Friday, March 12, 2010

DARD: [ 1947] Shamshad BegumSuraiya, Uma Devi




FILM: Dard (1947) Ambrish Sangal


CAST: Munawar Sultana, Shyam Kumar, Suraiya, Badri Prasad

Lyricist: Shakeel Badayuni

Music: Naushad





1. ARTIST: SURAIYA " Dil dhadke aank more...

dil dhadke aankh moree phadke
chale jana naa dekho jee bichhad key
dil dhadke........

kahee bite naa duhkh me javanee
kahee sun ley naa duniya kahanee
kahee ban jau mai naa divanee
dil dhadke........

kahee thahare naa ulfat kaa dhara
kahee pa ley naa koyee ishara
kahee tute naa dil kaa sahara
dil dhadke........

kahee jana naa karke bahana
naa bane do dilo kaa fasana
dekho najuk bahut hai jamana
dil dhadke........

Audio

VIDEO


2. ARTIST: Shamshad Begum " Yeh Afsana Nahin Zalim

bahar khatam huyee, dil gaya kushee bhee gayee
woh kaya gaye key mohabbat kee jindagee bhee gayee

(chale dil kee duniya jo barbad karke
bahut royenge unko ham yad karke) - (2)

kisee tarah aata nahee chain dil ko
naa kamosh rah key naa fariyad karke
bahut royenge unko ham yad karke
chale dil kee duniya jo barbad karke
bahut royenge unko ham yad karke

are o mere dil key dushman jamane
tujhe kaya mila mujh ko barbad karke
bahut royenge unko ham yad karke
chale dil kee duniya jo barbad karke
bahut royenge unko ham yad karke

kushee de key takadir ne de diya gam
kiya kaid kyon mujh ko aajhad karke
bahut royenge unko ham yad karke
chale dil kee duniya jo barbad karke
bahut royenge unko ham yad karke


Audio


3. ARTIST: Uma Devi "Afsana Likh Rahi Hoon ...

(afsana likh rahee hu - (2)
dile bekarar kaa aankho me rang bharke tere intzar kaa) - (2)
afsana likh rahee hu........

jab too nahee toh kuchh bhee (nahee hai bahar me -2) - (2)
jee chahata hai munh bhee, jee chahata hai munh bhee naa
dekhu bahar kaa aankho me rang bharke tere intzar kaa
afsana likh rahee hu........

hasil hai yu toh mujhko (jamane kee daulate -2) - (2)
lekin nasib layee, lekin nasib layee hu
ek sogawar kaa aankho me rang bharke tere intzar kaa
afsana likh rahee hu........

aaja key abb toh aankh me (aansu bhee aa gaye -2) - (2)
sagar chalak utha, sagar chalak utha
mere sabaro karar kaa aankho me rang bharke tere intzar kaa
afsana likh rahee hu - (2)
dile bekarar kaa aankho me rang bharke tere intzar kaa

Audio


video



4. ARTIST: Suraiya "BeechE Bhanwar Mein ...

(bich bhanvar me -2 aan phansa hai
dil kaa safina shahe madina) - (2)
bich bhanvar me.........

bigadee huyee takdir bana do - (2)
dubatee naiya par laga do - (2)
ek najar mujh par bhee khudara - (2)
mushkil hai abb jina shahe madina
bich bhanvar me.........

bekas key gamkvar tumhee ho - (2)
jo kuchh ho sarkar tumhee ho - (2)
dil kaa sukun jine kaa sahara - (2)
duniya ne sab chhina shahe madina
bich bhanvar me........



Audio



video




5. ARTIST: Shamshad Begum "Hum Dard Ka Afsana...

ham dard kaa afsana duniya ko suna denge - (2)
har dil me muhabbat kee ik aag laga denge - (2)

ho jayegee phir duniya aabad yatimo kee - (2)
gunjegee jamane me fariyad yatimo kee - (2)
rote huye nagmo se tufan utha denge - (2)
har dil me muhabbat kee ik aag laga denge

sarkar-e-doalam kee ummat peh sitam kyon ho - (2)
allah key bando ko manjdhar kaa gam kyon ho - (2)
islam kee kashtee ko ham par laga denge - (2)
ham dard kaa afsana duniya ko suna denge

ehsan yatimo kee takdir peh kar dalo - (2)
fariyad hai dil walo - (4)
ham par bhee karam karna, ham tum ko dua denge - (2)
har dil me muhabbat kee ik aag laga denge

Audio


video


6. ARTIST: Suraiya "Ham The Tumhare Tum The Hamare ..



ham the tumhare, tum the hamare
haye woh bhee jamana yad karo

dil ko lagake hamse aankhe churake
dur gaye ho jab se aaye naa jake
chhupake jahan par milte ham tum
haye woh bhee thikana yad karo
ham the tumhare........

khel nahee hai koyee dil kaa lagana
dekho woh bate kahee bhul naa jana
tir chale the najro key jis par
haye woh bhee nishana yad karo
ham the tumhare........

hatho me a key daman chhut naa jaye
yeh do dilo key rishte tut naa jaye
dil se kabhee jo dil ne kaha tha
haye woh bhee fasana yad karo
ham the tumhare........

Audio





7. ARTIST: Suraiya "Chale Dil Ki Duniya ...

bahaar khhatam hui, dil gayaa khushi bhi ga_i
vo kayaa gaye ke mohabbat ki zidagi bhi ga_i

(chale dil ki duniyaa jo barabaad kar ke
bahut roenge unako ham yaad kar ke)-2

kisi tarah aataa nahi chain dil ko
naa khaamosh rah ke naa fariyaad kar ke
bahut ro_ege unako ham yaad kar ke
chale dil ki duniyaa jo barabaad kar ke
bahut roenge unako ham yaad kar ke

are o mere dil ke dushaman zamaane
tujhe kayaa milaa mujh ko barabaad kar ke
bahut ro_ege unako ham yaad kar ke
chale dil ki duniyaa jo barabaad kar ke
bahut roenge unako ham yaad kar ke

khushi de ke taqadir ne de diyaa Gam
kiyaa qaid kyon mujh ko aazaad kar ke
bahut roenge unako ham yaad kar ke
chale dil ki duniyaa jo barabaad kar ke
bahut roenge unako ham yaad kar k



Audio


video

No comments:

Post a Comment