Tuesday, December 6, 2011
RAJ KAPOOR....INIMITABLE DIRECTOR -ACTOR-PRODUCER
R A J K A P O O R
Mera joota hai Japani (My shoes are Japanese)
Ye patloon Inglistani (These trousers are English)
Sar pe lal topi Roosi (The red cap on my head is Russian)
Phir bhi dil hai Hindustani (But still, however, MY HEART IS INDIAN)
Raj Kapoor, The ultimate showman of millenium. He was born in Peshawar, He had started his carrier as a clapper boy, His first film was Inquilab(1935), After 12 years he worked with Madhubala in Neel Kamal(1947). When he was of just 24 years, He had established his own studio, HIS production was Aag(1948), Which was not succesfull, but his work was appreciated. He acted with Nargis under Mehboob Khan in Andaz(1949), which was a big hit. He was producer, director and actor of some films like Barsaat(1949), Awaara(1951), Shree 420(1955), Sangam(1964), Mera naam Joker(1970), All those films were blockbusters except Mera naam Joker(1970),which was big flop.
Some of his hit productions Jagte Raho(1956), Jis Desh Mein Ganga Behti hai(1960).
He had acted in many hit films as hero like Chori Chori(1956), Parvarsih(1958), Anari(1959), Aashiq(1961), Dil hi to hai(1963), Dulha Dulhan(1964), Sapno ka Saudagar(1968).
After disaster of Mera naam joker(1970), He produced Kal Aaj Aur Kal(1971) his eldest son Randheer Kapoor's direction and acting debut, That film was semi hit. In 1973 he introduced his another son Rishi Kapoor in Bobby(1973) and introduced a new heroin Dimple Kapadia. Bobby(1973) was Biggest hit of that time, It had broken all records.
After Bobby, he produced some more super hit films like Karam Dharam(1975), Satyam Shivam Sundaram(1978), Prem Rog(1982).
His last film as actor was Vakil Babu(1982) in which his role was "Advocate Mathur".
His last film as director was Ram Teri Ganga Maili(1985) in which he had introduced his youngest son Rajbeer Kapoor.
At the time of his death he was working for Henna(1991) which was completed by his eldest son Randhir Kapoor.
Mukesh has sung 95% of songs for him. He had acted in Teesri Kasam(1966) for 1 indian rupee, Because Shailendra the producer of that movie was one of his best friend. He had relations with Nargis but nobody knows the truth.
Trivia
DOB:- 14 December 1924
Death:- 2 june 1988, Suffered from asthama.
Height:- 5 feet 8 inches.
Relations:- Son of Privthiraj Kapoor, Brother of Shashi Kapoor, Shammi Kapoor. Father of Randhir Kapoor and Rishi Kapoor.
Awards
Filmfare Awards
He won Best Actor award for Anari in 1959.
He won Best Actor award for Jis Desh Men Ganga Behti Hai in 1961.
He won Best Director award for Sangam in 1964.
He won Best Director award for Mera Naam Joker in 1971.
He won Best Director award for Prem Rog in 1982.
He won Best Director award for Ram Teri Ganga Maili in 1985.
He won Best Movie award for Ram Teri Ganga Maili in 1985.
All lyrics of his hit songs provided below free.
Have fun.
1. Ek Din Bik Jayega.
2. Sajan Re Jhooth Mat Bolo.
3. Jaane Kahaan Gaye Woh Din.
4. Zinda Hoon Is Tarah.
5. Jis Desh Mein Ganga Behti Hai.
6. Main Aashiq Hoon Baharon ka.
7. Dost Dost Na aha.
8. Kisi Ki Muskurahaton.
9. Awaara Hoon.
Known as Ranbir Raj Kapoor (Hindi: राज कपूर) Rāj Kapūr, 14 December 1924 – 2 June 1988), also known as The Show-Man, was an Indian film actor, producer and director of Hindi cinema.[1] He was the winner of nine Filmfare Awards, while his films Awaara (1951) and Boot Polish (1954) were nominated for the Palme d'Or at the Cannes Film Festival. His performance in Awaara, was ranked one of the "Top-Ten Performances of all time", by the Time Magazine.[2] The Government of India honoured him with the Padma Bhushan in 1971 and the Dadasaheb Phalke Award in 1987 for his contributions towards Indian cinema.
Born Ranbir Raj Kapoor
14 December 1924
Peshawar, British India (now Pakistan
Died 2 June 1988 (aged 63)
Chembur, Mumbai, India
Residence Chembur, Mumbai, Maharashtra, India
Other names The Show Man
Occupation Actor, Producer, Director
Years active 1935–1985
Raj Kapoor and Nargis worked together in 16 films including 6 of his own productions.
Ashiana (1952)
Bewafa (1952)
Aag (1949) Jan Pehchan (1950)
Aah (1953]
Paapi (1953) Dhoon (1953)
Shree 420 (1955) Chori Chori (1956)
Jagte Raho (1956)
Awaara (1951) Andaz (1950)
Amber (1952) Barsaat (1949)
Anhonee (1952) Pyaar (1950)
MUKESH SINGING FOR RAJKAPOOR
1. FILM: Karam Dharam(1975)
Singer :- Mukesh.
Ek Din bik jayega
Ek din bik jayega, maati ke mol
Jag mein rah jayenge pyare tere bol
Dooje ke hothon ko dekar apne geet
Koi nishani chhod, phir duniya se bol
Ek din bik jayega, maati ke mol
Jag mein rah jayenge pyare tere bol
La la lal lal lal laa
Anhoni path mein kaante laakh bichaaye
Honi to phir bhi bichhda yaar milaye
Anhoni path mein kaante laakh bichaaye
Honi to phir bhi bichhda yaar milaye
Yeh birha, yeh doori, do pal ki majboori
Phir koi dilwala kahe ko ghabraye, taram pam
Dhara jo behti hai milke rehti hai
Behti chara ban ja phir duniya se bol
Ek din bik jayega, maati ke mol
Jag mein rah jayenge pyare tere bol
La la lal lal lal aa
Parde ke peechhe baithi saanval gori
Tham ke tere mere man ki dori
Parde ke peechhe baithi saanval gori
Tham ke tere mere man ki dori
Yeh dori na chhoote, yeh bandhan na toote
Bhor hone wali hai ab raina hai thodi, taram pam
Sar ko jhukaye tu baitha kya hai yaar
Gori se naina jod phir duniya se bol
Ek din bik jayega, maati ke mol
Jag mein rah jayenge pyare tere bol
La la lal lal lal aa
VIDEO
2.
FILM: TESARI KASAM [1966]
Singer :- Mukesh.
Sajan Re Jhooth Mat Bolo
Sajan re jhooth mat bolo
Khuda ke paas jaana hai
Na haathi hai na ghoda hai
Wahaan paidal hi jaana hai
Sajan re jhooth mat bolo
Tumhare mahal chobaare
Yahin rahe jayenge saare
Tumhare mahal chobaare
Yahin rahe jayenge saare
Akad kis baat ki pyaare
Akad kis baat ki pyaare
Yeh sar phir bhi jhukana hai
Sajan re jhooth mat bolo
Khuda ke paas jaana hai
Na haathi hai na ghoda hai
Wahaan paidal hi jaana hai
Sajan re jhooth mat bolo
Bhala kije bhala hoga
Bura kije bura hoga
Bhala kije bhala hoga
Bura kije bura hoga
Bahi likh likh ke kya hoga?
Bahi likh likh ke kya hoga?
Yahin sabh kucch chukaana hai
Sajan re jhooth mat bolo
Khuda ke paas jaana hai
Na haathi hai na ghoda hai
Wahaan paidal hi jaana hai
Sajan re jhooth mat bolo
Ladakpan khel mein khoya
Jawaani neend bhar soya
Ladakpan khel mein khoya
Jawaani neend bhar soya
Budhapa dekh kar roya
Budhapa dekh kar roya
Wahi kissa puraana hai
Sajan re jhooth mat bolo
Khuda ke paas jaana hai
Na haathi hai na ghoda hai
Wahaan paidal hi jaana hai
Sajan re jhooth mat bolo
VIDEO
3.
FILM: MERA NAAM JOKER [1970]
Singer :- Mukesh.
Jaane Kahaan Gaye Woh Din
Jaane kahaan gaye woh din
Kahte the teri yaad mein
Nazaron ko ham bichaayenge
Jaane kahaan gaye woh din
Kahte thhe teri yaad mein
Nazaron ko ham bichaayenge
Chaahe kahin bhi tum raho
Chaahenge tumko umra bhar
Tumko na bhool payenge
Mere kadam jahaan pade
Sajde kiye thhe yaar ne
Mere kadam jahaan pade
Sajde kiye thhe yaar ne
Mujhko rula rula diya
Jaati hui bahaar ne
Jaane kahaan gaye woh din
Kahte thhe teri yaad mein
Nazaron ko ham bichaayenge
Chaahe kahin bhi tum raho
chaahenge tumko umra bhar
Tumko na bhool payenge
Apni nazar mein aaj kal
Din bhi andheri raat hai
Apni nazar mein aaj kal
Din bhi andheri raat hai
Saaya hi apne saath tha
Saaya hi apne saath hai
Jaane kahaan gaye woh din
Kahte thhe teri yaad mein
Nazaron ko ham bichaayenge
Chaahe kahin bhi tum raho
Chaahenge tumko umra bhar
Tumko na bhool payenge
VIDEO
4.
FILM: AAG [1948]
Singer :- Mukesh.
Zinda Hoon Is Tarah
Zinda hoon iss tarah ki gam-e-zindagi nahi
Jalta huya ek diya hoon magar roshni nahi
Zinda hoon iss tarah ki gam-e
Woh muddatein huyi hain kissi se juda huye
Woh muddatein huyi hain kissi se juda huye
Lekin ye dil ki aag abhi tak bhuji nahi
Zinda hoon iss tarah ki gam-e
Aane ko aa chuka thha kinaaraa bhi saamne
Aane ko aa chuka thha kinaaraa bhi saamne
Khud uske paas hi mere naiya gayi nahi
Zinda hoon iss tarah ki gam-e
Hothon ke paas aaye hassi kya majaal hai
Hothon ke paas aaye hassi kya majaal hai
Dil ka muamla hai koi dillagi nahi
Zinda hoon iss tarah ki gam-e
Ye chaand yeh hawa ye parda sabh hai maandma
Ye chaand yeh hawa ye parda sabh hai maandma
Jab tu nahi toh inmein koi dilkasi nahi
Zinda hoon iss tarah ki gam-e-zindagi nahi
Jalta huya ek diya hoon magar roshni nahi
Zinda hoon iss tarah ki gam-e-zindagi nahi
VIDEO
5.
FILM; JIS DESH MEIN BABGA BEHTI HAI [ 1960]
Singer :- Mukesh.
Jis Desh Mein Ganga Behti Hai
Hothon pe sacchaai rahti hai
Jahaan dil mein safaai rahti hai
Hum uss desh ke vaasi hein
Hum uss desh ke vaasi hein
Jis desh mein ganga behti hai
Hothon pe sacchaai rahti hai
Jahaan dil mein safaai rahti hai
Hum uss desh ke vaasi hein
Hum uss desh ke vaasi hein
Jis desh mein ganga behti hai
Mehmaan jo hamaara hota hai
Woh jaan se pyaara hota hai
Mehmaan jo hamaara hota hai
Woh jaan se pyaara hota hai
Jyaada ki nahi laalach hamko
Thode mein gujaara hota hai
Thode mein gujaara hota hai
Baccho ke liye jo dharti maa
Sadiyon se sabh kucch sahti hai
Ham uss desh ke vaasi hai
Hum uss desh ke vaasi hein
Jis desh mein ganga behti hai
Kucch log jo jyaada jaante hein
Insaan ko kam pehchaante hein
Kucch log jo jyaada jaante hein
Insaan ko kam pehchaante hein
Ye purab hai purab waale
Har jaan ki kimat jaante hein
Har jaan ki kimat jaante hein
Mil jul ke raho aur pyaar karo
Ek cheej yahi jo rahti hai
Ham uss desh ke vaasi hai
Hum uss desh ke vaasi hein
Jis desh mein ganga behti hai
Jo jiss se mila seekha hamne
Gairon ko bhi apnaaya hamne
Jo jiss se mila seekha hamne
Gairon ko bhi apnaaya hamne
Matlab ke liye andhe hokar
Roti ko nahi pooja hamne
Roti ko nahi pooja hamne
Ab ham toh kya saari duniya
Saari duniya se kati hai
Ham uss desh ke vaasi hai
Hum uss desh ke vaasi hein
Jis desh mein ganga behti hai
Hothon pe sacchhai rahti hai
Jahaan dil mein safaai rahti hai
Hum uss desh ke vaasi hein
Hum uss desh ke vaasi hein
Jis desh mein ganga behti hai
VIDEO
6.
FILM: SANGAM [ 1964]
Singer :- Mukesh.
