Friday, October 21, 2011
KUNDAN LAL SAIGAL..MEMOIRS PART II
PART II KUNDAN LAL SAIGAL MEMOIRS [11- 24]
11.
FILM: DEVADAS
LYRICS: KEDASR SHARMA
MUSIC: TIMIR BARAN
duHkh ke
duHkh ke ab din biitat naahii
duHkh ke ab din biitat naahii
sukh ke - din the - ek svapan thaa (3)
ab din biitat naahii more - ab din biitat naahii
duHkh ke - ab din biitat naahii
drunken laughter & sarangi
na mai.n kisii kaa naa koii meraa (2)
chhaayaa chaaro.n or a.ndheraa (2)
ab kachhu suujhat naahii more
ab din biitat naahii
duHkh ke - ab din biitat naahii
duHkh ke, duHkh ke, duHkh ke
video
12.
FILM: POOJARI
LYRICS: PANDIT BHUHAN
MUSIC; TIMIR BARAN
jo biit chukii so biit chukii (2)
ab usakii yaad sataaye kyo.n
jo biit chukii so biit chukii (2)
khush rahane vaalii suurat pe
chi.ntaa kii badalii chhaaye kyo.n (2)
jo biit chukii so biit chukii (2)
saamaa.N kar dil bahalaane kaa
pyaale me Dubo de sab chi.ntaa (2)
vah din jo piye jaa kahataa thaa (2)
ab jaam vahii Thukaraaye kyo.n
phuulo.n se jisako nafarat ho
unakii khushabuu se vahashat ho (2)
jis dil kii machalanaa aadat ho (2)
phir koii use bahalaaye kyo.n (2)
video
13.
FILM: MY SISTER [1944]
LYRICS: PANDIT BHUSHAN
MUSIC: PANKAJ MULLICK
ai qaatib\-e\-taqadiir mujhe itanaa bataa de
ai qaatib\-e\-taqadiir mujhe (itanaa bataa de) -2
kyo.n mujhase Kafaa hai tuu,
kyaa mai.nne kiyaa hai
auro.n ko khushii mujhako fakat dard\-o\-ra.nj\-o\-Gam
duniyaa ko ha.Nsii aur mujhe ronaa diyaa hai
kyaa mai.nne kiyaa hai \-2
kyo.n mujhase Kafaa hai tuu, kyaa mai.nne kiyaa hai
hisse me.n sabake aa_ii hai.n (2) ra.Ngiin bahaare.n
bad\-faqtiyaa.N lekin mujhe shiishe me.n utaare.n
piite hai.n-
piite hai.n rog roz\-o\-shab mussarrato.n kii may
mai.n huu.N ke sataa khuun\-e\-jigar mai.nne piyaa hai
kyaa mai.nne piyaa hai
kyaa mai.nne kiyaa hai
thaa jinake dum-kadam se ye aabaad aashiyaa.n
vo chahachahaatii
ho chahachahaatii bulabule.n jaane ga_ii kahaa.N
juganuu kii chamak hai na sitaaro.n kii roshanii
is ghup a.ndhere me.n hai merii jaan par banii
kyaa thii - kyaa thii
kyaa thii khataa ke jisakii sazaa tuune mujhako dii
kyaa thaa
kyaa thaa gunah ke jisakaa badalaa mujhase liyaa hai
kyaa mai.nne kiyaa hai kyaa mai.nne kiyaa hai
kyo.n mujhase Kafaa hai tuu, kyaa mai.nne kiyaa hai
video
14.
FILM: SHAJEHAN [1946]
LYRICS: KUMAR BARBANKVI
MUSIC: NAUSHAD
ai dil\-e\-beqarAr jhUm \- 2
ai dil\-e\-beqarAr jhUm \- 2
abr\-e\-bahAr A gayA, daUr\-e\-khizA chalA gayA
ishq muraad pA gayA, husn kI mach rahI hai dhUm
ai dil\-e\-beqarAr jhUm, ai dil\-e\-beqarAr jhUm
chhiTakI huI hai chaa.ndanI, mastI me.n hai kalI kalI
jhUm rahI hai zindagI, tU bhI hazaar baar jhUm
ai dil\-e\-beqarAr jhUm
tAre hai.n maahataab hai, husn hai aur shabAb hai
zindagI kAmayaab hai, ArazUo.n kA hai hazUm
ai dil\-e\-beqarAr jhUm, ai dil\-e\-beqarAr jhUm
terA nashA terA khumaar, ab hai bahAr hai bahAr
pIke khushI me.n bAr bAr, pIr\-e\-javA.n ke haath chUm
ai dil\-e\-beqarAr jhUm (3)
video
15.
