Sunday, March 14, 2010

ANDAZ [1949]






FILM: ANDAZ [1949] MEHABOOB KHAN

cAST: Dilip Kumar, Nargis, Raj Kapoor, Cuckoo

LYRICIST: Majroor Sultanpuri

MUSIC: NAUSHAD


1. ARTISTS: LATA mANGESHKAR & SHAMSHAD BEGUM


Lata :
dar na mohabbat kar le\- 2
ulfat se jholi bhar le
duniya hai chaar din ki
jee le chaahe mar le
ho o

Both : dar na mohabbat kar le\- 2

Lata :
duniya faani, tu bhi faani
leta ja ulfat ki nishaani

Shamshad:
do lafazon ki ek kahaani
ek mohabbat ek javaani
yaad ise tu kar le\- 2

Both : Dar naa mohabbat kar le\- 2

Lata : ulfat se jholi bhar le.....................
ho o

Both: dar na mohabbat kar le\- 2

Shamshad:
duniyaa to kaanton ka ek van hai
aur ulfat phoolon ka chaman hai

Lata :
kar le vahi jo dil ki lagan hai
soch na manzil dil ki kathin hai
ho dil ki kathin hai
is manzil se guzar le\- 2
dar na mohabbat kar le\- 2

Shamshad: ulfat se jholi bhar le...................
ho o

Both: dar na mohabbat kar le\- 2

Lata :
kahana jo tumane mera na maana
peechhe padega phir pachhataana

Shamshad:
dekh le apana
kar le thikaana
ye hai mohabbat
vo hai zamaanaa\- 2

Both: hans le ya aahen bhar le\- 2
dar na mohabbat kar le\- 2




Audio


video

2. ARTISTS: MUKESH


ham aaj kahi dil kho baithe ham aaj kahi - 2
yu samjho kisike ho baithe - 2 ham aaj kahi

har dam jo koi pass aane laga har dam jo koi
bhed ulfat ke samjhane laga bhed ulfat ke
nazron se nazar ka takrana - 2
tha dil ke liye ek afasana - 2
ham haathon ko dil se dho baithe
yu samjho kisike ho baithe ham aaj kahi

(aankhon mein samaya koi magar
kaun aaya kisiko kya yeh khabar) - 2
poochho to yahi hai uska pata - 2
chanchal naina aur shokh ada - 2
ham dil ki naiyya duubo baithe
yu samjho kisike ho baithe ham aaj kahi
ham aaj kahi dil kho baithe ham aaj kahi

Audio

video



3. ARTIST: MUKESH


jhoom jhoom ke naachon aaj naachon aaj
gaao khushi ke geet ho, gaao khushi ke geet
aaj kisiki haar hui hai, aaj kisi ki jeet
ho gaao khushi ke geet ho

koi kisi ki aankh ka taara
jeevan saathi saajan pyaara
aur koi taqdeer ka maara
dhundh raha hain dil ka sahaara
kisi ko dil ka dard mila hain
kisi ko mann ka meet
ho gaao khushi ke geet ho
jhoom jhoom ke naachon aaj naachon aaj
gaao khushi ke geet ho gaao khushi ke geet ho

dekho toh kitna khush hain zamaana
dil mein umagein lab pe taraana
dil jo dukhe aansu na bahaana
yeh toh yaha ka dhang puraanaa
is ko mitaana us ko banaana
iss nagari ki reet
ho gaao khushi ke geet ho
jhoom jhoom ke naachon aaj naachon aaj
gaao khushi ke geet ho gaao khushi ke geet ho

Audio

video



4. ARTIST: LATA MANGESHKAR


koi mere dil mein - 2 khushi ban ke aaya
andhera tha ghar men, roshani ban ke aaya
koi mere dil men

dhadakta hai dil, jaagi hai umangein - 2
muhaabat ki woh, zindagi ban ke aaya
koi mere dil men - 2
khushi banke aaya
andhera tha ghar men, roshani ban ke aaya
koi mere dil men

muhabbat ne chheda hai, phir saaz dil ka - 2
woh har taar men raagini ban ke aaya
koi mere dil men - 2
khushi ban ke aaya
andhera tha ghar men, roshani ban ke aaya
koi mere dil men

samaya tha jo dil men, ek dard ban kar - 2
woh hothon pe mere hansi ban ke aaya
koi mere dil men - 2
khushi ban ke aaya
andhera tha ghar men, roshani ban ke aaya
koi mere dil men...

Audio


video

5. ARTIST: LATA MANGESHKAR


tod diya dil mera tune arey bewafa
mujh ko mere pyaar ka, khoob yeh badla diya
tod diya dil mera..................

maangon khushi, gam miley, kehte hai duniya isse
haai main jaaun kaha, ab main pukaaru kise,
yeh toh bata de zara, maine tera kya kiya
tera kya kiya
tod diya dil mera..........................

gam ki ghatayen uthi ohhh ohh
saari umeedein miti hoo
iss bhari duniya mein aaj, kya mera koi nahi
kaisa yeh toofaan uthha, jag men andhera hua
andhera hua
tod diya dil mera..............................

aarzoo nakaam hain, zindagi badnaam hain
dil mera kehta hain ab, kehta hain ab
maut hi anjaam hain - 2
ghoont le apna gala, aaj woh din aa gaya
din aa gaya
tod diya dil mera tune arey bewafa
mujh ko mere pyaar ka khoob yeh badla diya

