Monday, September 24, 2012

MEHDI HASSAN...GHAZALS





1.  ZINDAGI MEIN TO SABHI PYAR KIYA



     Zindagi meiN to sabhi pyaar kiya karte haiN
     main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga

     tu mila hai to ehsaas hua hai muJhko
     ye meri umR mohabbat ke liye thoDi hai
     ik zara saagame daura ka bhi haq hai jispar
     maine wo saaNs bhi tere liye rakh choDi hai
     tuJhpe ho jaaoonga qurbaan tuJhe chaoonga
     main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga

     apne jazbaat meiN nagmaat rachaane ke liye
     maine dhaDkan ki tarah dil meiN basaya hai tuJhe
     main tasavoor bhi judaai ka bhala kaise karooN
     maine kimsat ki lakiroN se churaaya hai tuJhe
     pyaar ka ban ke nigehbaan tuJhe chahoonga
     main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga



Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video

http://www.youtube.com/watch?v=uTdHP0HDdgw








2.  RAFTA RAFTA WO MERI HASTI KA SAAMAAN

     Rafta rafta wo meri hasti ka saamaaN ho gaye
     pehle jaaN fir jaane jaaN fir jaane jaana ho gaye

     din badin badhti gayi is huSn ki raanayeeyaaN
     phele gul fir gul badan fir gul badaama ho gaye
    
     aap to nazdeeK se nazdeek tar aate gaye
     pehle dil fir dilruba fir dil ke mehmaaN ho gaye

     pyaar jab had se baDha saare takalluf mit gaye
     aap se fir tum huye fir tu ka unwaaN ho gaye




Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video


    
http://www.youtube.com/watch?v=Yz12MV7Tvdw




3.   TERE BHEEGE BADAN KI KHUSHBOO


     Tere bheege badan ki khooshboo se
     lehre bhi huyee mastaani si
     teri zulf ko chookar aaj huyee
     khaamosh hawa diwaani si

     ye roop ka kundan dehka hua
     ye zism ka chandan mehka hua
     ilzaam na dena fir muJhko
     ho jaaye agar naadani si

     bikhra hua kaajal aankhoN meiN
     toofaan ki halchal saansoN meiN
     ye narM laboN ki khamoshi
     palko meiN chupi hairaani si


Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video

http://www.youtube.com/watch?v=pd6tAvwp2go


4.  YOON ZINDAGI KI RAAH MEIN TAKRA

     YooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
     ik roshni andheroN mein bikhra gaya koi

     wo haadsa wo pehli mulaakat kyaa kahoon
     itni ajab thi soorat haalat kya kahoon
     wo kehar wo gazab  wo jafa muJko yaad hai
     wo uski berukhi ki adaa muJhko yaad hai
     mittha nahin hai zehan pe yoon chaa gaya koi
     yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

     pehle muJhe wo dekhke barham si ho gayee
     fir apne hi haseeN khayaloN meiN kho gayee
     bechargi pe meri usse reham aa gaya
     shaayad mere taDapne ka andaaz bhaa gaya
     saansoN se bhi kareeb mere aa gaya koi
     yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

     yoon usne pyaar se meri baahOn ko choo liya
     manzil ne jaise shaakh ke raahon ko choo liya
     ik pal meiN dil pe kaise qayamt guzar gayi
     rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi
     zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi
     yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

     ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye
     benaam aarzoo ki lazzat na poochiye
     ik ajnabi tha rooh ka armaan ban gaya
     ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya
     manzil ka raasta muJhe dikhla gaya koi
     yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

 Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video


http://www.youtube.com/watch?v=LTqoFj9wHoI








5. KYOON HUMSA KHAFA HO GAYE

     KyooN humse khafa ho gaye ae jaan-e-tamanna
     bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete

     ye raat ye barsaat ye saawan ka mahina
     aise mein to sholoN ko bhi aata hai paseena
     is rut meiN gareeboN ka dua kyoon nahin lete
     bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete

     dekho to zara jhaank ke baahar ke fazaa meiN  
     barsaat ne ik aaga laga di hai hawa meiN
     is aag ko seene meiN basa kyoon nahiN lete
     bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete

     aaya hai kise raas judaai ka ye aalam
     taDpenge meiN akele meiN udhar aap idhar hum
     dil dil se meri jaan mila kyoon nahin lete
     bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete

Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video

http://www.youtube.com/watch?v=p_BZOQJGa-o



6     MUJHE TUM NAZAR SE GIRA TO RAHE HO

     MuJhe tum nazar se gira to rahe ho
     muJhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
     na jaane muJhe kyoon yakiN ho chala hai
     mere pyaar ko tum mitaa na sakoge

     meri yaad hogi jidhar jaaoge tum
     kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
     kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
     tadapta muJhe har taraf paaoge tum
     shama jo jalaayi hai meri wafa ne
     bujhaana bhi chaaho bujha na sakoge

     kabhi naam baatoN meiN aaya jo mera
     to bechain ho hoke dil thaam loge
     to bechain ho hoke dil thaam loge
     nigahon mein chaayega gham ka andhera
     kisi ne jo poocha sabab-a-subooN ka
     bataana bhi chaaho bata na sakoge


Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video

http://www.youtube.com/watch?v=9fVyDt3fQ8A




7. YE TERA NAAZUK BADAN HAI YA KOI

     Ye tera naazuk badan hai ya koi mehka gulaab
     kya karoon taarif teri har adaa hai laajawab

     kyoon na ye dil tumko chaahe husn se bhi tum ho haseen
     paaOn padte hain jahan pe phool khil jaate hain wahin
     jaan le lega hamaari ik na ik din ye sabaab
     ye tera naazuk badan hai ya koi mehka gulaab

     ruk gaye saawan ke baadal zulf jab chehre pe paDi ho
     dekh le jo unko shaayad bhool jaaye wo shaayari
     sang-e-marmar ka badan hai ya kisi shaayar ka khwaab


Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video

http://www.youtube.com/watch?v=F597btJV0jQ





8.  DUNIYA KISI KE PYAREIN JANNAT SE KAAM NAHIN

     Duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
     ik dilruba hai dil meiN jo gooroN se kam nahiN

     tum baadshaah-e-husn ho husn-e-jahaan ho
     jaane wafa ho aur mohaabat ki shaan ho
     jalwe tumhare husn ke taaroN se kam nahin
     duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
    
     bhoole se mushkuraaO to moti baras paDe
     palke utha ke dekho to kaliyaan bhi has paDe
     khusboo tumhaari zulf ki phoolon se kam nahin
     duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN


Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video 

http://www.youtube.com/watch?v=Dn8Dkz1QUOE

    


9. RIM JHIM KI BARSAAT HAI AUR JAAGE


     Rim jhim ki barsaat hai aur jaage huye jazbaat haiN
     husN ki garmi pyaar ki narmi dono ab ik saath haiN

     ruth hai badi mastaani
     dekho bheeg na jaaye jawaani
     kahin aag laga bin paani
     hosh nahin hai dil ka
     ab aise hi kuch haalat haiN

     aankho meiN hai sharaare
     lage jalne hoth kunwaare
     kuch samJho khudaa ishaare
     dil hai pyaar ka pyaasa
     aur bheege huye din raat haiN


 Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video


http://www.youtube.com/watch?v=WNVd5spkeHw            [ALT]




10.  SHIKWA NA KAR GILA NA KAR YE DUNIYA

     Shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare
     yahan gham ke maare tadapte raheN

     khizaN is gulistaaN meiN aati rahi hai
     hawa sookhe patte uDaati rahi hai
     yahan phool khilke baharon se milke bichadte rahe
     shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare
    
     yahan tere ashkoN ki keemat nahiN hai
     reham karna duniya ki aadat nahiN hai
     kisi ne na dekha yahan khooN ke aansoo dhalkte rahe
     shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare
    
     yahan ka dastoor hai khamosh rehna
     jo guzri hai dil pe kisi se na kehna
     ye din kaate hase yahan log bas ke ujaDte rahe
     shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare



  Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video    


 http://www.youtube.com/watch?v=tcoKlbmIn9A


11.   ILAHI AANSOO BHARI ZINDAGI KISI KO NA DE


     Ilaahi aansoo bhari zindagi kisi ko na de
     khushi ke baad gham-e-bekasi kisi ko na de
   
     udaas dil ki tamanna hai ashkbaar hooN maiN
     khizaaN meiN jaise baaharoN ki yaadgaar hoon maiN
     udaasi jis pe haNse wo hasi kisi ko na de
     ilaahi aansoo bhari zindagi kisi ko na de
    
     ujaad kar meri duniya ko rakh diya tune
     meri hayat ke maalik ye kya kiya tune
     jo gham naseeb ho aisi khushi kisi ko na de
     khushi ke baad gham-e-bekasi kisi ko na de


 Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video


http://www.youtube.com/watch?v=lMb5AG_0deo


 


12.  IK HUSN KI DEWI SE MUJHE PYAR HUA THAA

      Ik husn ki dewi se muJhe pyaar hua thaa
     dil uski mohaabat meiN giraftaar hua thaa

     wo roop ke jis roop se kaliyaN bhi lajaayeN
     wo julf ke jis julf se sharmaaye ghaTaayeN
     maikhane-e-nigaahon pe adaaoN ke taraane
     de daale muJhe usne mohabbat ke khazaane
     haan aisi hi ik raat thi aisa hi shama tha
     ye chaand bhi poora thaa jamana bhi jawaan tha
     ik peD ke saaye meiN jab ikraar hua thaa
    
     kashmir ki waadi ke wo purnaikh nazaare
     lamhaat mohaabt ke jahan humne guzaare
     angDai na lekar meri baahon ke sahaare
     gulnaar nazar aati thi wo sharm ke maare
     ek tarafa na the husn-o-mohabbat ke ishaare
     usne bhi kai baar mere baal sanwaare
     ehsaas ka jazbaat ka izhaar hua thaa
    
     kuch roz kate yoon hi bura waqt jab aaya
     us husn ki dewi ne bhi nazroN ko firaaya
     kurbat ne zamaane ke nighaahon se giraaya
     aachal mere haathoN se mohaabat ne chuDaaya
     ik raat ko usne muJhe sota hua choDa
     chal di wo kahin pyaar ko rota hua choDa
     soya hua main neend se jaaga jo sawere
     wo jab na mili chaa gaye aankhoN meiN andhere
     taqdir kisi ko bhi bure din na dikhaaye
     hote hain bure waqt meiN apne bhi paraaye
     kya pyaar ki daulat ka talabdaar hua thaa


 Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video


http://www.youtube.com/watch?v=zdqe60aQ8Sg






13.  MERA IMAAN MOHABBAT HAI MOHAABBAT KI KASAM


     Mera imaan mohabbat hai mohabbat ki kasam
     saare duniya tere kadmoN pe nichaawar kar doon
     chaand taaron se meri jaan tera daaman bhar doon
     tere khwaaboN pe kabhi chaa na sake shaam-e-alam

     wo jahan ek jahannam hai jahan tu na mile
     jal ke mar jaaooon jo ye saaya-e-gesoo na mile
     zindagi zehar bhara jaam hai ab tere baghair
     teri chaahat pe hai qurbaan mere laakh janam

     mushkuraa jaane-e-bahara ke sawera hoga
     khatm sadiyon ki riwazon ka andhera hoga
     shab ki taqdeer meiN likha hai guzar hi jaana
     raah suraj ki kahan rok sake ehle sitam


Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video 


http://www.youtube.com/watch?v=Jzjg8FMyIew




14.  FIR AAKE CHALE JAANAA IK BAAR CHALE AAO


     Fir aake chale jaana ik baar chale aao
     surat to dikha jaao, ik baar chale aao

     tumko mere geeton ka sangeet bulata hai
     kuch geet mere sun lo kuch apne suna jaao

     jo tum bulaayeN fir tum shauk se mat aana
     kis baat pe roothe ho itna to bata jaao
    
     kya dil ke tadapne ka ehsaas nahin tumko
     ab jaan pe ban aayi lillah chale aao


Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video

http://www.youtube.com/watch?v=h_mAA0CTWD0



15.    HUM SE BADAL GAYA WO NIGAAHE TO KYA HUA


     Hum se badal gaya wo nigaahe to kya hua
     zinda hai kitne log mohabbat kiye baghair

     guzre dino mein jo kabhi gunje the keh kahe
     ab apne ikhtiyaar meiN wo bhi nahin rahe

     kismat meiN reh gayi hai jo aahe to kya hua
     sadma ye jhelna hai shikaayat kiye baghair

     wo saamne bhi ho to na kholenge hum zubaan
     likkhi hai uske chehre pe apni hi daastaan

     usko taras gayi hai ye baaheN to kya hua
     wo laut jaaye hum pe inaayat kiye baghair

     pehle karib tha koi ab dooriyaaN bhi haiN
     insaan ke naseeb meiN majbooriyaaN bhi haiN

     apni badal chuka hai wo raahen to kya hua
     hum chup rahenge usko malaamat kiye bahgair




 Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video


 http://www.youtube.com/watch?v=yBQvb-Dl228




16.  BHADAK RAHI HAI AAG SI HAWAAON MEIN

      Bhadak rahi hai aag si hawaaoN meiN
     sulag raha hooN baadaloN ke chaaoN meiN
     bahaar muJh se chin gayi muJhe bahaar chaaiye
     muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye

     kisi ke dillagi ko pyaar jaanke
     main lut gaya hoon dil ki baat maanke
     na muJhko chaahiye wafa na muJhko pyaar chaaiye
     muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye

     na jaane kab ye dil ka dard jaayega
     rahoonga hosh meiN to gham sataayega
     mere liye to raat din bas ik khumaar chaaiye
     muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye

     tadap na mere dil kisi ki aas meiN
     hazaar talkhiyaaN hai teri pyaas meiN
     tuJhe to saari zindagi ka intezaar chaaiye
     muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye

Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video


 http://www.youtube.com/watch?v=NMT8Fy4FY-8&feature=related