Tuesday, March 16, 2010

PATANGA [ 1949] CHITALKAR, SHAMSHAD BEGUM ,LATA



FILM: PATANGA [ 1949]
CAST: Nigar Sultana, Shyam, Gopi Krishna, Poornima MUSIC:
LYRICS: RAJINDER KISHAN
MUSIC: C. Ramchandra



NIGAR SULTANA



1. SINGER: Shamshad Begum & Chitalkar RAMCHANDRA



Chitalkar: hello,hindustan ka dehradun
hello,main rangoon se bol raha hoon
main apni biwi renukadevi se baat karna
chahata hun
haan haan

Shamshad: mere piya, ho mere piya gaye rangoon
kiya hai wahaan se teliphoon
tumhari yaad sataati hai, jiya men aag
lagaati hai

mere piya, ho mere piya gaye rangoon
kiya hai wahaan se teliphoon
tumhari yaad sataati hai, jiya men aag
lagaati hai

Chitalkar: ham chhod ke hindustan,bahut
pachhtaaye
bahut pachhtaaye
hui bhool jo tum ko saath na lekar aaye
ham burma ki galiyon men,
aur tum ho dehradun
tumhari yaad sataati hai,
jiya men aag lagaati hai

Shamshad: meri bhookh pyaas bhi kho gayi gham
ke maare
gham ke maare
main adhmui si ho gai gham ke maare
tum bin saajan,
janvari farvari ban gaye mayi aur jun
tumhaari yaad sataati hai,
jiya men aag lagaati hai

Chitaklar: aji tumse bichhadke ho gaye ham
sanyaasi
kha lete hain jo mil jaaye
rukhi sukhi baasi
aji lungi baandh ke karen guzaara
bhool gaye patloon
tumhaari yaad sataati hai,
jiya men aag lagaati hai


Audio


video


2. SINGER: SHAMSHAD BEGUM
Shamshad Begum ]

o haay gore gore
(gore gore
gore gore mukhade pe gesu Jo chha gaye ) - 2
chaandani raat men baadal kahaan se aa gaye - 2
(gore gore
gore gore mukhade pe gesu jo chha gaye ) - 2

aaina dekh ke wo dekhate hi rah gaye
wo dekhate hi rah gaye
dhire-dhire sapanon ki laharon men bah gaye
wo laharon men bah gaye
apani ada pe phir kkud hi sharama gaye - 2

(gore gore
gore gore mukhade pe gesu jo chha gaye ) - 2

(gesu hate to wohi chaandani raat thi
chhup gaye baadal pahali si baat thi ) - 2
chanda nikal aaya taare sharama gaye - 2

(gore gore
gore gore mukhade pe gesu jo chha gaye ) - 2
o haay gore gore
(gore gore
gore gore mukhade pe gesu Jo chha gaye ) - 2
chaandani raat men baadal kahaan se aa gaye - 2
(gore gore
gore gore mukhade pe gesu jo chha gaye ) - 2

aaina dekh ke wo dekhate hi rah gaye
wo dekhate hi rah gaye
dhire-dhire sapanon ki laharon men bah gaye
wo laharon men bah gaye
apani ada pe phir kkud hi sharama gaye - 2

(gore gore
gore gore mukhade pe gesu jo chha gaye ) - 2

(gesu hate to wohi chaandani raat thi
chhup gaye baadal pahali si baat thi ) - 2
chanda nikal aaya taare sharama gaye - 2

(gore gore
gore gore mukhade pe gesu jo chha gaye ) - 2

Audio


video



3. SINGER: Shamshad Begum & Lata



Shamshad:
pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) \-2

Lata:
pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) \-2

Both: ( muhabbat ke thaane me.n ) \-2
ye dil thaanedaar hai
ye dil havaladaar hai
ye dil chaukidaar hai

pyaar ke jahaan ki...................

Lata:
anokhi kacheri hai ye
( anokha qaanoon hai ) \-3

shamshad:
muhabbat ki arzi ka naya mazmoon hai \-2

Both: aankhon ka daak khaana ho
aankhon ka daak khaana
nazaron ka taar hai ji, nazaron ka taar hai
muhabbat ke thaane men....................

pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) \-2


lata:
pyaar ke iskool men
( ik hi talaash hai ) \-3

shamshad: laakhon ummeedvaar koi koi paas hai \-2

Both: ( mushkil sabaq hai ye ) \-2
par mazedaar hai ji, par mazedaar hai
muhabbat ke thaane men.........

pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) \-2


Lata: pyaar kiya jis ne vo
( pyaar hi men kho gaya ) \-3

shamshad: itana samajh lo ke bekaar ho gaya \-2

Both: ( us ke liye to ) \-2
har din itavaar hai ji, har din itavaar hai
muhabbat ke thaane men..........

pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) \-2
( muhabbat ke thaane me.n ) \-2
ye dil thaanedaar hai
ye dil havaladaar hai
ye dil chaukidaar hai
ye dil khabardaar hai


Audio


video


4. SINGER: Shamshad Begum & Chitalkar

Shamshad:
jisane is duniyaan men aakar
dil na diya aur dil na liya
jine ko sau saal jiya
par ham to kahenge khaakh jiya

Shamshad: o dilavaalon dil ka lagaana achcha hai
Chitalkar: par kabhi kabhi
Shamshad: dil men kisi ka pyaar basaana achcha hai
Chitalkar : par kabhi kabhi

Shamshad: duniyaan men jo pyaar na hota tum hi kaho kya hota
Chitalkar: koi na thandi aahen bharta koi na dard ke maare rota
Shamshad: hasanevaalon aansu bahaana achcha hai
Chitalkar: par kabhi kabhi

Shamshad: o dilavaalon..............

Shamshad: shamaa na ho to paravaane ko kaun gale se lagaae
Chitalkar: shama na ho to paravaana kyon apana aap jalaaye
Shamshad: kisi ki khaatir jaan jalaana achcha hai
Chitalkar: par kabhi kabhi

Both: o dilavaalon dil ka lagaana achhchhaa hai
par kabhi kabhi..........


Audio


video

5. SINGER: LATA MANGESHAKAR

dil se bhula do tum hamein, hum naa tumhen bhulaaenge,
rooth ke jaanewaale, hum duniya se rooth jaaenge
hum naa tumhen bhulaaenge

nazaron se kyun gira diya, tum ne kisi gharib ko,
kaise manaaega koi, roothe hue naseeb ko
tum ne diye jo dil ke daagh, kaise unhen chhupaaenge
rooth ke jaanewaale

tum ne hamein mita diya, tum se kahen to kya kahen
maana ke bewafa ho tum, phir bhi na bewafa kahen
tum ne jo kahana tha kah chuke hum yahi kahate jaayenge
rooth ke jaanewaale


Audio


video


6. SINGER: SHAMSHAD BEGEUM

duniya ko pyaare phool aur sitaare
mujh ko balam ka naam,
balam tujhe mera salaam
salaam tujhe,ho salaam tujhe, meraa salaam -2

laakhon men ek tum laakhon se pyaare
dil ki tamanna, nazar ke sahaare
nazar jhuk jaaye, qadam ruk jaaye
jo le de koi teraa naam
balam tujhe


main tujh ko maanoon, duniya naa maane
qurabaan tum par sau sau zamaane,
ji sau sau zamaane
jo tu mil jaaye to dil khil jaaye
zamaane se kya mujh ko kaam
balam tujhe


Audio


7. SINGER: LATA mANGESHKAR


thukara ke mujhe jaanewaale
ik thokar aur lagaata ja
sindur to maang se chhin liya
ab phoolon ko thukaraataa ja

o jaanewaale
jaanewaale toone aramaanon ki duniya loot li
muskuraane bhi na paai thi, tamannaa loot li
haaye duniya loot li

o jaanewaale

chhin kar khushiyaan meri, rone ko aansu de diye - 2
raat din maangi mere dil ne, dua jis ke liye - 2
kya qayaamat hai
kya qayaamat hai usi ne dil ki duniya loot li
muskuraane bhi na paai thi, tamanna loot li
haaye duniya loot li

o jaanewaale

kar diya beghar mujhe, mere hi ghar ke saamane - 2
aa gayi jab pyaar ki manzil, nazar ke saamane - 2
lootanevaale ne
lootanevaale ne manzil ki tamanna loot li
muskuraane bhi na paai thi, tamanna loot li
haaye duniya loot li

o jaanewaale, tune aramaanon ki duniya loot li
muskuraane bhi na paai thi, tamanna loot li
haaye duniya loot li

o jaanewaale


Audio


video



WITHOUT LYRICS

*****

8. SINGER: SHAMSHAD BEGUM "Namaste Namaste ....


Audio


video

9. SINGER: LATA MANGESHKAR "KHABI KHAMOSH HO JAANA....


Audio

MOHABAT KA KUSHI DO DIN KA ....


video




video



CURIOUS!

ENJOY: ENGLISH SONG BY MOHD. RAFI

video

No comments:

Post a Comment