Audio


video


6. ARTIST: MUKESH


[nigaahen bhi mila karti hai dil ki, dil se milta hain
magar ek chaahnewala, badi mushkil se milta hain]

toote na dil toote na, toote na
saath hamara chhute na, chhute na
toote na dil toote na, toote na

teri tamanna karta hu main
dil ka khazaana bharta hun main
raah akeli - 2
darta hun main
koi lootera loote na, dil toote na
toote na dil toote na, toote na
saath hamara chhute na, chhute na

gam hain kai, tu saath na chhode
dil na dukhaayen muh ko na modde
aas dila kar aas na tode
ban ke naseeba phoote na, dil toote na
toote na dil toote na, toote na
saath hamara chhute na, chhute na

dil ko tere behla sakta hun
chaand sitaaren la sakta hun
ro sakta hun, gaa sakta hun
mujhse agar tu roothe na, dil toote na
toote na dil toote na, toote na
saath hamara chhute na, chhute na
toote na dil toote na, toote na

Audio

video



7. ARTIST: LATA

[(Uthaaye jaa un ke sitam aur jiye jaa
Yoonhi muskuraae jaa aansoo piye jaa) - 2
Uthaae jaa un ke sitam ...

Yahi hai mohabbat kaa dastoor ai dil, dastoor ai dil
Voh gam de tujhe, tu duae diye jaa
Uthaaye jaa un ke sitam ...

Kabhi voh nazar jo, samaai thi dil mein,
Samaai thi dil mein
Usi ek nazar kaa, sahaara liye jaa
Uthaae jaa un ke sitam ..

Sataae zamaana, ya sitam dhaaye duniya,
Sitam dhaaye duniya,
Magar tu kisi ki, tamanna kiye jaa
Uthaaye jaa un ke sitam, aur jiye jaa
Yoonhi muskuraae jaa, aansoo piye jaa
Uthaaye jaa un ke sitam ..

Audio

video


8. ARTIST: MUKESH

tu kahe agar, tu kahe agar
tu kahe agar jeevan bhar
main geet sunaata jaaun
man been bajaata jaaun
tu kahe agar

aur aag main apne dil ki
har dil mein lagaata jaaun
dukh dard mitaata jaaun
tu kahe agar

ho o o ho o
main saaz hu, tu saragam hai - 2
deti jaa sahaare mujh ko - 2
main raag hu, tu binaa hai - 2
jis dam tu pukaare mujh ko
aawaaz mein teri har dam
aawaaz milaata jaaun
aakaash pe chhaata jaaun
tu kahe agar

in bolon mein, tu hi tu hai
main samajhun ya tu jaane, ho jaane
in men hai kahaani meri, in men hai tere afasaane
in men hai tere afasaane
tu saaz uthaa, ulfat kaa
main jhoom ke gata jaaun
sapanon ko jagata jaaun
tu kahe agar...

Audio


video

9. ARTIST: LATA & MOHD.RAFI


Both :
yuun to aapas mein bigadate hain, Khafaa hote hain
milane waale kahi -2
ulfat men judaa hote hain

Lata:
hain zamaane mein ajab cheez mohabbat waale
hain zamaane mein - 2
ajab cheez mohabbat waale
dard Khud banate hain, Khud apani davaa hote hain - 2

Both:
milane waale kahi ulfat men judaa hote hain

Rafi:
haan
haal-e-dil mujhase na poochho meri nazaren dekho
haal-e-dil mujhase - 2
na puuchho meri nazaren dekho
raaz dil ke to, nigaahon se adaa hote hain - 2

Both:
milane waale kahi ulfat men judaa hote hain

Lata:
milane ko yu to milaa karti hain sabki aankhen
milane ko yu to - 2
milaa karati hain sabki aankhen
dil ke aa jaane ke andaaz judaa hote hain - 2

Both:
yuun to aapas mein bigadate hain, Khafaa hote hain

Rafi:
aaise hans hans ke na dekhaa karo tum sabki taraf
aaise hans hans ke - 2
na dekhaa karo tum sabki taraf
log aaisi hi adaaon pe fidaa hote hain - 2

Both:
yuun to aapas mein bigadate hain, Khafaa hote hain

Audio

video


10. ARTIST: LATA & CHORUS


dadir dara, dir dara, dadir dara - 2

(meri ladli ri meri ladli ri bani hain
taaron ki tu raani ) - 2

neel gagan par baadal dole, dole har ek taara
dadir dara, dir dara, dadir dara
chaand ke andar budhiya dole
dadir dara - 3 dadir da
chaand ke andar budhiya dole
thumak thumak dil dara
meri ladli ri, meri ladli ri bani hain
taaron ki tu raani - 2

kamla gaye, bimla gaye, gaye punwa saara
dadir dara, dir dara, dadir dara
ghoonghat kadh ke, gudiya naache
dadir dara - 3 dadir da
ghoonghat kadh ke, gudiya naache
jhoomey re gudda pyaara
meri ladli ri meri ladli ri bani hain
taaron ki tu raani - 2

batlar naache, baira naache, naache moti aaya
dadir dara, dir dara, dadir dara
kaale sahab ka, topa naache
dadir dara - 3 dadir da
kaale sahab ka topa naache
gori mem ka saaya
(meri ladli ri, meri ladli ri bani hain
taaron ki tu raani ) - 2



Audio

video

No comments:

Post a Comment