
FILM: KATH PUTHALI [1957] AMIYA CHAKRAVARTHY, NITIN
CAST: Vyjayantimala, Balraj Sahni, Kamala Devi, Jawahar Kaul. POONAM, SHEELA KASHMIRI
LYRICS: SHAILENDRA- HASRAT JAIPURI
MUSIC: SHANKAR- JAIKISHAN
1. SINGER: LATA
bol ree kathhaputalee doree, kaun snag baandhee
sach batalaa too naache kis ke liye
baawaree kathhaputalee doree piyaa sang baandhee
mai naachoo apane piyaa ke liye
jahaa jidhar saajan le jaaye, sang chaloo main chhaayaa see
wo hain mere jaadoogar me, jaadoogar kee maayaa see
jaanabooz kar chhed ke, muz se poochhe ye sansaar
piyaa naa hote, main naa hotee, jeewan raag sunaataa kaun
pyaar thirakataa kis kee dhoon par, dil kaa saaj bajaataa kaun
door door jis pabol ree kathhaputalee doree, kaun snag baandhee
sach batalaa too naache kis ke liye
baawaree kathhaputalee doree piyaa sang baandhee
mai naachoo apane piyaa ke liyewan se gujare, gaatee jaaye bahaar
XXXXXX
bol ree kathhaputalee doree, kaun snag baandhee
sach batalaa too naache kis ke liye
baawaree kathhaputalee doree piyaa sang baandhee
mai naachoo apane piyaa ke liye
nae naam nit nae roop dhar main aai, main chali gai
lekin maine dhoom macha di jis nagari, jis gali gai
chhod ke jag, taaron men jaa pahunchi, vahaan bhi yahi pukaar
bol ri kathaputali......
mithi yaaden sundar sapane kho baithe ye log jinhen
man ka yah meet bana kar mere dil ne diya tumhen
kathaputali ka khel ye duniya saanvariya us paar
bol ri kathaputali......
Audio
Audio
video
video
2. SINGER: SUBIR SEN
manzil vahi hai pyaar ki, raahi badal gaye
sapanon ki mahafil men, ham tum naye
manzil vahi hai pyaar ki...................
duniya ki nazaron se dur, jaate hain ham tum jahaan
us desh ki chaandani, gaayegi ye daastaan
mausam tha vo bahaar ka, dil khil machal gaye
sapanon ki mahafil men ham tum naye
manzil vahi hai pyaar ki...................
chhup na sake mere raaz, naghamon men dhalane lage
roka tha dil ne magar, pahalu badalane lage
vo din hi kuchh ajib the, jo aa ke kal gaye
sapanon ki mahafil men ham tum naye
manzil vahi hai pyaar ki...................
Audio
video
3. SINGER: LATA
itane bade jahaan men ai dil,
tujh ko,
tujh ko akelaa chhodun kaise
tujh ko,
tu naadaan, log begaane,
in sang
in sang, naata jodun kaise
mat ja re mat ja in anajaani galiyon men
bachiyo re duniya vaale chhaliyon se
tu ek jaan, shikaari laakhon
in ka
in ka nishaanaa todun kaise
in sang naata jodun kaise
itane bade jahaan men.........
mat lalacha gar kaanton men phool bhi hai
poochh kisi se dil ka lagaana bhool bhi hai
dhal jaae raat bikhar jaaen sapane,
phir se,
phir se inhen main jodun kaise
in sang naata jodun kaise
itane bade jahaan men.........
haay na maana, ghair ka zaalim ho hi gaya
jaata hai to ja divaane,
ab main,
ab main, tera ji jodun kaise
in sang naata jodun kaise
itane bade jahaan men.........
video
4. SINGER: LATA
so ja re so ja mere raajdulaare so ja
taare bhi so gaye dharati ke sitaare so ja
so ja re so ja......
aai sapanon ki pari tujh ko bulaane ke liye\2
lai chanda ka hinndola vo sulaane ke liye\2
aasmaanon se kare neend ishaare so ja
taare bhi so gaye dharati ke sitaare so ja
so ja re so ja......
god men lengi tujhe roop nagar ki raahen\2
aankh khulate hi milengi tujhe maan ki baahen\2
meri aankhon ke mere dil ke sahaare so ja
taare bhi so gaye dharati ke sitaare so ja
so ja re so ja......
Audio
5. SINGER: LATA
baagad bam-bam, bam baaje damaru
baaje damaru
naach re mayur jhanajhana ke ghungharu
baagad bam-bam......
aasamaan pe aaj dekho saat rang chhaae
apane dil men aag le ke baadal kaare aae
baadal garaje megh barase charon aur saavan laharaae
naach re mayur jhanajhana ke ghungharu
baagad bam-bam......
mach raha hai daal-daal panchhiyon ka shor
aa gai hai pyaar le ke ab suhaani bhor
bhanvara jhume-jhume, jhume baandh preet ki dor
naach re mayur jhanajhana ke ghungharu
baagad bam-bam......
Audio
video
6. SINGER: LATA
haae tu hi gaya mohe bhul re
main hun tere jivan ki raagini
main hun tere jivan ki raagini
haae tu hi gaya......
tere naghame taare ban kar,
taare ban kar,
tere naghame taare ban kar taare ban kar
chamaken sab ke pyaare ban kar,
pyaare ban kar,
chamaken sab ke pyaare ban kar,
haae tu hi gya......
phir se aisa raag suna re,
raag suna re,
phir se aisa raag suna re, raag sunaa re
jhoom uthen ye gham ke maare
jhoom uthen ye gham ke maare
haae tu hi gaya......
Audio
video
7. SINGERS: LATA & MUKESH
Mukesh: miini-miini chi-chi \-2
duniya men chaand-suraj hain
( kitane hasin ) \-2
utana hi sun mere bhaiya dil ko lubhaae rupaiya
Lata: duniyaa men chaad-suraj......
Mukesh: rupayon ka chashma chadhaao ye duniya dikhegi rangili
Lata: duniya men chaand-suraj......
Mukesh: rupayon ka chashma chadhaao ye duniya dikhegi rangili
Lata: saare nashe is ke naukar ye hai cheez aisi nashili
Mukesh: ye cham-cham isi ki, chham-chham isi ko gaae isi ko gavaiya
Lata: ye cham-cham isi ki, chham-chham isi ko gaae isi ko gavaiya
Mulesh: mini-mini chi-chi
Lata: chi-chi
Both: duniya men chaand-suraj......
Mukesh: sapanon ki rangin raat.n jaise ki aai divaali
Lata: kal ka bhala kya bharosa rahenge maalik ya maali
Mukesh: hans ke rulaae, rula ke hansaae yahi zindagi ka ravaiya
Lata: hans ke rulaae ,rula ke hansaae yahi zindagi ka ravaiya
Mukesh: mini-mini chi-chi
Lata: chi-chi
Both: duniya men chaand-suraj......
Audio
No comments:
Post a Comment