Tuesday, March 16, 2010

PATANGA [ 1949] CHITALKAR, SHAMSHAD BEGUM ,LATA



FILM: PATANGA [ 1949]
CAST: Nigar Sultana, Shyam, Gopi Krishna, Poornima MUSIC:
LYRICS: RAJINDER KISHAN
MUSIC: C. Ramchandra



NIGAR SULTANA



1. SINGER: Shamshad Begum & Chitalkar RAMCHANDRA



Chitalkar: hello,hindustan ka dehradun
hello,main rangoon se bol raha hoon
main apni biwi renukadevi se baat karna
chahata hun
haan haan

Shamshad: mere piya, ho mere piya gaye rangoon
kiya hai wahaan se teliphoon
tumhari yaad sataati hai, jiya men aag
lagaati hai

mere piya, ho mere piya gaye rangoon
kiya hai wahaan se teliphoon
tumhari yaad sataati hai, jiya men aag
lagaati hai

Chitalkar: ham chhod ke hindustan,bahut
pachhtaaye
bahut pachhtaaye
hui bhool jo tum ko saath na lekar aaye
ham burma ki galiyon men,
aur tum ho dehradun
tumhari yaad sataati hai,
jiya men aag lagaati hai

Shamshad: meri bhookh pyaas bhi kho gayi gham
ke maare
gham ke maare
main adhmui si ho gai gham ke maare
tum bin saajan,
janvari farvari ban gaye mayi aur jun
tumhaari yaad sataati hai,
jiya men aag lagaati hai

Chitaklar: aji tumse bichhadke ho gaye ham
sanyaasi
kha lete hain jo mil jaaye
rukhi sukhi baasi
aji lungi baandh ke karen guzaara
bhool gaye patloon
tumhaari yaad sataati hai,
jiya men aag lagaati hai


Audio


video


2. SINGER: SHAMSHAD BEGUM
Shamshad Begum ]

o haay gore gore
(gore gore
gore gore mukhade pe gesu Jo chha gaye ) - 2
chaandani raat men baadal kahaan se aa gaye - 2
(gore gore
gore gore mukhade pe gesu jo chha gaye ) - 2

aaina dekh ke wo dekhate hi rah gaye
wo dekhate hi rah gaye
dhire-dhire sapanon ki laharon men bah gaye
wo laharon men bah gaye
apani ada pe phir kkud hi sharama gaye - 2

(gore gore
gore gore mukhade pe gesu jo chha gaye ) - 2

(gesu hate to wohi chaandani raat thi
chhup gaye baadal pahali si baat thi ) - 2
chanda nikal aaya taare sharama gaye - 2

(gore gore
gore gore mukhade pe gesu jo chha gaye ) - 2
o haay gore gore
(gore gore
gore gore mukhade pe gesu Jo chha gaye ) - 2
chaandani raat men baadal kahaan se aa gaye - 2
(gore gore
gore gore mukhade pe gesu jo chha gaye ) - 2

aaina dekh ke wo dekhate hi rah gaye
wo dekhate hi rah gaye
dhire-dhire sapanon ki laharon men bah gaye
wo laharon men bah gaye
apani ada pe phir kkud hi sharama gaye - 2

(gore gore
gore gore mukhade pe gesu jo chha gaye ) - 2

(gesu hate to wohi chaandani raat thi
chhup gaye baadal pahali si baat thi ) - 2
chanda nikal aaya taare sharama gaye - 2

(gore gore
gore gore mukhade pe gesu jo chha gaye ) - 2

Audio


video



3. SINGER: Shamshad Begum & Lata



Shamshad:
pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) \-2

Lata:
pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) \-2

Both: ( muhabbat ke thaane me.n ) \-2
ye dil thaanedaar hai
ye dil havaladaar hai
ye dil chaukidaar hai

pyaar ke jahaan ki...................

Lata:
anokhi kacheri hai ye
( anokha qaanoon hai ) \-3

shamshad:
muhabbat ki arzi ka naya mazmoon hai \-2

Both: aankhon ka daak khaana ho
aankhon ka daak khaana
nazaron ka taar hai ji, nazaron ka taar hai
muhabbat ke thaane men....................

pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) \-2


lata:
pyaar ke iskool men
( ik hi talaash hai ) \-3

shamshad: laakhon ummeedvaar koi koi paas hai \-2

Both: ( mushkil sabaq hai ye ) \-2
par mazedaar hai ji, par mazedaar hai
muhabbat ke thaane men.........

pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) \-2


Lata: pyaar kiya jis ne vo
( pyaar hi men kho gaya ) \-3

shamshad: itana samajh lo ke bekaar ho gaya \-2

Both: ( us ke liye to ) \-2
har din itavaar hai ji, har din itavaar hai
muhabbat ke thaane men..........

pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) \-2
( muhabbat ke thaane me.n ) \-2
ye dil thaanedaar hai
ye dil havaladaar hai
ye dil chaukidaar hai
ye dil khabardaar hai


Audio


video


4. SINGER: Shamshad Begum & Chitalkar

Shamshad:
jisane is duniyaan men aakar
dil na diya aur dil na liya
jine ko sau saal jiya
par ham to kahenge khaakh jiya

Shamshad: o dilavaalon dil ka lagaana achcha hai
Chitalkar: par kabhi kabhi
Shamshad: dil men kisi ka pyaar basaana achcha hai
Chitalkar : par kabhi kabhi

Shamshad: duniyaan men jo pyaar na hota tum hi kaho kya hota
Chitalkar: koi na thandi aahen bharta koi na dard ke maare rota
Shamshad: hasanevaalon aansu bahaana achcha hai
Chitalkar: par kabhi kabhi

Shamshad: o dilavaalon..............

Shamshad: shamaa na ho to paravaane ko kaun gale se lagaae
Chitalkar: shama na ho to paravaana kyon apana aap jalaaye
Shamshad: kisi ki khaatir jaan jalaana achcha hai
Chitalkar: par kabhi kabhi

Both: o dilavaalon dil ka lagaana achhchhaa hai
par kabhi kabhi..........


Audio


video

5. SINGER: LATA MANGESHAKAR

dil se bhula do tum hamein, hum naa tumhen bhulaaenge,
rooth ke jaanewaale, hum duniya se rooth jaaenge
hum naa tumhen bhulaaenge

nazaron se kyun gira diya, tum ne kisi gharib ko,
kaise manaaega koi, roothe hue naseeb ko
tum ne diye jo dil ke daagh, kaise unhen chhupaaenge
rooth ke jaanewaale

tum ne hamein mita diya, tum se kahen to kya kahen
maana ke bewafa ho tum, phir bhi na bewafa kahen
tum ne jo kahana tha kah chuke hum yahi kahate jaayenge
rooth ke jaanewaale


Audio


video


6. SINGER: SHAMSHAD BEGEUM

duniya ko pyaare phool aur sitaare
mujh ko balam ka naam,
balam tujhe mera salaam
salaam tujhe,ho salaam tujhe, meraa salaam -2

laakhon men ek tum laakhon se pyaare
dil ki tamanna, nazar ke sahaare
nazar jhuk jaaye, qadam ruk jaaye
jo le de koi teraa naam
balam tujhe


main tujh ko maanoon, duniya naa maane
qurabaan tum par sau sau zamaane,
ji sau sau zamaane
jo tu mil jaaye to dil khil jaaye
zamaane se kya mujh ko kaam
balam tujhe


