Thursday, March 11, 2010
ANMOLGHADI [1946] Noor Jehan, Suraiya, Mohd. Rafi
Film: ANMOL GHADI [1946] Mehaboob Khan
Cast: Noor Jehan, Surendra, Suraiya, Zahoor Raja
Lyricist: Tanvir Naqvi
Music: NAUSHAD
1. NOORJEHAN : "Jawan Hain Mohabbat
Jawa hai Mohabbat, hasi hai zamana
lutaya hai dil ne, khushi ka khazana
Jawa hai Mohabbat
Mohabbat kare
khush rahe muskuraaye
na soche hamein kya kahega zamana
Jawa hai Mohabbat
abhi tak mujhe
yaad hai vo kahani
na bhulega bachapan ka rangin zamana
Jawa hai Mohabbat
kya aankho aankho mein baatein hui Hain
kisine na dekha kisine na jaana
Jawa hai Mohabbat
tum aaye ke bachpan mera
laut aayaa
mila hai mujhe zindagi kA bahana
Jawa hai Mohabbat
Audio
video
2. NOOR JEHAN & SURENDRA: " Aawaz De Kahaan hai ...
Aawaz De Kahaan hai
duniya meri jawan hai
aabaad mere dil mein ummeed ka jahaan hai
duniya meri jawan hai
aa raat jaa rahi hai
yu jaise chandani ki
baaraat ja rahi hai
chalne ko ab falak se
taaron ka kaarvaan hai
aaise mein tu Kahaan hai
duniya meri jawaan hai
kismat pe chha rahi hai
kyon raat ki siyaahi
viran hai meri neenDen
taaron se le gavaahi
barbaad main yahaan hoon
aabaad tu Kahaan hai
bedard aasmaan hai
Aawaz De Kahaan hai
Audio
Audio
video
video
3. NOOR JEHAN : "Mere Bachpan Ke Saathi mujhe
Mere Bachpan Ke Saathi mujhe bhool na jaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana
Gham furqat Ke sahna sakoongi, sahna sakoongi
Roungi kuchh kahna sakoongi
Dushman hai saara jahaan, dushman hai saara jahaan jaaoon kahaan
Aah, teri ulfat hai jeene ka bas ik bahaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana
Raat guzaaroon gin gin taare, gin gin taare
Kaise aaoon paas tumhaare
Tum ho kahin main kahin, tum ho kahin main kahin chain nahin
Haa, haaye duniya ne dil ka Mere gham na jaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana
Koi dil ka dard na jaane, dard na jaane
Apne bhi ab hai beghaane
Ro ro Ke Kehta hai dil, ro ro Ke Kehta hai dil aa saajan mil
Aah, bas itna hi sun le mera hai fasaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana
Mere Bachpan Ke Saathi mujhe bhool na jaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana
Audio
video
4. SURENDRA "Kyon YAad Aa Rahe Hain
Kyon YAad Aa Rahe Hain
guzare hue zamAane
ye sukh bhare fasAane
rote hue tarAane
kisko suna Rahe Hain
Kyon YAad Rahe Hain
Kyon muskura Rahe Hain
dekho agar to samjho
Aansu baha Rahe Hain
Kyon YAad Aa Rahe Hain
kya waqt hai na jAane
Kyon hichkiyon ki lay pe
gAate gam ke gAane
ham bhor ke diye Hain
bujhate hi gAa Rahe Hain
Kyon YAad Aa Rahe Hain
Audio
video
5. SURAIYA: 'Socha Tha Kya Kya ho gaya
Socha Tha Kya Kya ho gaya
apana jise samajhe the ham
afasos vo apana na Tha
Socha Tha Kya
gairon ki inamein Kya khata
karate hain apanon se gila
Kya ho gayaa, Kya ho gaya
Socha Tha Kya
ai dil na ro, hairaan na ho
hona Tha jo vo ho gaya
rone se ab Kya faayada
Kya ho gayaa, Kya ho gaya
Socha Tha Kya
jo kuch bhi dekha khvaab Tha
is khvaab ko ab bhool ja
bhool ja
Kya ho gayaa, Kya ho gaya
Socha Tha Kya
Socha Tha Kya Kya ho gaya
dhuundho mujhe main kahin kho gaya
main bhi kahin kho gayi chhutti ho gayi
chhutti ho gayi
are gadabad ho gayi are chhutti ho gayi
are siti baj gayi
ara ra mujhako sambhaalo main chala
rok sako to mujhako rok lo yaaron main chala
ara ra gadabad ho gayi siti baj gayi
apana juluus tum nikaalo main chali
are kahaan chali pagali
are ruk ja are gadabad ho gayi
are ruuth ke kahaan chali are gadabad ho gayi
sun to mati ji
Kya chaacha ji
aaye chakkar
maaro takkar
tan man bole
man Kya bole
jaan bachaalo
lo pi jaao
isamein Kya hai
tumhein pata hai
pi ke maruun Kya
na bhayi na
aur karuun Kya
mere sar pe Thanda paani daalo main chala
gadabad ho gayi are siti baj gayi
rok sako to roko yaaron main chala
dharati jhuumein ambar jhuumen
ho gaya pagala baj gaya tabala
lag gayi hichaki hi cha cha hi cha cha baj gayi siti
hosh mein aao are hosh mein aao
mujhako chadh gayi mahangi pad gayi
vaidya bulaao
aisa karo balama tum mar jaao
o raam ka naam lo duniya bolo main chala
gadabad ho gayi are chhutti ho gayi
a ra ra mujhako sambhaalo main chala
rok sako to rok lo sambhaalo main chala
are gir gaya jhanda
rah gaya danda
are ho gaya Thanda
murgi ka anda
shaan ki bela panchhi akela
majanuun chhaila
mar gayi laila
bhuul bhulaiya
pare hat sainya
dekho ye tamaasha
dekho ye tamaasha dekhane vaalon main chali
gadabad ho gayi are siti baj gayi
apana juluus tum nikaalo main chali
are siti baj gayi gadabad ho gayi
Audio
video
6. NOOR JEHAN: "Kya Mil Gaya bhagwan tumhein dil ko dukhaake ....
Kya Mil Gaya bhagwan tumhein dil ko dukhaake
armanon ki nagri mein meri aag lagake
Kya Mil Gaya
ham soch rahe the kabhi dil dil se Milenge
jeevan mein mohabbat ke kabhi phool khilenge
ye Kya thi khabar tum ko na aayegi daya bhi
rakh doge kisi din meri duniya ko mitaake
armanon ki nagri
aakaash hi dushman nahi, dushman hai zameen bhi
dukh ke maare to nahi, chain kahi bhi
is jeene se ab maut hi aa jaaye to achha
jab chhut Gaya haath unka mere hathon mein aake
armanon ki nagri
maaloom na tha khaak mein Mil jaayenge ek din
khud apni hi ham aag mein jal jaayenge ek din
tumse to ye ummeed na thi jal ke khevayya
naiyya ko dubo doge kinaare pe laake
armanon ki nagari..
Audio
video
7. SURENDRA: "Ab Kaun hai Mera kaho Ab Kaun hai Mera...
Ab Kaun hai Mera kaho Ab Kaun hai Mera
fariyaad hai
fariyaad hai taqdeer ne loota hai basera
Mera loota hai basera
barbaad hai dil, ujdaa hai aashaaon ka mela
hoon jag mein akela
barbaad hai dil
barAbaad hai dil, ujda hai aashaaon ka mela
hoon jag mein akela
ujdi hui basti mein hai
ujdi hui basti mein hai har or andhera
Ab Kaun hai Mera
kya khatm na honge kAbhi ye gam ke fasaane
furqat ke zamaane
kehte Hain har ek raat ka
kehate Hain har ek raat ka hota hai savera
Ab Kaun hai Mera
tuney mujhe lootaa, teri duniya ne sataaya
teri duniya ne sataaya
Ab tu hi bata kya yahi
Ab tu hi bata kya yahi insaaf hai tera
Ab Kaun hai Mera
Ab Kaun hai Mera kaho Ab Kaun hai Mera
fariyaad hai
fariyaad hai taqdeer ne loota hai basera
Mera loota hai basera
fariyaad hai
Audio
video
8. SURAIYA: "Main Dil Mein, Main Dil Mein ....
Main Dil Mein, Main Dil Mein
dard basa laayi
nainon se nain mila aayi
unko apne man ki baatein
bina kahe samjha aayi
Main Dil Mein
pyar se koi dekh raha tha
Main sehmi ghabraai
dhalki mori dhaani chunariya
li Main ne angdaai
bin dekhe sharmaai
Main man kaa, Main man ka chain luta aayi
nainon se nain mila aayi
Main Dil Mein
Dil se uthi lehar khushi ki
ang ang lehrayi
kali mere zuban ki chatki
phool bani muskaayi
Main jeevan, Main jeevan geet suna aayi
nainon se nain mila aai
Main Dil Mein
Audio
9. SINGER: NOOR JEHAN
aajaa meri barabaad mohabbat ke sahaare
hai kaun ko bigadi hui taqadir savaare
aajaa meri
aae bhi na the khushq hue, (aankho me aansu - 2)
nikale bhi na the lut gae, (aramaan bichaare - 2)
hai kaun ko bigadi hui taqadir savaare
aajaa meri
ajaam-e-mohabbat hame, (maalum hai lekin - 2)
lete hai tere gam me, (ummido ke sahaare - 2)
hai kaun ko bigadi hui taqadir savaare
aajaa meri
thaa dil ko bahut teri, (mohabbat kaa sahaaraa - 2)
hamane isi ummid par, (din apane guzaare - 2)
hai kaun ko bigadi hui taqadir savaare
aajaa meri
VIDEO
10. MOHEMMAD RAFI: ' TERA KHILONA TOOTTA BALAMU...
Tera Khilauna Toota baalak
Tera Khilauna Toota
hain kismat ne loota tujhko
hain kismat ne loota
Tera Khilauna Toota
gagan pe baithkar khel niraali
khele khelnahaar
dekho logon kathputali ka
naatak hain sansaar
ham tum hain sab khel khilaune
mithe kadwe aur salone
khelo bachhon le lo bachhon
do kaudi mein bikta hai insaan
le lo bhola sa bhagwaan
le lo bhuka hindustaan
le lo ye made in japan
ye hai lallu ye hai gyaan
ye hai kallu ye hai praan
tu kyon rota chandarbhaan
ma ne peeta meri jaan
na ho ro ro ke halkaan
tu hai bhaarat ke santaan
le le tu ye teer kamaan
mere pyaare pahalawaan
bachaale apne ghar ki shaan
pi le beedi kha le paan
mere khilaune do do aane
khelo bachhon le lo bachhon
laaya hoon kaagaz ka gulbuuta
Tera Khilauna Toota
Tera Khilauna Toota baalak
Tera Khilauna Toota
hain qismat ne loota tujhko
hain qismat ne loota
Tera Khilauna Toota
gagan pe baithkar khel niraali
khele khelnahaar
dekho logon kathputali ka
naatak hain sansaar
Audio
video
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment