Sunday, March 21, 2010

AWARA [1951] Lata, Mukesh, Manna Dey




FILM: AWARA [ 1961] RAJ KAPOOR

CAST: RAJ KAPORR, NARGIS, PRITHVIRAJ KAPOORM K.M. SINGH,CUCKOO,

LYRICS: SHAILENDRA & HASRAT JAIPURI
MUSIC: ShankAR[Shankarsinh Raghuwanshi ] & JaikisHAN [Jaikishan Dayabhai Pankal]



1. MUKESH


Ham tujh se mohabbat karke sanam - 2
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2
Khush hoke sahe ulfat ke sitam - 2
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2

(Hai dil ki lagi kya tujh ko khabar
Ek dard utha tharaayi nazar) - 2
Tharaayi nazar
Khaamosh the ham
Khaamosh the ham is gham ki kasam
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2

(Yeh dil jo jala ek aag lagi
Aansu jo bahe barsaat hui) - 2
Barsaat hui
Baadal ki tarah
Baadal ki tarah aawaara the ham
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2

Ham tujh se mohabbat karke sanam - 2
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2



Audio


video


2. LATA



Dam Bhar Jo Udhar Mu.Nh Phere
Dam Bhar Jo Udhar Mu.Nh Phere, O Chandaa
Mai Unase Pyaar Kar Luu.Ngii, Baate.N Hazaar Kar Luu.Ngii

Dil Karataa Hai Pyaar Ke Sajade - 2
Aur Mai.N Bhii Unake Saath
Chaa.Nd Ko Chandaa Roz Hii Dekhe
Merii Pahalii Raat, Ho ... Merii Pahalii Raat
Baadal Me.N Ab Chhup Jaa Re O Chandaa
Mai Unase Pyaar Kar ...

Mukesh: Dam Bhar Jo Idhar Mu.Nh Phere
Dam Bhar Jo Idhar Mu.Nh Phere, O Chandaa
Mai Unase Pyaar Kar Luu.Ngaa, Nazare.N To Chaar Kar Luu.Ngaa

Mai Chor Huu.N Kaam Hai Chorii - 2
Duniyaa Me.N Huu.N Badanaam
Dil Ko Churaataa Aayaa Huu.N Mai.N
Yehii Meraa Kaam, Ho ... Yehii Meraa Kaam
Aanaa Tuu Gavaahii Dene O Chandaa
Mai Unase Pyaar Kar Luu.Ngaa, Nazare.N To Chaar Kar Luu.Ngaa

Lataa: Dil Ko Churaake Kho Mat Jaanaa - 2
Raah Na Jaanaa Bhuul
In Kadamo.N Se Kuchal Naa Denaa
Mere Dil Kaa Phuul, Ho ... Mere Dil Kaa Phuul
Ye Baat Unhe.N Samajhaa De O Chandaa
Mai Unase Pyaar Kar Luu.Ngii ...


Audio


video



3. MUKESH

aavaaraa huun, aavaaraa huun
yaa gardish men huun aasamaan kaa taaraa huun - 2
aavaaraa huun, aavaaraa huun

gharabaar nahiin, sansaar nahiin
mujhase kisIko pyaar nahiin - 2
usapaar kisiise milane kaa iqaraar nahiin
mujhase kisIko pyaar nahiin - 2
sunasaan nagar anjaan Dagar kaa pyaaraa huun
aavaaraa huun, aavaaraa huun

aabaad nahiin barabaad sahii
gaataa huun khushiike gIt magar - 2
zakhmon se bharaa siinaa hai meraa
hansatii hai magar ye mast nazar
duniyaa a a a
duniyaa men tere tiir kaa yaa takadiir kaa maaraa huun
aavaaraa huun, aavaaraa huun
yaa gardish men huun aasamaan kaa taaraa huun
aavaaraa huun, aavaaraa huun


Audio

video

4. LATA


Aajao Tadapte Hain Armaan
Ab Raat Guzarne Wali Hai
Maein Roun Yahan Tum Chup Ho Wahan
Ab Raat Guzarne Wali Hai

O Chand Ki Rangat Udhane Lagi
O Taaron Ke Dil Ab Toot Gaye
Hai Dard Bhara Bechain Sama
Ab Raat...

Iss Chand Ki Doli Mein Aaye Nazar
Yeh Raat Ki Dulhan Chal Di Kidhar
Aawaz Do Tum Ho Kahan
Ab Raat...

Ghabra Ke Nazar Bhi Haar Gayi
Taqdeer Ko Bhi Neend Aane Lagi
Tum Aate Nahin Mein Jaaun Kahan
Ab Raat...


Audio


Audio


video




5. LATA


(Ek bewafa se pyaar kiya
Usse nazar ko chaar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya) - 2

(Bholi surat waala nikla lutera
Raat chhupaaye dil mein munh pe savera) - 2
Oye humne dil nisaar kiya
Usko beqaraar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya
Ek bewafa se pyaar kiya
Usse nazar ko chaar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya

(De gayi dhoka hamein neeli neeli aankhen
Neeli neeli aankhen) - 2
Sooni hai dil ki mehfil, bheegi bheegi aankhen
O bheegi bheegi aankhen
Oye humne aitbaar kiya
Ulfat ka ikraar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya
Ek bewafa se pyaar kiya
Usse nazar ko chaar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya



Audio


video


6. LATA

Om nama shivay, om nama shivay, om
Ghar aaya mera pardesi
Pyaas bujhi meri ankhiyan ki

aa.. aa.. aa. a. a. aa. aa..aa. aa. a. a. aa

Tu mere mann ka moti hai
In nainan ki jyoti hai
Yaad hai mere bachpan ki
Ghar aaya mera pardesi

aa.. aa.. aa. a. a. aa. aa..aa. aa. a. a. aa

Ab dil todke mat jaana
Rote chhodke mat jaana
Kasam tujhe mere aansuan ki
Ghar aaya mera pardesi


Audio


video


7. LATA

( jabase balam ghar aaye
jiyara machal-machal jaaye ) \-2

o dil ne dil se kaha tha fasaana \-2
laut aaya hai guzara zamaana
O,laut aaya hai guzara zamaana
khushiyaan saath-saath laaye
jiyara machal-machal jaaye

Jab se balam ghar aaye
jiyaara machal-machal jaaye

o laa ke aankhon se dil men bithaaoon \-2
muskura ke sitaare lutaaoon
O,muskura ke sitaare lutaaoon
aasha jhuum-jhuum gaaye
jiyara machal-machal jaaye

Jab se balam ghar aaye
jiyaara machal-machal jaaye

o din hain apane mohabbat javaan hai
un se aabaad dil ka jahaan hai \-2
O,un se aabaad dil ka jahaan hai
man ke chor chale aaye
jiyara machal-machal jaaye

Jab se balam ghar aaye
jiyaara machal-machal jaaye

Audio


video


*************

Lyrics are not available for the foloowing song:

Lata Mangeshkar, Manna Dey: Tere Bina Aag ....


Audio


video

No comments:

Post a Comment