Audio


7. SINGER: LATA mANGESHKAR


thukara ke mujhe jaanewaale
ik thokar aur lagaata ja
sindur to maang se chhin liya
ab phoolon ko thukaraataa ja

o jaanewaale
jaanewaale toone aramaanon ki duniya loot li
muskuraane bhi na paai thi, tamannaa loot li
haaye duniya loot li

o jaanewaale

chhin kar khushiyaan meri, rone ko aansu de diye - 2
raat din maangi mere dil ne, dua jis ke liye - 2
kya qayaamat hai
kya qayaamat hai usi ne dil ki duniya loot li
muskuraane bhi na paai thi, tamanna loot li
haaye duniya loot li

o jaanewaale

kar diya beghar mujhe, mere hi ghar ke saamane - 2
aa gayi jab pyaar ki manzil, nazar ke saamane - 2
lootanevaale ne
lootanevaale ne manzil ki tamanna loot li
muskuraane bhi na paai thi, tamanna loot li
haaye duniya loot li

o jaanewaale, tune aramaanon ki duniya loot li
muskuraane bhi na paai thi, tamanna loot li
haaye duniya loot li

o jaanewaale


Audio


video



WITHOUT LYRICS

*****

8. SINGER: SHAMSHAD BEGUM "Namaste Namaste ....


Audio


video

9. SINGER: LATA MANGESHKAR "KHABI KHAMOSH HO JAANA....


Audio

MOHABAT KA KUSHI DO DIN KA ....


video




video



CURIOUS!

ENJOY: ENGLISH SONG BY MOHD. RAFI

video

MELA [1948]Mukesh, Mohd.Rafi, Shamshad Begum






FILM: MELA [ 1948 ] S.U. SUNNY

CAST: Amar, Dilip Kumar, Jeevan, Nargis, Rehman
Lyrics: Shakeel Badayuni
Music Director: Naushad


NARGIS

1. SINGER: MUKESH


(gaae ja geet milan ke, tu apane lagan ke
sajan ghar jaana hai)/-2

kaahe chhalake nainon ki gagari, kaahe barase jal,
tujh bin suni saajan ki nagari, paradesiya ghar chal,
pyaase hain deep nayan ke, tere darshan ke
sajan ghar jaana hai................

loot na jaae jeevan ka dera mujh ko hai ye gham
ham akele, ye jag looteraa, bichhaden na mil ke ham
bigade naseeb na ban ke, ye din jeevan ke
sajan ghar jaana hai..................

dole nayana preetam ke dvaare, milane ki ye dhun
baalam tera tujh ko pukaare, yaad aanevaale sun
saathi milenge bachapan ke, khilenge phool man ke
sajan ghar jaana hai....................

Audio

video


2. SINGERS: SHAMSHAD BEGUM & MUKESH CHORUS


shamshad:
aai saawan rrut aai, sajan mora dole hai man
laagi teri lagan ghar aaja
o ghar aaja mohan ghar aaja
Chorus: aai saawan rrut aai, sajan mora dole hai man
laagi teri lagan ghar aaja
o ghar aaja mohan ghar aaja

shamshad: kheton-kheton dag-mag dole hariyaali matawaari
ho hariyaali matawaari
Chorus: kheton-kheton dag-mag dole hariyaali matawaari
ho hariyaali matawaari
shamshad: aise men o preetam pyaar aaye yaad tehaari
ho aaye yaad tehaari
Chorus: aise men o preetam pyaar aaye yaad tehaari
ho aaye yaad tehaari

ghar aaja sajan ghar aaja
o ghar aaja mohan ghar aaja
aai saawan rrut aai, sajan mora dole hai man
laagi teri lagan ghar aaja

shamshad: ( tore bina mohe kal naahi aaye
Chorus: kal naahi aaye ) \-2
shamshad: dil ki lagi tadapaaye
ho dil ki lagi tadapaaye
mast pawan chale, man laharaaye \-2
aai milan rrut haay \-2

ghar aaja sajan ghar aaja
o ghar aaja mohan ghar aaja
aai saawan rrut aai, sajan mora dole hai man
laagi teri lagan ghar aaja

mukesh \: o
kheton se parabat par aa kar \-2
jeewan jyot jaga le \-2
duniya hai do din ka mela kuchh ro le kuchh gaa le \-2

Chorus: ghar aaja sajan ghar aaja
o ghar aaja mohan ghar aaja


Audio

video



3. SINGER: SHAMSHAD BEGUM




( taqadeer bani ban kar bigadi
duniya ne hamen barabaad kiya ) \-2
( dukh dard ke haathon loot kar bhi
is dil ne tujhi ko yaad kiya ) \-2
taqadeer bani,...............

[ham dil ki lagi ko kya royen
ulfat men hazaaron ghar ujade]

e e e
( ai ishq ke maaro tum hi kaho
qisamat ne kise aabaad kiya ) \-2
taqadeer bani..................

[is qaid men jeena mushaqil hai
ai maut lagi hai aas teri]

ho o o o
( chupake se zara aa kar kah de
ja hamane tujhe aazaad kiya ) \-2
taqadeer bani ban kar bigadi
duniya ne hamen barabaad kiya
taqadeer bani............


Audio

video


4. SINGER: SHAMSHAD BEGUM & MUKESH


mukesh :
mera dil todane vaale mere dil ki dua lena
mitaakar meri duniya ko nai duniya basa lena

shamshad:
mohabbat ki qasam tum ko, lagi dil ki bujha lena
hamaari yaad jab aae to do aansu baha lena

mukesh :
nahin aata vafaaon se hamen daaman bacha lena
hamen daaman bacha lena
tumhin par jaan de denge kisi din aazama lena
mera dil todane vaale.......

shamshad:
mohabbat naam hai gham ka khushi se gham utha lena
khushi se gham utha lena
agar dil ko na chain aae to kuchh ro-ro ke ga lena

mukesh : mitaakar meri duniya.........

shamshad: hamaari yaad jab aae .......



Audio


video




5. SINGER: Shamshad Begum

[gharibon par jo hoti hain jafaaen kaun sunata hai
zamaane men dukhi dil k sadaaen kaun sunata hai]

gham ka fasaana kis ko sunaaen
toota hua dil kaise dikhaaen

tera bhala ho tadapaane vaale
tera bhala ho,
tera bhala ho tadapaane vaale
aan~~aan~~aan~~aan~~
dil de raha hai tujh ko duaaen /-2
gham ka fasaana.............

hansati hai qisamat kaheti hai duniya
hansati hai qisamat,
hansati hai qisamat kaheti hai duniya
aan~~aan~~aan~~aan~~
aapas men do dil milane na paaen /-2
gham ka fasaana..........

tujh ko qasam hai aise me aa ja
tujh ko qasam hai,
tujh ko qasam hai aise me aa ja
aan~~aan~~aan~~aan~~
phir ye zamaane shaayad na aaen /-2
gham ka fasaana.............


Audio

video




6. SINGERS: MUKESH & SHAMSHAD BEGUM



mukesh : main bhanvara tu hai phool, ye din mat bhool
javaani laut ke aae na
shamshad: man gaae tere geet, basa kar preet
mohe kuchh tujh bin bhaae na

mukesh : tu suuraj main ujiyaara
hai ab jeevan bhar ka mel
suno ji preet nahin hai khel
shamshad: yah jeevan mujh ko pyaara
jeeun main duniya ke dukh jhel
o preetam aag se khelun khel
mukesh : is dil ki hai dil se laag khule hain bhaag
ye duniya ham ko sataae na
Both: main bhanvara tu hai.............

shamshad: tu mera hai main teri
saajan main raadha tu shyaam
japun main haradam tera naam
mukesh : main tera hun tu meri
chalenge preet ka daaman thaam
hamen duniya se nahin hai kaam
shamshad: bedard hai yah sansaar chalen us paar
jahaan dukh bhool ke jaae na
Both: main bhanvara tu hai...........


Audio


7. SINGER: Shamshad Begum

( mohan ki muraliya baaje,
ho sun thes jiya pe more laage ) \-2

door koi murali ki dhun par geet milan ke gaaye
jaane waale yaad men teri neend na mujh ko aaye
jab chain se duniya soye
ho ek biraha ka maara man jaage

mohan ki muraliya baaje,
ho sun thes jiya pe more laage

raat kahe dharati par jag-mag chaandani ban kar barasun
aise men aa ke daras dikha ja haay main ro-ro tarasun
dil tod ke jaane waale
ho mohe kuchh nahin tujh bin saaje

mohan kii muraliya baaje,
ho sun thes jiya pe more laage

lootin bahaaren saawan beeta toot gaye wo sapane
jab se piya parades sidhaare rahe na din wo apane
haay biraha ke baadal kaale
ho chhaaya ghor andhera more aage

mohan ki muraliya baaje,
ho sun thes jiya pe more laaMohammad Rafi]

