Monday, May 31, 2010
SHAHEED [ 1948] MOHD. RAFI, MUKESH, SURINDER KAUR, LATA, MANNA DEY
FILM: SHAHEED [ 1948] RAMESH SAIGAL
CAST:: Chandra Mohan, Dilip Kumar, Kamini Kaushal, Leela Chitnis, Manmohan,
Nirupa Roy, Sapru
LYRICS: Raja Mehdi Ali Khan
Music : Ghulam Haider
1. SINGERS: RAFI & MAASTAN
Watan ki raah mein watan ke naujawan shaheed ho
pukaarte hain ye zameen-o-aasmaan shaheed ho
shaheed teri maut hi tere vatan ki zindagi
tere lahu se jaag uthegi is chaman mein zindagi
khilenge phool us jagah ki tu jahaan shaheed ho, watan ki ...
ghulam uth watan ke dushmano se intaqaam le
in apne donon baajuon se khanjaron ka kaam le
chaman ke vaaste chaman ke baagbaan shaheed ho, watan ki ...
pahaad tak bhi kaanpane lage tere junoon se
tu aasmaan pe inqalaab likh de apane khoon se
zameen nahi tera watan hai aasmaan shaheed ho, watan ki ...
watan ki laaj jisko thi ajeez apani jaan se
wo naujavaan ja raha hai aaj kitani shaan se
is ek jawaan ki khaak par har ik jawaan shaheed ho
watan ki ...
hai kaun khushanaseeb maan ki jiska ye chiraag hai
wo khushanaseeb hai kahaan ye jisake sar ka taaj hai
amar wo desh kyon na ho ki tu jahaan shaheed ho, watan ki ...
Audio
VIDEO
2. SINGER: MOHD. RAFI
Tu na rona, ke tu hai bhagat singh ki maa
mar ke bhi laal tera marega nahi
doli chadhke to laate hai dulhan sabhi
hasake har koi phaansi chadhega nahi
jalte bhi gaye kehte bhi gaye
aazaadi ke parwaane
jeena to usika jeena hai
jo marna desh par jaane
jab shaheedon ki doli uthe dhoom se
deshwalon tum aansu bahana nahi
par manaao jab aazaad bharat ka din
us ghadi tum hamein bhool jaana nahi
aye vatan aye vatan hamko teri kasam
teri rahon main jaan tak luta jaayenge
phool kya cheez hai tere kadmon pe ham
bhent apne saron ki chadha jaayenge
aye vatan aye vatan
koi panjaab se, koi maharashtra se
koi UP se hai, koi bangaal se
teri pooja ki thaali mein laaye hain ham
phool har rang ke, aaj har daal se
naam kuch bhi sahi par lagan ek hai
jyot se jyot dil ki jaga jaayenge
aye vatan aye vatan ...
teri jaanib uthi jo kahar ki nazar
us nazar ko jhuka ke hi dam lenge ham
teri dharati pe hai jo kadam gair ka
us kadam ka nishaan tak mita denge ham
jo bhi deevaar aayegi ab saamane
thokaron se use ham gira jaayenge
3. Singer: Surinder Kaur
Composers: Ghulam Haider
Lyricist: Raja Mehdi Ali Khan
badanaam naa ho jaaye mohabbat kaa fasaanaa
o dard bhare aansooo, aakhon mein naa aanaa
duniyaa mein mohabbat kee yahee reet hain aye dil
jal jaanaa, magar hothhon pe farayaad naa laanaa
kah de naa aankh kahee mere dil meree kahaanee
aye dil teree dhadakan kahee sun lenaa jamaanaa
aye jaana-ye-mohabbat yahee bas meree duwaan hai
ho jaaye tere saath meree jaan bhee gawaanaa
AUDIO
VIDEO
VIDEO
4. SINGER: LATA
LOgee, ham to lut gaye tere pyar mein
jaane tujhko,
haay re jaane tujhko khabar kab hogi
o ham to lut gaye tere pyaar mein
jaane tujhko haay re jaane tujhko khabar kab hogi
chanda bhi dekha taare bhi dekhe dekha suraj baraso
lekin jis din tujhko dekha man mein phuti sarson
haay re jogi ...
champa ki daal mein adi chunariya raanjhe aake chudaayen
jis raanjhe ko dil de baithi us ko lagan paraayi
haay re jogi ...
bura ho in bairan ankhiyon ka kar baithi naadaani
pehale aag laga di man mein ab barasaaye paani
haay re jogi ...
5. SINGERS: RAFI, MANNA DEY, RAJENDRA MEHTA
karta nahi kyon doosra kuch baat cheet
dekhta hoon main jise vo chup teri mehafil mein hai
sarafaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai
waqt aane par bata denge tujhe o aasmaan
ham abhi se kya bataayen kya hamaare dil mein hai
khainch kar laayi hai qatl hone ki ummeed
aashiqon ka aaj jamaghat koochaa-e-qaatil mein hai
6. SINGERS: MUKESH, MAHENDRA KAPOOR, RAJENDRA MEHTA
o mera rang de basanti chola mera rang de hai
o mera rang de basanti chola oye rang besamaan hai
basanti chola maai rang de basanti chola (2)
mera rang de basanti chola
dam nikale is desh ki khaatir bas itna armaan hai (2)
ek baar is raah mein marna sau janmon ke samaan hai
dekh ke veeron ki qurabaani apna dil bhi bola
mera rang de basanti chola
o mera rang de basanti chola mera rang de
o mera rang de basanti chola oy rang de basanti chola
maai rang de basanti chola
jis chole ko pahan shivaaji khele apni jaan pe
jise pehan jhaansi ki raani mit gayi apni aan pe
aaj usi ko pehan ke nikla pehan ke nikala
aaj usi ko pehan ke nikla ham mastano ka tola
mera rang de basanti chola
o mera rang de basanti chola mera rang de
o mera rang de basanti chola oy rang de
basanti chola maai rang de basanti chola (2)
BONUS:
AUDIO
VIDEO
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment