CAST: SAIGAL, REHMAN, RAGINI...
LYRICS: MAJROOH
MUSIC: NAUSHAD
1. SINGERS: NASEEM AKHTAR & ZOHRABHAI
| ||
|
Copy paste this URL below on your browser for AUDIO:
http://www.sangeethouse.com/jukebox.php?songid=41264
2. SINGERS: SAIGAL & ZOHRABHAI AMBALAWALI
aey dil-e-beqaraar jhoom, aey dil-e-beqaraar jhoom- 2
abr-e-bahaar aa gayaa, daur-e-khizaa chalaa gayaa- 2 i
shq muraad paa gayaa, husn ki mach raha hai dhoom (aey dil-e)
chhitakee huee hai chaandanee, masti men hai kali kali- 2
jhoom rahi hai zindagi, tu bhi hazaar baar jhoom (aey dil-e)
taare hain maahataab hai, husn hai aur shabaab hai- 2
zindaga kaamiyaab hai, aarazaoon ka hai hazoom (aey dil-e)
teraa nashaa,teraa khumaar, ab hai bahaar, hai bahaar 2
peeke khushi men baar baar, peer-e-jawaan ke haath choom
(aey dil-e
Copy paste this URL below on your browser for viewing Video and AUDIO:
http://www.sangeethouse.com/jukebox.php?songid=41265
http://www.youtube.com/watch?v=SJVRMUiNNFk
3. SINGERS SAIGAL& ZOHRABI AMBALAWALI
rote rote hi kategi hamen maalum naa thaa - 2
maut bhi ham pe hansegi hamen maalum
naa thaa zindagi rog banegi hamen maalum naa thaa - 2
chaah barbaad karegi hamen maalum naa thaa
chhaayi ghanaghor ghataa chaand sitaare
naa rahe woh ummiiden naa rahin ab woh
sahaare naa rahe ghair to ghair hi the woh
bhi hamaare naa rahe hampe aisi bhi padegi,
hamen maaluum naa thaa - 2
chaah barbaad karegi hamen maalum naa thaa
Copy paste this URL below on your browser for AUDIO:
http://www.sangeethouse.com/jukebox.php?songid=41266
4. SINGER: SIAGAL
gham diye mustakil, kitanaa naazuk hai dil,
ye na jaanaa haaye haaye ye zaalim zamaanaa
de uthe daag lo, unase ai mahalon kah sunanaa
haaye haaye ye zaalim zamaanaa dil ke haathon
se daaman chhudaakar gham ki nazaron se nazaren
bachaakar uthake woh chal diye, kahate hii rah gaye,
ham fasaanaa haaye haaye ye zaalim zamaanaa
koi meri ye roodaad dekhen, ye muhobbat ki bedaad
dekhe phoonk rahaa hai jigar, pad rahaa hai magar,
muskuraanaa haaye haaye ye zaalim zamaanaa
gham diye mustakil, kitanaa naazuk hai dil,
ye na jaanaa haaye haaye ye zaalim zamaanaa
Copy paste this URL below on your browser for viewing Video and AUDIO:
http://www.sangeethouse.com/jukebox.php?songid=41267
http://www.youtube.com/watch?v=I6Jav5oZDs0
5. SINGER: SAIGAL
Jab Dil Hi Toot Gaya, Jab Dil Hi Toot Gaya
Hum Jee Ke Kya Karenge, Jab Dil Hi Toot Gaya
Ulfat Ka Diya Humne Is Dil Mein Jalaaya Tha
Umeed Ke Phoolon Se Is Ghar Ko Sajaaya Tha
Ek Bhedi Loot Gayaa Hum Jee Ke...
Maloom Na Tha Itni Mushqil Hai Meri Raahen
Armaan Ke Bahe Aansoon Hasratne Bhari Aahen
Har Saathi Chhoot Gaya Hum Jee Ke...http://www.youtube.com/watch?v=_oD0h3npq8s
Copy paste this URL below on your browser for viewing Video and AUDIO:
http://www.sangeethouse.com/jukebox.php?songid=41268
6. SINGER: SHAMSHAD BEGUM
jab usane gesu bikharaaye baadal aayaa
jhoom ke mast umangen laharaaee hain
rangin mukhadaa choom ke gunchaa
mehkaa bulbul chehakaa - 2
naache bhanwaraa ghoom ke jab
usane gesu bikharaaye baadal aayaa
jhoom ke usake nain gulaabi - 2
kar den sabako sharaabi - 2
baadal aayaa jhoom ke jab
usane gesu bikharaaye baadal aayaa
jhoom ke (jab hans-hans kar wo bole
kaanon men wo ras ghole har dil men
aramaan dole ishq apani aankhen khole) - 2
(usane paimaanaa chhalakaayaa aa saaqi
masti men aanchal dhalakaayaa aa saaqi) - 2
rum jhum, rum jhum baadal aayaa jhum ke
jab usane gesu bikharaaye baadal aayaa jhum
ke mast umangen laharaaee hain rangin
mukhadaa choom kehttp://www.sangeethouse.com/jukebox.php?songid=41269
Copy paste this URL below on your browser for AUDIO:
7. SINGER: SHAMSHAD BEGUM
jawaani ke daaman ko rangin banaa le-2
uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le-2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le
(tere roop pe aayegi rangat sahar ki hansaa
degi kalilyon ko shokhi nazar ki) - 2
ye nazaren kisi se milaakar jhuka le
uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le - 2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le
(ye madamast raaton kaa gehawaaraa,
ye zulfen ye josh-e-jawaani, ye aawaaraa zulfen) - 2
in aawaaraa zulfon ki raaten basaa le
uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le - 2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le
(nikal kar ulajhanaa, ulajhakar nikalanaa hai
insaan ki azamat sau kaanton men chalanaa) - 2
ye kyaa hai jo gul se bhi daaman bachaa le
uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le - 2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le
(ye raaten tujhe gud-gudaayengi lekin
ye aankhen teri muskuraayengi lekin) - 2
agar ye khalish apane dil men basaa le
uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le - 2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le
(biyaawaan bhi hai gulasitaan, dil ke haathon,
ye duniyaa hai duniyaa yahaan dil ke haathon
bahot hai agar do ghadi muskuraa le
uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le - 2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le jawaani
to hai ek shay aani-jaani banaati hai ulfat ise
gair-faani jawaani ko aa gair-faani banaa le
uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le - 2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le
jawaani ke daaman ko rangin banaa le
uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le - 2
jawaani ke daaman ko rangin banaa lehttp://www.sangeethouse.com/jukebox.php?songid=41270
Copy paste this URL below on your browser for AUDIO:
8. SINGER: SAIGAL
kar lijiye chalakar meri jannat ke nazaare
jannat yeh banaayi hai muhabbat ke sahaare
phoolon se liyaa rang, sitaaron se ujaalaa
har cheez ko ik noor ke dhaanche men hai
dhaalaa is khwaab ki basti ka, falak hai
na zameen hai is husn ki duniyaa ki har
ik cheez haseen hai roshan hai fizaa aur
nahin chaand-sitaare jannat yeh banaayi hai
muhabbat ke sahaare gaati hai khushi naghme,
to hansataa hai wahaan gham kaliyon ki hansi
dekh ke,roti nahin shabanam fitarat ki zubaan par
kahin masti ka fasaanaa chheda hai khamoshi ne
bhi purqas taraanaa kuchh soye to kuchh
jaage hue mast nazaare jannat yeh banaayi hai
muhabbat ke sahaare athakheliyaan karati hui
chalati hain hawaaen naghmon ki hai
barasaat to zulfon ki ghataayen rangin hui
aur bhi jannat ki kahaani wah dekhiye (2)
jhule pe ruhi ki jawaani betaab kiye dete hain
maasoom ishaare, maasoom ishaare jannat
yeh banaayi hai muhabbat ke sahaare
Copy paste this URL below on your browser for AUDIO:
http://www.sangeethouse.com/jukebox.php?songid=41271
No comments:
Post a Comment