Friday, February 11, 2011

SURAJ :[ 1966] [7]



FILM: SURAJ [1966] T. PRAKASH RAO

CAST: RAJENDRA KUMAR,VIJAYANTHIMALA,AGHA, MUKRI, DAVID ABRAHAM, AJIT

LALITHA PAWAR, MUMTAZ, NEETU SINGH, BHARATHI

LYRICS: SHAILENDRA & HASRAT JAIPURI
MUSIC: SHANKAR & JAIKISHAN




1. SINGER: MOHD. RAFI

Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Hawaaon raagini gaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai

O laali phool ki mehndi laga in gore haathon mein
Utar aa ae ghata kaajal laga in pyaari aankhon mein
Sitaaron maang bhar jaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai

Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai

Nazaaron har taraf ab taan do ek noor ki chaadar
Bada sharmila dilbar hai, chala jaaye na sharmaakar
Zara tum dil ko behlaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehbooba aaya hai

Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai

Sajaayi hai jawaan kaliyon ne ab yeh sej ulfat ki
Inhe maaloom tha aayegi ek din ruth mohabbat ki
Fizaaon rang bikhraao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Hawaaon raagini gaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai ....

Audio

VIDEO




2. SINGER: RAFI

Chehere Pe Giri Zulphen Kehdo Tho Hatadun Mein,
Gustakhi Maaf, Gustakhi Maaf..
Ek Phool Tere Jode Mein Kehedo Tho Lagadun Mein,
Gustakhi Maaf, Gustakhi Maaf..

Yeh Roop Hasin Dhoop, Bahut Khub Hein Lekin,
Ulphat Ke Bina Phika., Chehera Tera Rangeen,
Ek Deep Mohobbat Ka, Kehedo Tho Jaladun Mein,
Gustakhi Maaf, Gustakhi Maaf..

Sarkar Huva Pyar, Khata Ham Se Huyi Hai,
Ab Dil Mein Tumhi Tumho, Yeh Jaan Bhi Teri Hai,
Ab Cheer Ke Is Dil Ko, Kehedo Tho Dikhadun Mein,
Gustakhi Maaf, Gustakhi Maaf..

Chehere Pe Giri Zulphen Kehdo Tho Hatadun Mein,
Gustakhi Maaf, Gustakhi Maaf..
Ek Phool Tere Jode Mein Kehedo Tho Lagadun Mein,
Gustakhi Maaf, Gustakhi Maaf..

Audio

VIDEO


3. SINGER: RAFI



itna hai tumse pyaar mujhe mere raazdaar
jitne ke aasmaan par taare hai beshumaar

itna hai tumse pyaar mujhe mere raazdaar
jitne ke iss zameen par zarne hai beshumaar

tere sivaa na kissi ko laaya nigaah mein
laakhon haseen aaye jawaani ki raah mein
sadiyon se kar raha tha tumhaara hi intezaar
itna hai tumse pyaar mujhe mere raazdaar
jitne ke aasmaan par taare hai beshumaar
itna hai tumse pyaar mujhe mere raazdaar

maine bhi tere vaaste kitne janam liye
jab dil ke raasto pe maine pyaar ke diye
ek din jaroor paaugi itna tha aitbaar
itna hai tumse pyaar mujhe mere raazdaar
jitne ke iss zameen par zarne hai beshumaar
itna hai tumse pyaar mujhe mere raazdaar

bekhud banaa diya mujhe tere qaraar ne
jannat agar mile to na loon tere saamne
yeh pyaar woh nasha hai jisska nahin utaar
itna hai tumse pyaar mujhe mere raazdaar
jitne ke aasmaan par taare hai beshumaar
itna hai tumse pyaar mujhe mere raazdaar

Audio

VIDEO



4. SINGER: ASHA BHOSLE & RAFI

Rafi: aaa aaa aaaa aaaa
kaise samjhaau badi na samajh ho (2)
hum se na jeetogi tum rehne do yeh baazi
kaise samjhaau

Asha: aaa aaa
kaise samjhaau bade na samajh ho (2)
aaye gaye tum jaise senkado anaari
kaise samjhaau

Rafi: (hum dil ka saaz bajaate hai
duniya ke hosh udaate hai) (2)
hum saat suron ke saagar hai
har mehfil mein lehraate hai (2)
kaise samjhaau badi na samajh ho
kaise samjhaau

Asha: (tum saaz bajaana kya jaano
tum rang jamaana kya jaano) (2)
mehfil to humari tumse hai
tum hosh udaana kya jaano (2)
kaise samjhaau bade uh samajh ho (2)
kaise samjhaau

(main naachu chaand sitaaron par
sholo par aur sharaaron par) (2)

Rafi: hum aise kalaa ke deewaane
chha jaaye nashili bahaaron par (2)
kaise samjhaau

Asha: ho

Rafi: badi na samajh ho

Asha: ho

Rafi: kaise samjhaau

Asha: ho

Rafi: badi na samajh ho

Asha: ho aaye gaye tum jaise saikado anaari, kaise samjhaau

Rafi: badi na samajh ho, kaise samjhaau


Audio

VIDEO




5. SINGER: ASHA BHOSLE & MOHD. RAFI

ra : ek baar aati hai rut aisi roz nahi
ke mujhako sambhaalo ko_i mujhako hosh nahi

aa : ek baar aati hai rut aisi roz nahi
vo dil ko_i dil nahi hai jisame josh nahi

ra : ho ho ho
ye teri nain rekhaa rekhaa me khud ko dekhaa
na puchh dil ki haalat hai daur ye khushi kaa -2
o jhum-jhum gaataa hai dil aisaa roz nahi
ke mujhako sambhaalo ...

aa : ho ho ho
dil meraa dole ye khaa_e hichakole
mai haay-haay karun ye bhed saaraa khole -2

ho nainan baan chalaati hai rut aisi roz nahi
vo dil ko_i dil ...

ra : ho ye dil dagamagaa_e nazar ladakhadaa_e
mai gir-gir jaa_un jab saamane tu aa_e -2
ho dil ki baat bataataa hai dil aisaa roz nahi
ke mujhako sambhaalo ...
ko : mujhako hosh nahi

aa : ho pyaar bhari saiyaa tu daal gale bahiyaan
daal dungi tujh par mai palako ki chhaiyaa
ho dil se dil milaati hai rut aisi roz nahi
vo dil ko_i dil ...
ko : ek baar aataa hai din aisaa roz nahi
ke mujhako sambhaalo ko_i mujhako hosh nahi

Audio

VIDEO




6. SINGER SHARDA

"Dekho Mera Dil Machal Gaya....

Audio

VIDEO



7. SINGER: SHARDA

"Titli Udi Ud Jo Chali....

Audio


VIDEO