(ye zindagi ke mele \- 2),
duniya men kam na honge
afasos ham na honge

ik din padega jaana, kyaa vaqt, kya zamaana
koi na saath dega, sab kuchh yahin rahega
jaaenge ham akele,/-2
ye zindagi ke mele............

duniya hai mauj-e-dariya, qatare ki zindagi kya
paani men mil ke paani, anjaam ye ke phaani
dam bhar ko saans le le, /-2
ye zindagi ke mele............

hongi yahi bahaaren, ulfat ki yaadagaaren
bigadegi aur banegi, duniya yahi rahegi
honge yahi jhamele, /-2ge

Audio


video


8. SINGER: Mohammad Rafi

(ye zindagi ke mele \- 2),
duniya men kam na honge
afasos ham na honge

ik din padega jaana, kyaa vaqt, kya zamaana
koi na saath dega, sab kuchh yahin rahega
jaaenge ham akele,/-2
ye zindagi ke mele............

duniya hai mauj-e-dariya, qatare ki zindagi kya
paani men mil ke paani, anjaam ye ke phaani
dam bhar ko saans le le, /-2
ye zindagi ke mele............

hongi yahi bahaaren, ulfat ki yaadagaaren
bigadegi aur banegi, duniya yahi rahegi
honge yahi jhamele, /-2

Audio


video


9. SINGER: Zohara Bai Ambalewaali

(phir aah dil se nikali, tapaka lahu jigar se
shaayad vo ja rahe hain, chhup kar meri nazar se
chhup kar meri nazar se\-4
shaayad vo ja rahe hain, chhup kar meri nazar se

maalum kya thha dil par, ik ye sitam bhi hoga
aayenge aur aakar, phir jaayenge vo dar se
(phir jaayenge vo dar se)\-4
aayenge aur aakar, phir jaayenge vo dar se

vo jaanate to honge, majabooriyaan hamaari
ham jin ko dekhate hain, hasarat bhari nazar se
(hasarat bhari nazar se)\-4
ham jin ko dekhate hain, hasarat bhari nazar se

ham ho gaye paraaye, ab un se vaasata kya
keh de ye un se koi, guzare na vo idhar se
(guzare na vo idhar se)\-4


Audio







BONUS:


10. SINGER: SHASHAD BEGUM
"DARTHEE KO AAKAASH PUKARE AAJAA AAJA PREM DUARE...


Audio

DOCTOR [1941] PANKAJ MULLICK, Illa Ghosh,



FILM: Doctor (1941)
CAST: Pankaj Mullick, Ahindra Choudhury, Jyotiprakash, Panna
MUSIC: PANKAJ MULLICK


LYRICS ARE UNAVAILABLE

1. Lyrics: Shor
Artist(s): Ila Gho "Apna Jeevan Darpan Nyara...



Audio

2. Artist(s): Pankaj Mullick "Mahak Rahi Phulwari ....


Audio


3. Artist(s): Pankaj Mullick "Guzar Gaya Woh Zamana Kaisa


Audio


video


4. Lyricist: Arzoo Lucknowi
Artist(s): Pankaj Mullick "Aaj Apni Mehnaton Ka ...



Audio



video


5. Lyricist: Shor
Artist(s): Pankaj Mullick " "Chale Pawan Ki Chaal Jag Mein...



Audio

video


6. Lyricist: Shor
Artist(s): Pankaj Mullick, Bharati Devi "Badi Suhani Bhor Saajan ...


Audio

7. Lyricist: Shor
Artist(s): Pankaj Mullic "kKab Tak Nirash Ki Andhiyari ...


Audio


video


8. Lyricist: Shor
Artist(s): Pankaj Mullick "Aai Bahar Aaj



Audio




BONUS:
video