Tuesday, August 2, 2011

AAP KI KASAM [1971] J. OM PRAKASH






FILM: AAP KI KASAM [ 1971] J OM PRAKSH
CAST: RAJESH KHANNA, MUMTAZ,SANJEEV KUMAR,JAY SHREE,RANJEET,A.K.HANGAL,
SULOCHANA, ASRANI, MURAD,..

LYRICS: ANAND BAKSHI
MUSIC: R.D. BURMAN



1. SINGER: KISHORE KUMAR



zindagi ke safar me guzar jaate hai jo makaam
vo phir nahi aate, vo phir nahi aate

phUl khilate hai, log milate hai
phUl khilate hai, log milate hai magar
patajhad me jo phUl murajhaa jaate hai
vo bahAro ke aane se khilate nahi
kuchh log jo safar me bichhad jaate hai
vo hazAro ke aane se milate nahi
umr bhar chAhe koi pukaarA kare unakA naam
vo phir nahi aate, vo phir nahi aate
zindagi ke safar me ...

aankh dhokhA hai, kyA bharosA hai
aankh dhokha hai, kyA bharosA hai suno
dosto shaq dosti kA dushman hai
apane dil me ise ghar banAne na do
kal tadapanA pade yaad me jinaki
rok lo rUth kar unako jaane na do
baad me pyAr ke chAhe bhejo hazAro salaam
vo phir nahi aate, vo phir nahi aate
zindagi ke safar me ...

subah aati hai, shaam jaati hai
subah aati hai, shaam jaati hai yUnhi
vaqt chalataa hi rahataa hai rukataa nahi
ek pal me ye aage nikal jaataa hai
aadami thik se dekh paataa nahi
aur parade pe mazar badal jaataa hai
ek baar chale jaate hai jo din-raat subah-o-shaam
vo phir nahi aate, vo phir nahi aate
zindagi ke safar me ...

AUDIO


VIDEO


2. SINGER: LATA & KISHORE KUMAR

hai jai bolo shiv shankar ki jay
hey jai jai shiv shankar kanta lage na kankar - 2
ke pyala tere nam ka piya
ho o o gir jaoongi main mar jaoongi
jo tune mujhe tham na liya, o sau rabadi
hey jai jai shiv shankar kanta lage na kankar, ke pyala tere nam ka piya
ho o o gir jaoongi main mar jaoongi
jo tune mujhe tham na liya, o sau rabadi

ek ke do, hmmm, do ke char, hmmm, mujh ko to, hmmm, dikhte hain
aisa hi hota hai, jab do dil milte hai
ek ke do, do ke char, mujh ko to dikhte hain
aisa hi hota hai, jab do dil milte hai
sar pe zameen panv ke neeche hai aasman ho (sau rabadi - 4)
jai jai shiv shankar kanta lage na kankar, ke pyala tere nam ka piya
ho o o gir jaoongi main mar jaoongi
jo tune mujhe tham na liya o sau rabadi
o bansi bhaiyya..he he he..

o more raja bade jatna se ki chune teri phulwari ke ri..

kandhe pe, hmmm, sar rakh ke, hmmm, tum mujh ko, hmmm, sone do
masti men, jo chahe, ho jaye, ho ne do
kandhe pe, sar rakh ke, tum mujh ko, sone do
masti men, jo chahe, ho jaye, ho ne do
aise men tum ho gaye ho bade beiman ho, (sau rabadi - 4)
brrrr jai jai shiv shankar kanta lage na kankar, ke pyala tere nam ka piya
ho o o gir jaoongi main mar jaoongi
jo tune mujhe tham na liya, o sau rabadi
he he he..kya kya

raste mein, hmmm, ham dono, hmmm, ghar kaise jayenge
ghar wale ab hamkokhud lene aayenge
raste mein, ham donon ghar kaise jayenge
ghar wale ab hamkokhud lene aayenge
kuchh bhi ho lekin maza aa gaya meri jan ho (sau rabadi - 4)
jai jai shiv shankar kanta lage na kankar, ke pyala tere nam ka piya
ho o o gir jaoongi, main mar jaoongi
jo tune mujhe tham na liya, o sau rabadi

are bajao re bajao imandari se bajao he he


AUDIO


VIDEO



3. SINGERS: LATA & KISHORE KUMAR

karavate badalate rahe saari raat ham, aap ki qasam
Gam na karo din judaa_i ke bahut hai kam, aap ki qasam

yaad tum aate rahe ik huq si uthati rahi
nid mujhase, nid se mai bhaagati chhupati rahi
raat bhar bairan nigodi chaandani chubhati rahi
aag si jalati rahi, girati rahi shabanam, aap ki qasam ...

jhil kee aankho me aashiq dub ke kho jaayegaa
zulf ke saaye me dil naGamaa bharaa so jaayegaa
tum chale jaao nahi to kuchh na kuchh ho jaayegaa
dagamagaa jaayege aise haal me qadam, aap ki qasam ...

ruth jaaye ham to tum hamako manaa lenaa sanam
dur ho to paas hamako tum bulaa lenaa sanam
kuchh gilaa ho to gale hamako lagaa lenaa sanam
tut na jaaye kabhi ye pyaar ki qasam, aap ki qasam ...

AUDIO


VIDEO



4. SINGERS: LATA & KISHORE KUMAR

pas nahi aana dur nahi jana
tum ko saugandh hai ke aaj mohabbat band hai

pehle tu aag bhadakati hai, phir dil ki pyaas bujhati hai
teri yehi ada to mujh ko pasand hai
achchha han han magar aaj mohabbat band hai

kitna kitna maza hai aise jeene me
dhak dhak bhi hoti nahi seene me
koi bechaini nahi kitna anand hai, ke aaj mohabbat band hai

mat chhed apne deewane ko, rahne de tu is bahane ko
hotho pe na hai magar dil to razamand hai
razamand hai magar aaj mohabbat band hai

AUDIO


VIDEO


5. SINGERS: LATA & KISHORE KUMAR

(suno, kaho, kaha, suna, kuchh huva kya
abhi to nahi hmmm kuchh bhi nahi) - 2

are chali hawa, jhuki ghata, kuchh huva kya
hmmm abhi to nahi kuchh bhi nahi

teri kasam yeh dilkash nazare karte hain ishare jo samajhe koi
mere sanam yeh khamosh aankhe bhi karti hain batein jo samjhe koi
samjha nahi tum samjha do
are suno, kaho, kaha, suna, kuchh huva kya
abhi to nahi kuchh bhi nahi

bas jo chale to subah se lekar rahu sham tak main tere sang mein
gar ho sake to main apne dil par tera nam likh doon har ek rang mein
baton mein na uljhaao
suno, kaho, kaha, suna, kuchh huva kya
ooo abhi to nahi hmmm kuchh bhi nahi

achchha kabhi phir bat chhedenge marzi nahi hai tumhari abhi
kuchh ho gaya to badi hogi mushkil ke chhoti umar hai hamari abhi
main kya karoon batla do
suno, han kaho, kaha, han suna, kuchh huva kya
abhi to nahi kuchh bhi nahi
are chali hawa, jhuki ghata, kuchh huva kya
zara sa kuchh huwa to hai - 4

AUDIO


VIDEO