FILM: DUSHMAN [1939]
LYRICS: ARZOO LUCKNOWI
MUSIC: PANKAJ MULLICK
aa ... a ha ha hA
karU.N kyA aas niraas bhaI \- (4)
diyA bujhe phir se jal jaaye
raat a.ndherI jAye din Aye
diyA bujhe phir se jal jaaye
raat a.ndherI jAye din Aye
miTatI As hai jyot a.nkhiyan kI \- (2)
samajho gaI to gaI
karU.N kyA aas niraas bhaI (3)
jab nA kisIne raah sujhAI
dilase ek AvAz ye AI
jab nA kisIne raah sujhAI
dilase ek AvAz ye AI
himmat baa.ndh sambhal ba.Dh Age,
rok nahI.n hai koI (2)
kaho nA aas niraas bhaI (2)
karanA hogA khUn ko paanI
denI hogI har qurabAnI
himmat hai itanI to samajh le (2)
As ba.ndhegI naI (2)
kaho nA aas niraas bhaI (3)
video
16.
FILM: BHANWARA [1944]
LYRICS: KEDAR SHARMA
MUSIC: KHEMCHAND PRAKASH
pu. : kyaa hamane
kyaa hamane bigaa.Daa hai
kyo.n hamako sataate ho (2)
strii : ham khele.nge jis dilase (2)
ham khele.nge jis dilase
us dil ko chhupaate ho (2)
us dil ko chhupaate ho
pu. : kyaa hamane bigaa.Daa hai
kyo.n hamako sataate ho (2)
pu. : chhupate bhii nahii.n zaalim (2)
chhupate bhii nahii.n zaalim,
na saamane aate ho (2)
naa saamane aate ho
strii : ham aate hai.n to qaatil (2)
ham aate hai.n to qaatil
tum aa.nkh churaate ho (2)
tum aa.nkh churaate ho
pu. : kyaa hamane bigaa.Daa hai
kyo.n hamako sataate ho
pu. : ba.nde hai.n vafaa ke
hame harjaa_ii se kyaa kaam (2)
hame harjaa_ii se kyaa kaam (2)
strii : ham khuub samajhate hai.n (2)
ham khuub samajhate hai.n
tum hamako banaate ho (2)
tum hamako banaate ho (2)
do. : kyaa hamane bigaa.Daa hai
kyo.n hamako sataate ho (2)
video
17.
FILM: SHAJEHAN [ 1948]
LYRICS: MAJROOH
MUSIC: NAUSHAD
Gam diye mustaqil,
itanaa naazuk hai dil, ye na jaanaa
haay haay ye zaalim zamaanaa
de uThe daag lo unase ai maahelau kah sunanaa
haay haay ye zaalim zamaanaa
dil ke haatho.n se daaman chhu.Daakar
Gam kii nazaro.n se nazare.n bachaakar
uThake vo chal diye,
kahate hii rah gaye ham fasaanaa
haay haay ye zaalim zamaanaa
koii merii ye ruudaad dekhe,
ye mohabbat kii bedaad dekhe
phuuk rahaa hai jigar
pa.D rahaa hai magar muskuraanaa
haay haay ye zaalim zamaanaa
Gam diye mustaqil,
itanaa naazuk hai dil, ye na jaanaa
haay haay ye zaalim zamaanaa
video
18.
FILM: LAGAN
LYRICS: ARZOO LUCKNOWI
MUSIC: R.C. BORAL
kaahe ko raa.D machaaii (2)
chho.Do bhii yah niThuraaii
kaahe ko raa.D machaaii (2)
man ke bair ko moh se badalo
duHkh bhii sukh ban jaayii (2)
isii moh me.n apanaa paraayaa
dono.n kii hai bhalaaii (2)
kaahe ko raa.D machaaii (2)
Teevra Madhyam
har pal naI bahaar dekho jagat shri.ngaar (2)
khilii kalii murajhaa ke bikatii
ba.ndhii kalii muskaaii (2)
priit kii riit (4)
priit kii riit nibhaanaa siikho
biga.Daa kaam banaanaa siikho (2)
jaake Daar lipaT kar jhuumii
karake prem sagaaii (2)
kaahe ko raa.D machaaii (2)
video
19.
FILM: TANSEN [ 1943]
LYRICS: PANDIT INDRA
MUSIC: KHEMCHAND PRAKASH
kaahe gumaan kare rii gorii
kaahe gumaan kare ai rii gorii
kaahe gumaan kare
gumaan kare rii gorii
kaahe gumaan kare ai rii gorii
kaahe gumaan kare
ra.ng gulaabii nayanan me.n (2)
ab kyo.n laalii bhare rii gorii (3)
ab tuu laalii bhare kyo.n gorii
ab kyo.n laalii bhare rii gorii
kaahe gumaan kare rii gorii
kaahe gumaan kare
ye akhiyaa.N, akhiyaa.N ras kii pichakaarii
ye akhiyaa.N ras kii pichakaarii (2)
chitavan baa.Nkii kaahe tihaarii (3)
kaun chuuk aisii bha_ii ham se
kachhu na samajh pa.De rii gorii (3)
kaahe gumaan kare rii gorii
video
20.
FILM: BHANWARA/ HARJAI [1944]
CAST: SAIGAL, ARUN, KAMLA CHATTERJEE, MONIKA DESAI
LYRICS: KEDAR SHARMA
MUSIC: KHEMCHAND PRAKASH
ham apanaa unhe.n banaa na sake \-2
kho kar bhii unako paa na sake \-2
paa na sake
ham apanaa unhe.n banaa na sake \-2
gulashan se
gulashan se ham ukataaye the ) \-2
us daam me.n pha.Nsane aaye the \-2
saiyaad ko ye samajhaa na sake \-2
samajhaa na sake
ham apanaa unhe.n banaa na sake \-2
( yaado.n pe
yaado.n pe nichhaavar karate hai.n ) \-2
marate hai.n zaalim marate hai.n \-2
do lafz zabaa.N par laa na sake \-2
laa na sake
ham laa na sake
ham apanaa unhe.n banaa na sake \-2
##female voice## \: achchhaa misTar pancham
aapane kabhii kisii se mohabbat kii hai
wo bole
wo bole
wo bole mohabbat kii hai kabhii
wo bole
wo bole
bole mohabbat kii hai kabhii
##laugh##
wo bole
wo bole
wo bole mohabbat kii hai kabhii
kyaa jaan kisii pe dii hai kabhii \-2
dil chiir ke ham dikhalaa na sake \-2
dikhalaa na sake
samajhaa na sake
ham apanaa unhe.n banaa na sake \-2
alt. video
21.
FILM: ZINDAGI [ 1940]
LYRICS: KEDAT SHARMA
MUSIC: PANKAJ MULLICK
mai.n kyaa jaanuu.N kyaa (jaaduu hai \- 3) \- 2
in do matavAle naino.n me.n (jaaduu hai \- 3)
mai.n kyaa jaanuu.N ...
ek ek athAh sAgar sA hai \- 2
in do matavAle naino.n me.n (jAdU hai \- 3)
mai.n kyaa jaanuu.N ...
(man pUchh rahA hai ab mujhase
naino.n ne kahA hai kyA tujhase ) \- 2
jab nain mile (naino.n ne kahA \- 2)
jab nain mile naino.n ne kahA
ab nain base ke naino.n me.n
mai.n kyaa jaanuu.N ....
video
22.
FILM: SINDAGI [ 1940]
LYRICS; KEDAR SHARMA
MUSIC: PANKAJ MULLICK
so jA ##(slow)## - 2
so jA rAjakumArI so jA
so jA mai.n balihArI so jA
so jA rAjakumArI so jA...
so jA mIThe sapane Ae.N
sapano.n me.n pI daras dikhAe.N \- 2
u.D kar rUpanagar me.n jAe.N \- 2
rUpanagar kI sakhiyA.n Ae.N \- 2
rAjAjI mAlA pahanAe.N \- 2
chUme mA.ng tihArI so jA
so jA rAjakumArI so jA
video
23.
FILM: CHANDIDAAS [1934]
LYRICS: AGHA S. KASHMIRI
MUSIC: R.C. BORAL
ta.Dapat biite din rainaa (2)
nis din birahaa toraa sataave (2)
kaise aave mohe chainaa
ta.Dapat biite din rainaa
raat kaTe gin gin ke taare Dhuu.NDhat nainaa saa.njh sakhaare (2)
aavo sunaao man ke baatii (2)
madhur madhur bainaa (2)
ta.Dapat biite din rainaa
ALT.video
24.
FILM: PARWANA [1947]
LYRICS; D.N. MADHOK
MUSIC: KHURSHID ANWAR
TuuT gaye sab sapane mere, TuuT gaye
TuuT gaye sab sapane mere
yah do nainaa saavan bhaado.n,
barase shaam savere
dard lagii par Thes lagaayii
TuuTaa jo dil aavaaz yah aayii (2)
sukh kii tamannaa karane vaale
sukh nahii.n bhaag tere
TuuT gaye sab sapane mere
yah do nainaa saavan bhaado.n,
barase shaam savere
TuuT gaye sab sapane mere
duHkh ke sataaye sukh ke diivaane
dekh rahe the Kvaab suhaane (2)
aa.Nkh khulii to aas ke badale
yaas kha.Dii thii ghere
TuuT gaye sab sapane mere
yah do nainaa saavan bhaado.n,
barase shaam savere
TuuT gaye sab sapane mere
video
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment