Friday, June 25, 2010
ASHIQ [ 1961] MUKESH, LATA
FILM: AASHIQ { 1962] HRISHIKESH MUKHERJEE
CAST: RAJ KAPOOR, ABHI BHATAACHARIAH, MUKRI, RAJ MEHRA. PADMINI, NANDA, LEELA
CHITNIS
LYRICS: SHAILENDRA
MUSIC: SHANKAER & JAIKISHAN
1. SINGER: MUKESH
e to kaho, koun ho tum, koun ho tum (2)
mujhse puchhe binaa dil mein aa ne lage(2)
ye to kaho, koun ho tum, koun ho tum
miThi nazaron se beejali giraane lage (2)
raat bhi neerali, ye rut bhi neerali
rang barsaaye, umang matwaali
pyaar bhari aankhon ne jaal ye beechhaaye
kaise kare koi dil ki rakhwaali (2)
ye to kaho, koun ho tum, koun ho tum
miThi nazaron se beejali giraane lage (2)
mastiyon ke mele,ye khoi khoi raatein
aa ke kare aankhon se rang bhari baatein
mujhse kyaa chhupegi,ye looT ne ki ghaaten
ye loot ne ki ghaaten
ye to kaho, koun ho tum, koun ho tum (2)
mujhse puchhe binaa dil mein aa ne lage(2)
tum hi to nahin ho, to sapano mein aa ke
chhup gaye apni jhalak dikhla ke
tum hi to nahin ho, mein DhunDhaa kiyaa jhin ko
phir bhi tum na aaye mein thak gayaa bulaa ke(2)
ye to kaho, koun ho tum, koun ho tum
Chorus:- mujhse puchhe binaa dil mein aa ne lage
ye to kaho, koun ho tum, koun ho tum
miThi nazaron se beejali giraane lage (2)
ye to kaho, koun ho tum, koun ho tum
Audio
VIDEO
2. SINGER: MUKESH & LATA
Mukesh:-mahetaab tera chehraa, kis khwaab mein dekhaa tha
aye-husne-jahaan batalaa, tu koun mein koun hun
Lata;-khwaabo mein mile aksar, ek raah chale milkar
phir bhi hai yehi behatar, mat puchh mein koun hun
Mukesh:-mahetaab tera chehraa…
Lata:- kyon gheeri ghaTaa tu hi bataa
kyon hansee fizaa tu hi bataa
phool kyon kheela tu hi bataa… O…O…O
Mukesh:- is raah pe chalnaa hai
is gaah pe ruknaa hai
is kaam ko karnaa hai
batalaa ke mein koun hun
mehtaab tera chehra…
Lata:- zinagi ko tu geet banaa
dil ke saaz pe jhum ke gaa
is jahaan ko tu pyaar sikhaa…O…O…O
Mukesh:-mahetaab tera chehraa, kis khwaab mein dekhaa tha
aye-husne-jahaan batalaa, tu koun mein koun hun
Lata;-khwaabo mein mile aksar, ek raah chale milkar
phir bhi hai yehi behatar, mat puchh mein koun hun
Mukesh:-mahetaab tera chehraa…
Audio
VIDEO
3. SINGER: MUKESH
Maein Aashiq Hoon Bahaaron Ka
Fizaaon Ka, Nazaaron Ka
Maein Mastana Musafir Hoon,
Jawa Dharti Ke Anjaane Kinaro Ka
Maein Aashiq Hoon ...
Sadiyon Se Jug Mein Gaata Raha Maein
Naye Rang Jeevan Ke Laata Raha Maein
Har Ek Bhesh Mein, Nit Naye Desh Mein
Maein Aashiq Hoon ...
Chalo Maine Haske Deepak Jalaye
Kabhi Ban Ke Baadal Aansoo Bahaye
Mera Raasta Pyaar Ka Raasta
Maein Aashiq Hoon...
Chala Gaya Safar Ko Koi Besahara
Maein To Ho Liya Sung Liye Ek Tara
Gaata Hua Dukh Bhulaata Hua,
Maein Aaashiq Hoon..
Audio
VIDEO
4. SINGER: MUKESH
Mukesh:- O shamma mujhe phoonk de
mein na mein rahun, tu na tu rahen
yahi ishq ka hai dastoor
yahi ishq ka hai dastoor
Lata:- parwane jaa, hai ajab chalan
yahan jeete ji apanaa milan
Qismat ko nahin manzoor
Qismat ko nahin manzoor
Lata:- shaam se lekar roz sahar tak tere liye mein har raat jali
meine to haaye ye bhi na jaana kab din Dooba,kab raat dhali
phir bhi hai milne se majboor
phir bhi hai milne se majboor
Mukesh:- O shamma mujhe phoonk de…
Mukesh:- paththar dil hai ye jagwaale,jaane na koi mere dil ki jalan
paththar dil hai ye jagwaale,jaane na koi mere dil ki jalan
jab se janami pyaar ki duniyaa,tujhko hai meri, mujhe teri lagan
tujh bin ye duniyaa hai be-noor
tujh bin ye duniyaa hai be-noor
Lata:- parwane jaa, hai ajab chalan
yahan jeete ji apanaa milan
Qismat ko nahin manzoor
Qismat ko nahin manzoor
Mukesh:-haay ri qismat, andhi qismat dekh saki na meri teri khushi
Lata:- haay ri ulfat,be-bas ulfat ro ke thaki,jal jal ke mari
Both:-dil jo mile kis ka tha kasur
dil jo mile kis ka tha kasur
Mukesh:- O shamma mujhe phoonk de
mein na mein rahun, tu na tu rahen
yahi ishq ka hai dastoor
yahi ishq ka hai dastoor
Lata:- parwane jaa, hai ajab chalan
yahan jeete ji apanaa milan
Qismat ko nahin manzoor
Qismat ko nahin manzoor
Audio
VIDEO
5. SINGER: MUKESH & LATA
tum jo hamaare mit na hote
geet ye mere geet na hote
hans ke tum ye rang na bharte
khwaab ye mere khwaab na hote
tum jo hamaare………………
tum jo na sunte, kyun mein gaata
tum jo na sunte, kyun mein gaata
bebas ghuT ke reh jaata mein
tum jo hamaare………………
suni Dagar ka ek sitaara
suni Dagar ka ek sitaara
jhilmil jhilmil roop tumhaara
tum jo hamaare………………
jee kartaa hai uD kar aaoon
jee kartaa hai uD kar aaoon
saamne baiThu aur doharaaoon
tum jo hamaare………………
Audio
VIDEO
6. SINGER: LATA " LO AYI MILAN....
Audio
VIDEO
Labels:
ASHIQ [ 1961] MUKESH,
LATA
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment