Monday, May 3, 2010
MADHUMATHI: [ 1958] LATA, RAFI, MUKESH
FILM: MADHUMATHI [1958] BIMAL ROY
CAST: DILEEP KUMAR, VIJAYANTHI MALA, PRAN, JAYANTH, TARUN BOSE, MISRA
LYRICS: SHAILENDRA
MUSIC: SALIL CHOUDHARY
1. SINGER: LATA & MUKESH
Dil tadap tadap ke keh raha hai aa bhi ja
Tu humse aankh na chura, tujhe kasam hai aa bhi ja
Lata:
Dil tadap tadap ke keh raha hai aa bhi ja
Tu humse aankh na chura, tujhe kasam hai aa bhi ja
Mukesh:
Tu nahin to yeh bahaar kya bahaar hai
Gul nahin khile ke tera intezaar hai
Tu nahin to yeh bahaar kya bahaar hai
Gul nahin khile ke tera intezaar hai
Ke tera intezaar hai
Ke tera intezaar hai
Dil tadap tadap ke keh raha hai aa bhi ja
Tu humse aankh na chura, tujhe kasam hai aa bhi ja
Lata:
Dil dhadak dhadak ke de raha hai yeh sadaa
Tumhari ho chuki hoon main, tumhare paas hoon sadaa
Dil dhadak dhadak ke de raha hai yeh sadaa
Tumhari ho chuki hoon main, tumhare paas hoon sadaa
Tum se meri zindagi ka yeh singaar hai
Ji rahi hoon main ke mujhko tumse pyaar hai
Tum se meri zindagi ka yeh singaar hai
Ji rahi hoon main ke mujhko tumse pyaar hai
Ke mujhko tumse pyaar hai
Ke mujhko tumse pyaar hai
Mukesh:
Dil tadap tadap ke keh raha hai aa bhi ja
Tu humse aankh na chura, tujhe kasam hai aa bhi ja
Lata:
Dil dhadak dhadak ke de raha hai yeh sadaa
Tumhari ho chuki hoon main, tumhare paas hoon sadaa
Mukesh:
Muskuraate pyaar ka asar hai har kahin
Hum kahan hain dil kidhar hai kuch khabar nahin
Muskuraate pyaar ka asar hai har kahin
Hum kahan hain dil kidhar hai kuch khabar nahin
Kidhar hai kuch khabar nahin
Kidhar hai kuch khabar nahin
Dil tadap tadap ke keh raha hai aa bhi ja
Tu humse aankh na chura, tujhe kasam hai aa bhi ja
Lata:
Dil dhadak dhadak ke de raha hai yeh sadaa
Tumhari ho chuki hoon main, tumhare paas hoon sadaa
Audio
video
2. SINGER: LATA
Lata: Zulmi sang aankh ladi, zulmi sang aankh ladi re
Chorus: Zulmi sang aankh ladi, zulmi sang aankh ladi re
Lata: Sakhi main kaa se kahoon, ri sakhi kaa se kahoon
Jaane kaise yeh baat badhi, zulmi sang aankh ladi re
Chorus: Zulmi sang aankh ladi, zulmi sang aankh ladi re
Lata: Woh chhup chhupke bansari bajaaye
Chorus: Woh chhup chhupke bansari bajaaye re
Lata: Woh chhup chhupke bansari bajaaye
Sunaaye mohe masti mein dooba hua raag re
Mohe taaron ki chhaanv mein bulaaye
Churaaye meri nindiya main reh jaaoon jaag re
Lage din chhota raat badi, zulmi sang aankh ladi re
Chorus: Zulmi sang aankh ladi, zulmi sang aankh ladi re
Lata: Sakhi main kaa se kahoon...
Lata: Baaton baaton mein rog badha jaaye
Chorus: Baaton baaton mein rog badha jaaye re
Lata: Baaton baaton mein rog badha jaaye
Hamaara jiya tadpe kisi ke liye shaam se
Mera paagalpana to koi dekho pukaroon mein
Chanda ko saajan ke naam se
Phiri man pe jaadoo ki chhadi, zulmi sang aankh ladi re
Chorus: Zulmi sang aankh ladi, zulmi sang aankh ladi re
Lata: Sakhi main kaa se kahoon...
Audio
video
3. SINGER: LATA
Aaja re, main to kab se khadi is paar..
(Main to kab se khadi is paar, ye ankhiyaan
Thak gayi panth nihaar, aaja re pardesi)-2
Main diye ki aisi baati, jal na saki jo bujh bhi na paati -2
Aa mil mere jeevan saathi, oh
Aaja re, main to kab se khadi is paar..
Tum sang janam janam ke phere, bhool gaye kyoon saajan mere -2
Tadpat hoon main saanj savere, oh
Aaja re, main to kab se khadi is paar..
Main nadiya phir bhi main pyaasi, bhed ye gehra baat zaraa si -2
Bin tere har baat udaasi, oh
Aaja re, main to kab se khadi is paar..
Audio
video
4. SINGER: MUKESH
Suhaana safar aur yeh mausam haseen -2
Humein darr hai hum kho na jaaye kahin
Suhaana safar.................
(Yeh kaun hansta hai phoolon men chhupkar
Bahaar bechain hai jis ki dhun par) -2
Kahin gungun, kahin runjhun
Ki jaise nache zameen
Suhaana safar.................
(Yeh gori nadiyon ka chalna uchhalkar
Ki jaise allhad chale pi se milkar) -2
Pyaare pyaare yeh nazaare nisaar hai har kahin
Suhaana safar.................
Ho ho ho ...
(Woh aasman jhuk raha hai zameen par
Yeh milan humne dekha yahin par) -2
Meri duniya, mere sapne milenge shaayad yahin
Suhaana safar.................
Audio
video
5. SINGER: MOHD. RAFI.
toote huye khwaabon ne
hum ko ye sikhaaya hain
dil ne..
dil ne jise paaya tha,
aakhon ne gawaaya hain
hum dhoondhate hain jin ko,
jo mil ke naheen milate
ruthhe hain naa jaane kyo,
mahemaan wo mere dil ke
kyaa apanee tamanna thee,
kyaa saamane aaya hain
dil ne..
dil ne jise paaya tha,
aakhon ne gawaaya hain
Toote Huye Khwaabo ne..................
(laut aayee sada meri,
takara ke sitaaron se)-2
ujadee huyee duniyaan ke,
sunasaan kinaaron se
par ab ye tadapana bhee,
kuchh kaam naa aaya hain
dil ne..
dil ne jise paaya tha,
aakhon ne gawaaya hain
Toote Huye Khwaabo ne..................
Audio
video
6. SINGER: LATA 'JANGAL ME MORE NAACHA....
Audio
7. SINGER: LATA " Chadh Gayo Paapi Bichuwa ....
Audio
8. SINGER: " Hum Hal-e-dil Sunayenge ....
Audio
video
9. SINGER: LATA ' GHADI GHADI MERA DIL DHADKE...
ghadee ghadee moraa dil dhadake,
haay dhadake, kyon dhadake
aaj milan kee belaa mein,
sar se chunariyaan kyon sarake
ghadee ghadee moraa ..................
saaree umar ke badale mainne,
maangee thee ye shaam
aaj yahee kho jaaoongee main,
unakee baahen thaam
pyaar mila aanchal bhar ke
ghadee ghadee moraa ................
aaj papeehe too chup rahana,
main bhee hoon chupachaap
dil kee baat samaz lenge,
saawareeyaan apane aap
dekh jara dheeraj dhar ke
ghadee ghadee moraa .................
video
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment