www.raaga.com/player4/?id=14027&mode=100&rand=0.34924087836407125



  8.   Pehle Bhi Jite The Magar

pehle bhi jite the magar jabse mili hai zindagi
sidhi nahi hai dur tak ulajhi huyi hai zindagi

achchhi bhali thi dur se jab paas aai kho gayi
jismein na aaye kuch nazar wo roshani hai zindagi

har raasta anjaan sa, har phalsafa naadaan sa
sadiyon puraani hai magar har din nai hai zindagi

mitti hawa ban kar udi ghoomi phiri waapas mudi
kabaro pe qatabo ki tarah likkhi huyi hai zindagi



http://www.raaga.com/player4/?id=14027&mode=100&rand=0.9072950521949679


9..   Raat Jo Tune Deep Bujhaye Mere


raat jo tuune dip bujhaaye mere the
ashq jo taariki ne chhupaaye mere the

kaif-e-bahaaraan mahar-e-nigaaraan lutf-e-junuun
mausam-e-gul ke mahake saaye mere the

mere the wo kaab jo tuune chhin liye
git jo honthon par murajhaaye mere the

aanchal aanchal gesuu gesuu chaman chaman
saari kushbuu meri saaye mere the

saahil saahil laharein jisako dhuundhati hain
maazi ke wo mahake saaye mere the



http://www.youtube.com/watch?v=oL1L5xTGnQU



10.   PHIR SAWAM RUT KI PAVAN CHALI TUM

phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye
phir patton ki paajeb baji tum yaad aaye

phir kuunjein bolin ghaas ke hare samundar mein
rut aai pile phuulon ki tum yaad aaye

pahale to main chikh ke roya aur phir hansane laga
Find More lyrics at www.sweetslyrics.com
baadal garaja bijali chamaki tum yaad aaye

phir kaaga bola ghar ke suune aangan mein
phir amrrit ras ki buund padi tum yaad aaye

din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya raha
jab diwaaron se dhuup dhali tum yaad aaye



http://www.youtube.com/watch?v=uR2Nwz6Qq-8



11.    Gaye Dinon Ka Suraag Lekar Kidhar SE



gaye dinon ka suraag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo
ajib maanuus ajanabi tha mujhe to hairaan kar gaya wo
wo hijr ki raat ka sitaara wo ham-nafas ham-sukan hamaara
sada rahe usaka naam pyaara suna hai kal raat mar gaya wo
wo raat ka be-nava musaafir wo tera shaayir wo tera ' naasir'
teri gali tak to hamane dekha tha phir na jaane kidhar gaya wo
bas ek moti si chhab dikhaakar bas ek mithi si dhun sunaakar
sitaaraa-e-shaam ban ke aaya ba-rang-e-kaab-e-sahar gaya wo
kushi ki raat ho ya gam ka mausam nazar use dhuundhati hai haradam
wo buu-e-gul tha ki nagmaa-e-jaan mere to dil mein utar gaya wo
na ab wo yaadon ka chadhata dariya na fursaton ki hai os barakha
yuunhi zara si kasak hai dil mein jo zakm gahara tha bhar gaya wo
kuchh ab sambhalane lagi hai jaan bhi badal chala daur-e-aasamaan bhi
jo raat bhaari thi tal gayi hai jo din kada tha guzar gaya wo
bas ek manzil hai bul-hawas ki hazaar raste hain ahal-e-dil ke
yahi to hai farq mujhamein usamein guzar gaya main thahar gaya wo
shikastaa-pa raah mein khada huun gaye dinon ko bhuu raha huun
jo qaafila mera hamasafar tha misaal-e-gard-e-safar gaya wo
mera to kuun ho gaya hai paani sitamagaron ki palak na bhigi
jo naala uttha tha raat dil se na jaane kyuun be-asar gaya wo
wo mayakade ko jagaane waala wo raat ki nind udaane waala
ye aaj kya usake ji mein aayi ki shaam hote hi ghar gaya wo
wo jisake shaane pe haath rakh kar safar kiya tuune manzilon ka


http://www.youtube.com/watch?v=LkA0XUtYkIA


12.

 
MOVIE:   Muqaddar Ka Sikandar:

Singer : Lata Mangeshkar

Salaam-e-ishq meri jaan zara kabool kar lo
Salaam-e-ishq meri jaan zara kabool kar lo
Tum humse pyaar karne ki zara si bhool kar lo
mera dil bechain hai
mera dil bechain hai humsafar ke liye
mera dil bechain hai humsafar ke liye
Salaam-e-ishq meri jaan..........

Main sunaoon tumhe baat ik raat ki(ho ho ho ho ho)
Main sunaoon tumhe baat ik raat ki
Chaand bhi apni puri jawani mein tha
Dil mein tufaan tha
Ek Armaan tha
Dil ka tufaan apni rawani mein tha
Ek badal...........
Ek badal udhar se chala jhoom ke
Dekhte dekhte chaand pe chha gaya
Chaand bhi kho gaya uske aaghosh mein
Uff, yeh kya ho gaya josh hi josh mein
Mera dil tadpa
Mera dil tadpa kisi ki nazar ke liye
Salaam-e-ishq meri jaan..........


Iske aage ki ab dastaan mujhse sun(ho ho ho ho ho)
Iske aage ki ab dastaan mujhse sun
Sun ke teri nazar dabdaba jayagi
Baat dil ki jo ab tak tere dil mein thi,
Mera dawa hai hoton pe aa jayegi
Tu masiha………..
Tu masiha mohabbat ke maron ka hai(slow)
Tu masiha mohabbat ke maron ka hai
Hum tera naam sun kar chale aaye hain
Ab dua de hamein ya tu de de zeher
Teri mehfil mein ye dil jale aaye hain
Ek ehsaan kar……..
Ehsaan kar(slow)
Ek ehsaan kar, apne mehmaan par
Apne mehmaan par ek ehsaan kar
De Duaein
De Duaein use umra bhar ke liye
Salaam-e-ishq meri jaan…..



http://www.youtube.com/watch?v=cnTZzs6kdKs