Saturday, December 10, 2011
JAGJIT SINGH AND CHITRA GHAZALS
Jagjit Singh (Punjabi: ਜਗਜੀਤ ਸਿੰਘ, Hindi: जगजीत सिंह, Urdu: جگجیت سنگھ); born Jagmohan Singh; (8 February 1941 – 10 October 2011) was a prominent Indian Ghazal singer, composer, music director, activist and entrepreneur. Known as "The Ghazal King", he gained acclaim together with his wife, another renowned Indian Ghazal singer Chitra Singh in 1970's and 80's as the first successful husband-wife duo act in the history of recorded Indian music. Together, they are considered to be the pioneers of modern Ghazal singing and regarded as most successful recording artistes outside the realm of Indian film music.
Singh is credited for the revival and popularity of ghazal, an Indian classical art form, by choosing poetry that was relevant to the masses and composing them in a way that laid more emphasis on the meaning of words and melody evoked by them. In terms of Indian Classical music, his style of composing and Gayaki (singing) is considered as Bol-pradhan, one that lays emphasis on words. He highlighted this in his music for films such as Prem Geet (1981), Arth and Saath Saath (1982), and TV serials Mirza Ghalib (1988) and Kahkashan (1991). Jagjit Singh is considered to be the most successful ghazal singer and composer of all time.Jagjit Singh was the first Indian composer, and together with his wife Chitra Singh the first recording artist in the history of Indian music to use digital multi-track recording for their (India's first digitally recorded) album, Beyond Time (1987).
Jagjit Singh died on 10 October 2011.
Before this illness, his last concerts were held on 16 September 2011 at Nehru Science Centre in Mumbai, on 17th at Siri Fort Auditorium in New Delhi, on 18 September at Noor Mahal, Karnal(organised by HIFA) and on 20 September at The Indian Public School in Dehradun
G H A Z A L S
1. ZINDAGI TU NE LAHOO LE KE DIYA KUCHH
Zindagi Tu Ne Lahoo Le Ke Diya Kuchh Bhi Nahin
Tere Daman Main Merey Waste Kya Kuchh Bhi Nahin
Merey In Hathon Ki Chaho Totalashi Le Lo
Merey Hathon Mein Lakeeron Ke Siwakuchh Bhi Nahin
Hum Ne Dekha Hai Kaee Aise Khudaonko Yahan
Samene Jin Ke Wo Sach Much Ka Khuda Kuchh Bhi Nahin
Ya Khuda Ab Ke Yeh Kis Rang Mein Aee Hai Bahar
Zard Hi Zard Hai Pedon Pe Hara Kuchh Bhi Nahin
Dil Bhi Ek Zid Pe Ada Hai Kisi Bachche Ki Tarah
Ya To Sab Kuchh Hi Isey Chahiye Ya Kuchh Bhi Nahin
VIDEO
2. JAB SAMNE TUM AA JAATE HO: ASHA BHOSLE AND JAGJIT SINGH
Jagjit:
Aaina dekh ke bole yeh sanwarne wale
Ab to be-maut marenge mere marne wale
Asha:
Dekhke tumko hosh mein aana bhool gaye
Yaad rahe tum aur zamaana bhool gaye
Chorus: hm mm, hm mm mm mm (humming*)
Asha: jab saamne tum
Chorus: hm mm, hm mm mm mm
Asha:
Jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Chorus: hm mm, hm mm mm mm -2
Asha:
Chaaha tha yeh kahenge
Socha tha socha tha woh kahenge
Aaye woh saamne to, kuchh bhi na keh sake
Bas dekha kiye unhein ham
Jagjit:
Dekh kar tujhko yakeen hota hai -2
Koi itna bhi haseen hota hai
Dekh paate hain kahan ham tumko dil kahin hosh kahin hota hai
Asha: jab saamne tum
Chorus: hm mm, hm mm mm mm
Asha:
Ho jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Chorus: hm mm mm mm mm mm, hm mm mm mm mm
Asha: ha haa haa haa, ho
Chorus: hm mm, hm mm mm mm -2
Asha:
Aa kar chale na jaana, aise nahin sataana
De kar hansi labon ko, aankhon ko mar rulaana
Dena na beqaraari dil ka karaar ban ke
Yaadon mein kho na jaana tum intezaar ban ke, intezar ban ke
Jagjit:
Bhool kar tumko na jee payenge -2
Saath tum hogi jahan jayenge
Ham koi waqt nahin hain hamdam
Jab bulaaoge chale aayenge
Chorus: hm mm, hm mm mm mm -2
Asha: jab saamne tum
Chorus: hm mm, hm mm mm mm
Asha:
Haa haa jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Chorus: hm mm, hm mm mm mm -5
Apni Aakhon Ke Samandar Mein Utar Jaane De
Voice: Jagjit Singh, Lyric: Nazir Baqri, Release Date: 1988,
apni aakhon ke samandar mein utar jaane de
tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de
ae naye dost mein samjunga tujhe bhi apna
pehle mazii ka koi zakhm to bhar jaane de
aag duniya ki lagayee hui bujh jayegi
koi aansoon mere damaan pe bikhar jaane de
jakhm kitne teri chahaat se mile hain mujhko
sochta hoon ke kahoon tujhse, magar jaane dE
VIDEO
3. TUM ITNA JO MUSKURA RAHI HO
jAGJUT SINGH: LYRICS: KAIFI AZMI [ MOVIE ARTH]
tum itna jo muskura rahi ho
kya gham hai jisko chupaa rahi ho
aankhon mein namee hansi labon par
kya haal hai kya dikhaa rahi ho
ban jaayenge zaher peete peete
ye ashq jo peete rahi ho
jin zakhmon ko waqt bhar chala hai
tum kyoon unhe chede jaa rahi ho
rekhaaon ka khel hai muqqaddar
rekhaaon se maat khaa rahi ho
VIDEO
4. HAZARON KHWAHISHEN AISI
LYRICS: MIRZA GHALIB
hazaaron khwahishain aisee ke har khwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaan lekin phir bhee kam nikle
nikalna khuld se aadam ka sunte aayain hain lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle
mohabbat mein naheen hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete hain jis kaafir pe dam nikle
khuda ke waaste parda nakaab-e se uthaa zaalim
kaheen aisa na ho yaan bhee wohee kaafir sanam nikle
kahaan maikhaane ka darwaaza 'ghalib' aur kahaan waaiz
par itana jaante hain kal wo jaata tha ke ham nikle
VIDEO
5. MERI ZINDAGI KISI AUR KI
LYRICS: MUZAFFIR WARSI
meri zindagi kisi aur ki, mere naam ka koi aur hai
mera aqsh hai sar-e-aayina, pase aayina koi aur hai
meri dhadkanon mein hai chaapsi, ye judaaee bhi hai milaapsi
mujhe kya pata, mere dil bata, mere saath kya koi aur hai
na gaye dinon ko khabar meri, na shareeke haal nazar teri
tere desh mein, mere bhesh mein, koi aur tha, koi aur hai
wo meri taraf nigraan rahe, mera dhyaan jaane kahan rahe
meri aankh mein kai sooraten, mujhe chaahta koi aur hai
VIDEO
6. PYAR MUJHE KO KIYA
LYRICS: JAVE AJTHAR
MUSIC: KULDEEP SINGH, MOVIE SAATH SAATH
pyaar mujhase jo kiyaa tumne, to kyaa paaogii
mere haalat kii aandhii mein bikhar jaogii
pyaar mujhse jo kiyaa tumne to kyaa paaogii
ranj aur dard kii bastii kaa mein baashindaa huun
ye to bas main huun ke is haal mein bhii zindaa huun
khwaab kyun dekhuun woh, kal jispe main sharmindaa hoon
main jo sharmindaa huaa tum bhii to sharamaaogii
pyaar mujhse jo kiyaa tumne to kyaa paaogii
kyun mere saath koi aur pareshaan rahe
meri duniyaa hai jo viraan to viraan rahe
zindagii kaa yeh safar tumape to aasaan rahe
hamasafar mujhko banaogii to pachhataaogii
pyaar mujhse jo kiyaa tumne to kyaa paaogii
ek main kyaa abhii aayenge deewaane kitne
abhii guunjenge muhabbat ke taraane kitne
zindagii tumko sunaayegii fasaane kitne
kyun samajhatii ho mujhe bhuul nahin paaogii
pyaar mujhse jo kiyaa tumne to kyaa paaogii
mere haalat kii aandhii mein bikhar jaogii
pyaar mujhse jo kiyaa tumne to kyaa paaogii
VIDEO
7. TERE KHAT
LYRICS: RAJENDERNATH RAHBAR
tere khushbuu mein base khat main jalaataa kaise
pyaar mein doobe huye khat main jalaataa kaise
tere haathon ke likhe khat main jalaata kaise
jin ko duniyaa kii nigaahon se chhupaaye rakhaa
jin ko ik umr kaleje se lagaaye rakhaa
diin jin ko, jinhen iimaan banaaye rakhaa
tere khushbuu mein base khat main jalaataa kaise
jinka har lafz mujhe yaad the paani ki tarah
yaad the mujhko jo paigaamen jubaanee ki tarah
mujhko pyaree the jo anmol nishaani ki tarah
tere khushbuu mein base khat main jalaataa kaise
tune duniyaa kii nigaahon se jo bachkar likhe
saalahaa-saal mere naam baraabar likhe
kabhii din mein to kabhii raat mein uthakar likhe
tere khushbuu mein base khat main jalaataa kaise
pyaar mein doobe huye khat main jalaata kaise
tere haathon ke likhe khat main jalaata kaise
tere khat aaj main gangaa mein bahaa aayaa hoon
aag bahate huye paannii mein lagaa aayaa hoon"
VIDEO
VIDEO
8. AYE KHUDA RET KE SEHRA HO SAMANDAR KAR DE
LYRICS: SAHEED MEER
ae khuda ret ki sehra ko samandar kar de
ya chalaak ti hui aankhon to bhi pathhar kar de
tujhko dekha nahin mehsoos kiya hai maine
aa kisi din mere ehsaas ko paikar kar de
ya chalaak ti hui aankhon to bhi pathhar kar de
ae khuda ret ki sehra ko samandar kar de
aur kuch bhi mujhe darkaar nahin hai lekin
meri chadaar mere pairon ke baraabar kar de
ya chalaak ti hui aankhon to bhi pathhar kar de
ae khuda ret ki sehra ko samandar kar de
VIDEO
9. BAATH NIKLEGI TO PHIR DOOR
LYRICS: KAFFEEL AAZER
baat nikalegii to phir duur talak jaayegii
log bevajah udaasii kaa sabab puchhenge
ye bhii puuchhenge ke tum itanii pareshaan kyun ho
ungaliyaan uthengii suukhe hue baalon kii taraf
ek nazar dekhenge guzare hue saalon kii taraf
chuudiyon par bhii kai tanz kiye jaayenge
kaanpate haathon pe bhii fikare kase jaayenge
log zaalim hain har ek baat kaa taanaa denge
baaton baaton men meraa zikr bhii le aayenge
unakii baaton kaa zaraa saa bhii asar mat lenaa
varanaa chehare kii taasur se samajh jaayenge
chaahe kuchh bhi ho savaalaat naa karanaa unase
mere baare men koi baat na karanaa unase
baat nikalegii to phir duur talak jaayegii
VIDEO
10. MIRZA GHALIB : HAR EK PE KEHTE HO TUM KE
har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
VIDEO
11. MIRZA GHALIB: TERE WADEPAR JIYE HAMM TO YE JAAN
tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota
ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota
kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota
[ALTERNATE]
VIDEO
12. MIRZA GHALIB: DIL- E- NADAAN TUJHE HUA KYA HAI
dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai
hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai
dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai
ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?
jab ki tujh bin naheeN koee maujood
fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai
jaan tum par nisaar karta hooN
maiN naheeN jaanata duaa kya hai
VIDEO
13. AANKH SE AANKH MILAA BAAT BANATA KYOON HAI
aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai
tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai
gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai
tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai
waqt ke saath haalaat badal jaate haiN
ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai
ek muddat se jahaN kaafile gujre hi nahiN
aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai
VIDEO
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment