Saturday, July 17, 2010

CHAND AUR SURAJ [1965]MOHD. RAFI, MUKESH, LATA, ASHA BHOSLE...




FILM: CHAND AUR SURAJ [ 1965] DULAL GUHA
CAST: ASHOK KUMAR, DHARMENDRA DEOL, SAJJAN, DHUMAL,TARUN BOSE
TANUJA, NIRUPA ROY, MADHUMATI


LYRICS: SHAILENDRA
MUSIC: SALIL CHOUDHARY



1. SINGER: ASHA BHOSLE


bag me kalee khilee bagiya mehakee
par hay rey abhee idhar bhanwara nahee aaya
rah me najar bichhee behakee, behakee
aur bewajah ghadee ghadee yeh dil ghabaraya

baithhe ham toh arman jagaye
sine me lakho tufan chhupaye
mat puchhho mann ko kaise manaya

sapne jo aaye tadapa key jaye
dil kee lagee ko lehka key jaye
mushkil se hamne har din bitaya

ik mithhee aganee me jalta hain tan mann
bat aaur bigadee barasa jo sawan
bachpan gawa key maine sab kuchh gawaya



AUDIO


VIDEO



2. SINGER: LATA



Jhanana jhanana baaje, baaje
bichhuvaa baaje nanadi jaage
kaise aa_un mitavaa more

(aa_i dvaar pe jab se ye rain kajaraari
dekhun pyaar ke sapane mai birahaa ki maari ) -2
mohe ko_i na dekhegaa
chaaye rahegi andhiyaari

jhanana jhanana baaje ...

pa ga, ga pa dha ga, ga pa dha ni, dha ni sa dha,
dha ni sa dha, ni dha, dha ga, pa ga, sa ni sa

(kaise aaj manaa_un meraa man nahi maane
kahe laaj sharm ke tu chhod de bahaane )-2
mohe tere tu unaki hai
baaki saaraa jag jaane

jhanana jhanana baaje ...


AUDIO


VIDEO



3. SINGER : MUKESH: KISI NE JHADOO KIYA....


AUDIO



VIDEO


4. SINGER: LATA: " TERI YAAD NI DIL SE JA SAKI..




AUDIO




5. SINGER: MOHD.RAFI&SUMAN KALYANPUR"TUMHE DIL SE CHAHAT...

AUDIO



VIDEO

BRAHMACHARI{ 1967] MOHD. RAFI, SUMAN KALYANPUR...







FILM: BRAHMACHARI [ 1967] BHAPPI SONE
CAST: SHAMMI KAPOOR,PRAN, RAJASHREE, MUMTAZ


LYRICS: SHAILENDRA, HASRAT JAIPURI, RAJINDER KISHAN
MUSIC: SHANKAR & JAIKISHAN




1. SINGERS: MOHD, RAFI & SUMAN KALYANPUR



Aajkal Tere Mere Pyar Ke Charche Har Zubaan Par
Sab Ko Maloom Hai Aur Sabko Khabar Ho Gayi

Humne To Pyar Mein Aisa Kaam Kar Liya
Pyar Ki Raah Mein Apna Naam Kar Liya
Aajkal Tere Mere.......

Do Badan Ek Dil Ek Jaan Ho Gaye
Manzilen Ek Hui Humsafar Ban Gaye
Aajkal Tere Mere.......

Kyon Bhala Hum Daren Dil Ke Malik Hain Hum
Har Janam Mein Tujhe Apna Mana Sanam
Aajkal Tere Mere Pyar Ke Charche Har Zubaan Par
Sab Ko Maloom Hai Aur Sabko Khabar Ho Gayi

AUDIO


VIDEO




2. SINGER: MOHD. RAFI


Dilke jharokhe mein tujkho bithakar
Yaadon ko teri main dulhan banakar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas

Kal tere jalve paraye bhi honge
Lekin jhalak mere khwabon mein honge
Phoolon ki doli mein hongi tu rukhsat
Lekin mahak meri saanson mein hogi
Dilke jharokhe mein tujkho bithakar
Yaadon ko teri main dulhan banakar

Ab bhi tere surkh honton ke pyaale
Mere tasavvur mein saaqi bane hai
Ab bhi teri zulf ke mast saaye
Birha ki dhup mein saathi bane hai
Dilke jharokhe mein tujkho bithakar
Yaadon ko teri main dulhan banakar

Meri mohabbat ko thukra de chahe
Main koi tujhse na shikwa karonga
Aankhon mein rahti hain tasveer teri
Saari umar teri pooja karoonga
Dilke jharokhe mein tujkho bithakar
Yaadon ko teri main dulhan banakar

AUDIO

VIDEO



3. SINGER: MOHD. RAFI

main gaun tum so jaao
sukh sapnon me kho jaao

maana aaj ki raat hai lambi
maana din tha bhari
par jag badla badlegi
ek din taqadir hamari
us din ke khvaab sajaao

kal tum jab aankhen khologe
jab hoga ujiyara
khushiyon ka sandesha lekar
aaegaa samay harkara,
mat aas ke deep bujhaao,
main gaaun ...

ji karataa hai jite ji
main yun hi gata jaun
gardish men thake haron ka
matha sahlata jaun
phir ik din tum doharao,
sukh sapnon ....



AUDIO


VIDEO



4. SINGER: MOHD. RAFI


Chakke Mein Chakka Chakke Pe Gaadi
Gaadi Mein Nikli Apni Savaari
Thode Agaadi Thode Pichaadi, Chakke Mein Chakka

Chunu Chhabile Munnu Hathile
Makhmal Ki Topi Chhotu Rangile
Lallu Batata Lalli Tamata
Gamma Banenge Gattu Mathile
Pet Mein Inke Lambi Si Dadhi

Umar Mein Kacche Yeh Chhotte Bacche
Hain Bhole Bhaale Hain Seedhe Sachhey
Kahenge Jo Bhi Karke Rahenge
Yeh Apni Dhun Ke Hain Poore Pakke
Koi Na Samjhe Inko Anadi

Lamba Safar Hai Tedi Dagar Hai
Manzil Hain Mushkil Girne Ka Dar Hai
Par Na Rukenge Chalte Chalenge
Yeh Sari Duniya Ab Apna Ghar Hai
Haar Na Manenge Yeh Khiladi

AUDIO


VIDEO




5. SINGER: MOHD. RAFI

koi pyar hame bhi karta hai
hum par bhi koi marta hai
hame tum kya samajhte ho
mohabbat ke khuda hum hai

phulo ki tazgi tu hai
kaliyo ki nazgi tu hai
ab teri zindgi main hai
aur meri zindgai tu hai
mohabbat ke khuda......

aankho se pyar chalkake
ho dekha jo tune sharma ke
pahlu me tere aa bethe
hum do jahan thukrake
mohabbat ke khuda......


VIDEO





6. SINGER: MOHD. RAFI


main gaun tum so jaao
sukh sapnon me kho jaao

maana aaj ki raat hai lambi
maana din tha bhari
par jag badla badlegi
ek din taqadir hamari
us din ke khvaab sajaao

ji karataa hai jite ji
main yun hi gata jaun
gardish men thake haron ka
matha sahlata jaun
phir ik din tum doharao,
sukh sapnon ....


AUDIO


VIDEO




7. " DIL....


AUDIO


8. " TARIF KYA KAROON.....

AUDIO