Tuesday, June 14, 2011

ANURAAG [1972 ] SHAKTHI SAMANTHA





FILM: ANURAAG [1972 ] SHAKTHI SAMANTHA

CAST: VINOD MEHRA, MOUZHMI CHATTERJEE, ASHOK KUMAR, NUTAN, MADAN PURI, RAJESH KHANNA,
DAVID, ASITR SEN...

LYRICS: ANAND BAKSHI
MUSIC: S.D. BURMAN

Satyajit Puri, Vinod Mehra, Moushmi Chatterjee, Madan Puri, Ashok Kumar, Nutan, Rajesh Khanna, David, Asit Sen
Singer: Kishore Kumar, Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Lyricist: Anand Bakshi
Music Director: S D Burman
Film Director: Shakti Samanta




1. LATA & RAFI


ra : o tere naino ke mai dip jalaa_ungaa
apani aankho se duniyaa dikhalaa_ungaa
tere naino ke ...

la : achchhaa
vo kyaa hai
ra : ek mandir hai
la : us mandir me
ra : ek murat hai
la : ye murat kaisi hoti hai
ra : teri surat jaisi hoti hai
la : vo kyaa hai

mai kyaa jaanun chhaanv hai kyaa aur dhup hai kyaa
rag-biragi is duniyaa kaa rup hai kyaa
vo kyaa hai
ra : ek parvat hai
la : us parvat pe
ra : ek baadal hai
la : ye baadal kaisaa hotaa hai
ra : tere aanchal jaisaa hotaa hai
la : vo kyaa hai

ra : mast havaa ne ghunghat kholaa kaliyo kaa
jhum ke mausam aayaa hai rag-raliyo kaa
la : vo kyaa hai
ra : ek bagiyaa hai
la : us bagiyaa me
ra : ka_i bhanvare hai
la : bhanvare kyaa rogi hote hai
ra : nahi dil ke rogi hote hai

la : aisi bhi anjaan nahi mai ab sajanaa
bin dekhe mujhako dikhataa hai sab sajanaa
ra : achchhaa
to vo kyaa hai
la : vo saagar hai
ra : us saagar me
la : ik naiyaa hai
ra : are tune kaise jaan liyaa
la : man ki aankho se naam liyaa
vo kyaa hai


AUDIO


VIDEO




2. SINGER: KISHORE KUMAR


Raam Kare Babua Ho~
raam Kare Babua Hamaar Phulava Ko Hamari Umar Lagi Jaaye, Ho
patajhar Aaye Basant Rut Jaaye Ho Jaaye Champa Chameli Muskaaye
raam Kare Babua Ho~

pyaare Munne Tu Bhi Ik Dil-khus Gulaab Hai
tohari Khusabu Ka Kaheen Koi Javaab Hai
tohe Na Kisi Ki Najar Lagi Jaaye
raam Kare Babua Ho~ ...

bol Siyaabar Ramachandra Ki Jay!
pavan Put Hanumaan Ki Jay!

raam Ji Ne Duniya Mein Duhkh Sukh Baante
phulava Ke Sang Sang Bagiya Mein Kaante
tore Pag Mein Na Koi Kaanta Lagi Jaaye
raam Kare Babua ...

kaas Aisa Hovai Jab Banai Tu Dulha Raaja
galiyon Mein Baaje Jab Saadi Ka Baaja
yahi Ganga Raam Hau~
yahi Ganga Raam Tohara Sehara Banaavai
raam Kare Babua ...

AUDIO


VIDEO


3. SINGER: LATA MANGESHKAR


sun ri pawan pawan purawaiya
mai hoo akeli, alabeli
too saheli meree ban ja sathiya

chal too mera aanchal thamke, anajane raste iss gam ke
sathi hain yeh mere nam ke, nain yeh nigode kis kam ke
dole mera mann aise jaise naiya

koyi toh ho aisa puchhe bat jo, giru toh pakad lewe hath jo
hase roye sada mere sath jo, soye jage sang din rat jo
aise ho milan jaise dhup chhaiya


AUDIO


VIDEO



4. SINGER: LATA

mera raja beta bujhe ek paheli
pyari pyari ankhiyo kee kaun saheli

mera raja beta bujhe ek paheli
soye sab jage sari rat akeli

ban-than ke aaye nindiya lagaye
chand ke mathe pe bindiya lagaye
mukhade pe chamake chandra kiran
mera raja beta bujhe ek paheli
kaun woh dulhan nar naveli

khoya andhere me mela jahan kaa
nain jharoko se sapno ne jhanka
dhire dhire chale ri pagal pawan
mera raja beta bujhe ek paheli
champa ke balo me mehke chameli



AUDIO


VIDEO




5. SINGER: LATA



nind churaye, chain churaye, daka dale teri bansi - (2)
are din dahade - 2 chori kare, rat bhar jagaye
daka dale teri bansi
ho nind churaye chain churaye, daka dale teri bansi

mann me lage aise agan, jaise chamake bijuriya badal me - (2)
chup ke kabhee le jayungi, teri bansi chhupake aanchal me
kahe sham dhale - 2 kadam tale, mujhko bulaye
daka dale teri bansi

(samajhi thi mai, natakhat hai too
bas makhan churaya karta hai) - (2)
diwani mai naa janey too kahe panaghat pe aaya karta hai
mohe laj aaye - 2 hay nahee bat kahee jayey
daka dale teri bansi, ho nind churaye.......

(bansi kee dhun sunake piya
jiya mera kahee kho jata hai) - (2)
mai kya kahu, kya naa kahu, mohe naa janey kya ho jata hai
git prit bhare - 2gaye, sudh budh bisaraye
daka dale teri bansi
ho o nind churaye chain churaye daka dale teri bansi
ho daka dale...........

AUDIO


VIDEO

No comments:

Post a Comment