Tuesday, April 6, 2010
DEEDAR [1950] LATA, RAFI, SHAMSHAD BEGUM [10]
FILM: DEEDAR [1951] NITHIN BOSE
CAST: DILIP KUMAR, NARGIS, ASHOK KUMAR,TABASSUM, TUN TUN
LYRICS: SHAKIL BADAYUNI
MUSIC: NAUSHAD
1. SINGER: MOHD. RAFI
(aseer-e-panjaa-e-ahad-e-shabaab kar ke mujhe
kahaan gaya mera bachapan, kharaab ka ke mujhe
haan...haan..haan....h...a..a...n)
huye ham jhinke liye barbaad
woh hamko chaahe karen na yaad
jeevan bhar... jeevan bhar unki yaad mein
ham gaaye jaayenge, ham gaaye jaayenge
ek zamaana tha woh pal bhar ham se rahe naa door
ham se rahe naa door
ek zamaana hai ke huye hai milane se majboor
milane se majboor
rahe woh dil ka nagar aabaad
basi hai jis me kisi ki yaad
ham dil ko... ham dil ko, un ki yaad se
bahelaaye jaayenge, gaaye jaayenge
mein hun aisa deepak jis mein, naa baati naa tel, naa baati naa tel
bachapan beeta, bani muhobbat chaar dinon kaa khel
chaar dinon kaa khel
woh gham se laakh rahe aazaad
sune na dard bhari fariyaad
afsaana... afsaana unke pyaar kaa
ham gaaye jaayenge, gaaye jaayenge
huye ham jhin ke liye barbaad....
AUDIO
VIDEO
2. SINGER: DURRANI & SHAMSHAD BEGUM
ji : nazar phero na hamse
ham hain tum par
marne waalon mein
nazar phero na hamse -2
ham hain tum par
marne waalon mein
hamara naam bhi likh lo
mohabbat karne waalon mein -2
sha : ( jahaan nazaren mili
bole ke ham hain marne waalon mein ) -2
banaawat hi banaawat hai
mohabbat karne waalon mein -2
ji : o
tumhari shokiyon ko dil mera
naakaam kar dega
aan
suna kar pyar ke nagmein
tumhein badnaam kar dega
haan
aji ye dil nahi chhip-chhip ke
aahen bharne waalon mein
hamara naam bhi likh lo
mohabbat karne waalon mein -2
sha : wahi dil hai jo is duniya mein
apna naam kar jaaye
mohabbat kya karega wo
jo badnaami se dar jaaye
haan
nahi ham aapki in dhamkiyon se
darne waalon mein
banaawat hi banaawat hai
mohabbat karne waalon mein -2
AUDIO
VIDEO
3. SINGER: LATA
tu kaun hai mera keh de baalam padu main tore paiyya
yeh baat main bhala main kaise kahu tu lage mora saiyya
tu lage mora saiyya ho ) - 2
bhole mann mein kab tak rakhu - 2
chanchal bhed chipaye ho o o o
chanchal bhed chipaye
(dil ki baat zubaan tak aaye
aur kahi na jaaye) - 2
tohe dekh piya sharmaye jiya
ab nahi umar ladsaiya
yeh baat main bhala main kaise kahu tu lage mora saiyya
tu lage mora saiyya ho
ho~ preet hai mehangi iss duniya mein haai preet hai mehangi
dil ke saude saste preet hai mehangi is duniya mein dil ke saude saste
mann ka rasta ek hain baalam - 2
tann ke laankhon raste - 2
kho jaiyyo kahi na milke sajan yeh jag hain bhul bhulaiyya
yeh baat main bhala main kaise kahu tu lage mora saiyya
tu lage mora saiyya ho
tu kaun hai mera keh de baalam padu main tore paiyya
yeh baat main bhala main kaise kahu tu lage mora saiyya
tu lage mora saiyya ho
AUDIO
VIDEO
4. SINGER: LATA
naseeb dar pe tere aazamaane aaya hu -2
aazamaane aaya hu
naseeb dar pe tere
tujhi ko teri kahani
tujhi ko teri kahani sunane aaya hu
naseeb dar pe tere aazamaane aaya hu
jo nagmein soye huye
hain tere khayalon mein -2
jo nagmein soye huye
hain tere khayalon mein
unhi ko aaj main gaa kar -2
jagaane aaya hu
naseeb dar pe tere haay
naseeb dar pe tere aazamaane aaya hu
aazamaane aaya hu
haan
( baha bhi de meri
haalat pe aaj do aansu ) -2
main apne dil ki -2
lagi ko bujhaane aaya hu
naseeb dar pe tere aazamaane aaya hu
aazamaane aaya hu
ho
( agar wo saamane hote
to unse ye kehta ) -2
tere hazoor mein bigadi -2
banane aaya hoon
naseeb dar pe tere aazamaane aaya hu
aazamaane aaya hu
AUDIO
VIDEO
5. LATA
duniya ne teri duniya wale
sukh chain hamara cheen liya
pehale to basaayi dil mein khushi
phir dil ka sahara chheen liya
duniya ne teri duniya vaale ...
kya kaam hamein ab jeene se
marne ki duaayen kyon na karen
toofaan mein kashti aan phansi
maujon ne kinara cheen liya
duniya ne teri duniya vaale ...
aye gam ki ghata ja aur kahi
ab paas hamare kuch bhi nahi
chamkaya tha jisne kismat ko
tuney woh sitara cheen liya
duniya ne teri duniya wale ...
AUDIO
6. SINGER: SHAMSHAD BEGUM
chaman mein reh ke veerana mera dil hota jata hai
chaman mein reh ke veerana mera dil hota jata hai
khushi mein aaj kal kuch gam bhi shaamil hota jata hai
chaman mein reh ke veerana ...
(na jaane kyon badalti ja rahi hai zindagi meri
na jaane zindagi meri) - 2
main dil se bekhabar dil mujh se gaafil hota jaata hai
chaman mein reh ke veerana ...
(ye uljhan aur ye bechaini ye dhadkan aur ye betaabi
ye dhadkan aur ye betaabi) - 2
mera dil jaane kin teeron se ghayal hota jaata hai
chaman mein reh ke veerana ...
AUDIO
VIDEO
7. SINGER: MOHD. RAFI
meri kahaani bhoolne waale, tera jahaan aabaad rahe
meri kahaani..
teri khushi par mein mit jaaoon, duniya teri aabaad rahe
meri kahaani..
mere geet sune duniya ne magar
mera dard koi na jaan saka
na jaan saka
ek tera sahaara tha dil ko
ek tera sahaara tha
tu bhi na mujhe pahechaan saka-2
bachapan ke woh geet puraane, aaj tujhe na yaad rahe
meri kahaani.......
mein apana fasaana keh na saka
mere dil ki tamanna dil mein rahi
lo aaj kinaare par, lo aaj kinare par aake..e..e..
aramaanon ki kashti doob gaee-2
kismat ko manzoor yahi tha, lab par mere fariyaad rahe
meri kahani.....
AUDIO
VIDEO
8. SINGER: LATA & SHAMSHAD BEGUM
lata:
bachpan ke din bhula na dena
o..
bachpan ke din bhula na dena
shamshad:
aaj hanse kal rula na dena - 2
both:
o.. bachpan ke din bhula na dena
shamshad:
lambe hain jeevan ke raste - 2
aao chale ham gaate hanste
gaate, hanste
aaa aaaaa
lata:
door des ek mahal banaye
pyar ka jis mein deep jalaye
deep jalaye
both:
deep jalakar bujha na dena
aaj hanse kal rula na dena
o.. bachpan ke din bhula na dena
lata:
rut badale ya jeevan beete
dil ke taraane hon na puraane
shamshad:
nainon mein ban kar sapan suhaane
aayenge ek din yahi zamaane
yahi zamaane
both:
yaad hamaari mita na dena
aaj hanse kal rula na dena
o.. bachapan ke din bhula na dena
AUDIO
VIDEO
9. SINGER: LATA
le ja meri duaaen le ja pardes jaane wale
le ja meri duaaen
jaakar bhula na dena dil se meri wafaayen
le ja meri duaaen - 2
le ja meri duaaen le ja pardes jaane wale
le ja meri duaaen
tu hi suhaag mera
tu hi singaar mera
kar luungi zindagi bhar
main intezaar tera
ummeed ke sitaare
dekho na doob jaayen
le ja meri duaaen
le ja meri duaaen le ja pardes jaane wale
le ja meri duaaen
sunate hain ye sitamgar
duniya nahi kisi ki
jisane bhi ki muhabbat
dushaman hui usi ki
aisa na ho ke saajan
ham tumse mil na paayen
le ja meri duaaen
le ja meri duaaen le ja pardes jaane wale
le ja meri duaaen
AUDIO
VIDEO
10. SINGER:LATA & MOHD. RAFI
ra : dekh liya maine
kismat ka tamasha dekh liya
ik aag bujhi
ik aag lagi
aankhon ne meri kya dekh liya
la : dekh liya maine
saajan tera vaada dekh liya
raste pe hu main
manzil pe hai tu
ye pyaar ka naata dekh liya
dekh liya maine
ra : aaya main kisi ki mehafil mein
mehafil mein
toofan liye laakho dil mein
milkar bhi raha main mushkil mein
milne ka nateeja dekh liya
ik aag bujhi
ik aag lagi
aankhon ne meri kya dekh liya
dekh liya maine
la : chupate hi tere o chaand mere
o chaand mere
sooraj bhi na nikla aangan mein
phir gam ki andheri raat hui
do din ka ujala dekh liya
raste pe hu main
manzil pe hai tu
ye pyaar ka naata dekh liya
dekh liya maine
dekh liya maine
saajan tera vaada dekh liya
ra : dekh liya maine
kisamat ka tamasha dekh liya
AUDIO
VIDEO
BONUS: GUIDE : MOHD RAFI "TERE MEERE SAPNE...
VIDEO
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment