Thursday, May 13, 2010

NAGIN [1954] LATA, HEMANTH KUMAR, ASHA BHOSLE






FILM: NAGIN [1954] NANDALAL JASWANTHLAL

CAST: VIJAYANTHIMALA, I.S. JOHAR, PRADEEP KUMAR, JEEVAN,
KRISHNAKUMARI, KAMAL


LYRICS: RAJINDER KISHAN
MUSIC: HEMANTHA KUMAR MUKHOPADYAYAH



1. SINGER: LATA

aa jaa, aa jaa

meraa dil ye pukaare aa jaa, mere gam ke sahaare aa jaa
bheegaa bheegaa hain samaan, ayese mein hain too kahaa?[2]

too naheen to ye rut ye hawaa kyaa karu?[2]
door tuz se main rah ke bataa kyaa karu?
sunaa sunaa hain jahaan, ab jaaoo main kahaa
bas itanaa muze samazaa jaa....MERE DIL YE PUKARE...

aandhiyaan wo chalee, aashiyaan loot gayaa
pyaar kaa muskuraataa jahaan loot gayaa..loot gaya
yek chhotee see zalak, mere mitane talak
o chaand mere dikhalaa jaa.. mere dil ye pukare...


AUDIO


VIDEO




2. SINGER: LATA & HEMANTH KUMAR

he: (ari chhod de sajaniya
chhod de patang meri chhod de
la: aise chhodoon na balamawa
nainawa ke dor pahale jod de) - 2

he: ashaaon ka maajha laga
rangi pyaar se dori
tere muhalle udate udate
aai chori chori
bairi duniya kaheen na tod de
patang meri chhod de
la: aise chhodoon na balamawa
nainawa ke dor pahale jod de

la: aramaanon ki dor lootane
khade hai duniyawaale baanke charakeewaale
he: oonche neel gagan me
chhod de patang meri chhod de
la: aise chhodoon na balamawa
nainawa ke dor pahale jod de

la: dekh chali ye sang hawa ke
balakhaati ithalaati
saiyaan balakhaati ithalaati
he: cheer ke bairi jag ka seena
geet pyaar ke gaati
dekho geet pyaar ke gaati
hain kis me itana zor
jo kaate dor saamane aaye na
la: phir meri atariya pe
chhod de patang saiyaan chhod de
he: aise chhodoon na sajaniya
nainawa ke dor pahale jod de

la: saiyaan chhod de patang meri chhod de
he: gori nainawa ke dor pahale jod de
la: saiyaan chhod de patang meri chhod de


AUDIO



3. SINGER: LATA


(Jadugar saiyan chhodo mori baiyaa
Ho gayi aadhi raat ab ghar jaane do) -2

Jaane de o rasiyaa mere man basiyaa -2
Gaanv mera badi door hai
(Teri nagariyaa ruk na sakoon main
Pyaar mera majboor hai) -2
Zanjeer padi mere haath ab ghar jaane do
Jadugar saiyan..

Jhuki-jhuki ankhiyaan dekhengi sari sakhiyaan -2
Dengi tana tere naam ka
(Aise mein mat rok bedardi
Le le vachan kal shaam ka) -2
Kal honge phir ham saath ab ghar jaane do
Jadugar saiyan..


AUDIO


VIDEO


4. SINGER: LATA

oonchi oonchi duniya ki deewaaren sainya tod ke ji tod ke
main aai re tere liye saara jag chhod ke ) -2

yaar mila diladaar mila mujhe ek naya sansaar mila
jhoomati bahaar aai dil ko qaraar mila -2
jaane na doongi mukh mod ke ji mod ke
main aai re tere liye ...

raat nai har baat nai hai taaron ki baaraat nai -2
ik nai duniya mein hui mulaaqaat nai -2
jaane na doongi mukh mod ke ji mod ke
main aai re tere liye ...


AUDIO



VIDEO



5. SINGER: LATA


(Man dole mera tan dole mere dil ka gaya qaraar re
Yeh koun bajaaye baansuriya) -2

Madhur madhur sapnon mein dekhi maine raah albeli
Chhod chali main laaj ka pehra jaane kahan akeli
Chali re main jaane kahan akeli
Ras ghole dhun yoon bole jaise thhandi pade puhaar re
Koun bajaaye baansuriya

Man dole mera tan dole..

Qadam qadam par rang sunehra yeh kisne bikhraaya
Naagan ka man bas karne yeh kaun sapera aaya
Na jaane kaun sapera aaya
Pag dole dil yoon bole tera hoke rahaa shikaar re
Koun bajaaye baansuriya

Man dole mera tan dole..

AUDIO



VIDEO


6. SINGER: HEMANTH KUMAR


kaashi dekhi, mathura dekhi, dekhe teerath saare
kaheen na mann ka meet mila to aaya tere dwaare

tere dwaar khada ek jogi - 2
na maange yeh sona chaandi maange darshan devi
tere dwaar khada ek jogi - 2

(karke jatan aayaa, mann mein lagan laaya
akhiyon mein darshan-pyaas) - 2
preet ki bheekshaa, prem ki sheeksha
maang raha yeh daas - 2
na maange yeh sona chaandi maange darshan devi
tere dwaar khada ek jogi - 2

(duniya se mukh moda tere liye jag chhoda
chhod diya ghar-baar) - 2
ban-ban chhaana mainne, tujhe devi maana mainne
sun le meri pukaar - 2
(na maange yah sona chaandi maange darshan devi
tere dwaar khada ek jogi - 2 ) - 2



AUDIO





7. SINGER: HEMANTH KUMAR " zindagi ki denewale...



o jindagee ke denewaale, jindagee ke lenewaale
pareet meree chhin ke bataa, tuze kyaa milaa

kahaa kare dip jab buz gayee baatee, bichhad gayaa meraa saathee
toone todee meree beenaa, de ke sahaaraa chhinaa, laaj tuze kyo naa aatee
chain meraa loot ke bataa, tuze kyaa milaa

maine kab tode bhalaa chaand sitaare tere, fir kyo buzaaye toone dil ke ujaare mere
muze meree jaan de de, pareet ko ye daan de de, khoye huye mere paran de
dil meraa tod ke bataa, tuze kyaa milaa

AUDIO



8. SINGER: LATA

sun rasiya -2
kaahe ko jalaaye jiya aaja - 3

( likh likh haari balam tohe patiyaan
tujh bin kaise bitaaoon kaari ratiyaan ) - 2
kaari kaari ratiyaan yeh kaari kaari ratiyaan
sun rasiya -2 kaahe ko jalaaye jiya aaja

( kab hoga poora sajan mera sapana
piya tum aa ke kahoge mujhe apana ) - 2
kab tum aake kahoge mujhe apana
sun rasiya -2 kaahe ko jalaaye jiya aaja
kaahe ko jalaaye jiya aaja - 2

AUDIO

9. SINGER: LATA


(teri yaad mein jal kar dekh liya
ab aag mein jal kar dekhenge) - 2
is raah mein apani maut sahi
ye raah bhi chal kar dekhenge
teri yaad mein jal kar dekh liya
ab aag mein jal kar dekhenge

(deepak ki chamak mein aag bhi hai
duniya ne kaha paravaanon se) - 2
paravaane magar ye kahane lage
deewaane to jal kar dekhenge
teri yaad mein jal kar dekh liya
ab aag mein jal kar dekhenge

AUDIO



10. SINGER: HEMANTH KUMAR , ASHA BHOSLE CHORUS

he: haseenon mujhase math poochho
ke kya kya bechata hoon main
chhupaakar chuudeeyon mein
dil ki duniya bechata hoon main

(yaad rakhana pyaar ki nishaani gori yaad rakhanaa) - 2
aabaad rakhana dil paradesi ka abaad rakhana

cho: aa aa aa aa aa

aa: o o o o o
(kaisi gori gori reshami kalaai re
tere haath paradesiya aai re ) - 2
cho: ( nazar lalachaai re haan haan ji man bhaai re ) - 2
he: aa aa aa aa aa
leke haath ye chhod na dena mukh mod na lena
ke dil mera shaad rakhana
pyaar ki nishaani gori rakhana

cho: aabaad rakhana dil paradesi ka abaad rakhana

cho: aa aa aa aa aa aa aa
he: main to mann ka darpan tod ke
laaya dil ke tukade jod ke
aa: o o o o
saare jag se hai dekho niraala
cho: rangeela chudeevaala rangeela chudeevaala
aa: o saare jag se hai dekho nirala
cho: rangeela chudeevaala - 2
aa: o saare jag se hai dekho nirala
cho: rangeela chudeevaala

aa: ye baat meri yaad rakhana
dil paradesi ka abaad rakhana
he: yaad rakhana pyaar ki nishaani gori yaad rakhna
cho: aabaad rakhana dil paradesi ka abaad rakhana

AUDIO




11. SINGER: LATA

teri yaad mein jal kar dekh liya
ab aag mein jal kar dekhenge) - 2
is raah mein apani maut sahi
ye raah bhi chal kar dekhenge
teri yaad mein jal kar dekh liya
ab aag mein jal kar dekhenge

(deepak ki chamak mein aag bhi hai
duniya ne kaha paravaanon se) - 2
paravaane magar ye kahane lage
deewaane to jal kar dekhenge
teri yaad mein jal kar dekh liya
ab aag mein jal kar dekhenge

AUDIO





12. SINGER: LATA


mera badali mein chhup gaya chaand re
kahaan dhoondhen nayan more baavare
aaja aaja o saanvare ) -2

duniya ne tod diye sapane suhaane
ro ro ke yaad karoon guzare zamaane
aaja piya mora tadapa jiya
mere jeevan ki hone lagi shaam re
kahaan dhoondhen nayan more ...

main hoon yahaan aur tu hai vahaan
kaise aaoon main piya tore gaanv re -2
kahaan dhoondhen nayan more .


AUDIO




BONUS: BEEN MUSIC:



AUDIO






AUDIO

No comments:

Post a Comment