Dost Dost Na Raha
Dost dost na raha
Pyaar pyaar na raha
Zindagi hamein tera
Aitbaar na raha
Aitbaar na raha
Dost Dost na raha
Pyaar pyaar na raha
Zindagi hamein tera
Aitbaar na raha
Aitbaar na raha
Jo zindagi ki rah mein
Bane the mere hamsafar
Woh mere dost tum hi the
Tum hi toh the
Saare bhed khul gaye
Raazdaar na raha
Zindagi hamein tera
Aitbaar na raha
Aitbaar na raha
Dost dost na raha
Pyaar pyaar na raha
Zindagi hamein tera,
Aitbaar na raha
Aitbaar na raha
Gale lagi sehem sehem
Bhare gale se bolti
Woh tum na thi toh kaun tha
Tum hi toh thi
Safar ke waqt mein palak pe
Motiyon ko taulti
Woh tum na thi toh kaun tha
Tum hi toh thi
Nashe ki raat dhal gayi
Ab khumaar na raha
Zindagi hamein tera
Aitbaar na raha
Aitbaar na raha
Dost Dost na raha
Pyaar pyaar na raha
Zindagi hamein tera
Aitbaar na raha
Aitbaar na raha
Wafa ka leke naam jo
Dhadak rahe the har ghadi
Woh mere nek nek dil tum hi to ho
Jo muskura ke rah gaye
Zeher ki jab sui gaddi
Woh mere nek nek dil
Tum hi to ho
Ab kisi ka mere dil
Intezaar na raha
Zindagi hamein tera
Aitbaar na raha
Aitbaar na raha
Dost Dost na raha
Pyaar pyaar na raha
Zindagi hamein tera
Aitbaar na raha
Aitbaar na raha
VIDEO
7.
FILM: ANARI [ 1959]
Singer :- Mukesh.
Kisi Ki Muskurahaton
Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai
Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai
Maana apni jeb se fakeer hein
Phir bhi yaaron dil ke ham ameer hein
Maana apni jeb se fakeer hein
Phir bhi yaaron dil ke ham ameer hein
Mitte jo pyaar ke liye woh zindagi
Chale bahaar ke liye woh zindagi
Kisi ko ho na ho hamein to aitbaar
Jeena isi ka naam hai
Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai
Rishta dil se dil ke aitbaar ka
Zinda hai hami se naam pyaar ka
Rishta dil se dil ke aitbaar ka
Zinda hai hami se naam pyaar ka
Ki marke bhi kisi ko yaad ayenge
Kisi ke aansuo mein muskuraanyenge
Kahega phool har kali se baar baar
Jeena isi ka naam hai
Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai
VIDEO
8.
FILM: AASHIQ [1961]
Singer :- Mukesh.
Main Aashiq Hoon Baharon Ka
Main aashiq hoon baharon ka
Nazaron ka, fizaaon ka, ishaaron ka
Main aashiq hoon baharon ka
Nazaron ka, fizaaon ka, ishaaron ka
Main mastana musafir hoon
Jawaan dharti ke anjaane kinaaron ka
Main aashiq hoon baharon ka
Sadiyon se jag mein aata raha main
Naye rang jeevan mein gata raha main
Naye bhes mein nit naye desh main
Main aashiq hoon baharon ka
Nazaron ka, fizaaon ka,ishaaron ka
Main mastana musafir hoon
Jawaan dharti ke anjaane kinaaron ka
Main aashiq hoon baharon ka
Kabhi maine haske deepak jalaaye
Kabhi banke baadal aansu bahaaye
Mera raasta, pyaar ka raast
Main aashiq hoon baharon ka
Nazaron ka, fizaaon ka, ishaaron ka
Main mastana musafir hoon
Jawaan dharti ke anjaane kinaaron ka
Main aashiq hoon baharon ka
Chala gar safar ko ko besahara
Toh mein ho liya sang diye ek tara
Gaata hua dukh bhulata hua
Main aashiq hoon baharon ka
Nazaron ka, fizaaon ka, ishaaron ka
Main mastana musafir hoon
Jawaan dharti ke anjaane kinaaron ka
Main aashiq hoon baharon ka
VIDEO
9.
FILM: AWARA[[1951] RAJ KAPOOR
SINGER: mUKESH
LYRICS: SHALENDRA & HASRAT JAIPURI
MUSIC:SHANKAR & JAI KISHAN
MUKESH
aavaaraa huun, aavaaraa huun
yaa gardish men huun aasamaan kaa taaraa huun - 2
aavaaraa huun, aavaaraa huun
gharabaar nahiin, sansaar nahiin
mujhase kisIko pyaar nahiin - 2
usapaar kisiise milane kaa iqaraar nahiin
mujhase kisIko pyaar nahiin - 2
sunasaan nagar anjaan Dagar kaa pyaaraa huun
aavaaraa huun, aavaaraa huun
aabaad nahiin barabaad sahii
gaataa huun khushiike gIt magar - 2
zakhmon se bharaa siinaa hai meraa
hansatii hai magar ye mast nazar
duniyaa a a a
duniyaa men tere tiir kaa yaa takadiir kaa maaraa huun
aavaaraa huun, aavaaraa huun
yaa gardish men huun aasamaan kaa taaraa huun
aavaaraa huun, aavaaraa huun
Audio
video
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment